(ऐन फ्रैंक को याद करते हुए)
तुम पानी की तितली होती
इस तरह मुरझाकर तो न झरता यह कुमुद का फूल
एक आदर्श वाक्य की क़सम
तुम्हारे बिना सारी ऋतुएँ भूखी हो आई हैं
उनमें आत्मा में गरम हवा इस्पात के कारखाने की तरह चल रही है
तुम्हारे बिना एक नदी सो गई है
समूचे रक्त में
बिछाकर अपना ही शरीर
फूलों की गंध बहुत मालूम-सी हो चुकी है
आसमान की छाँव बहुत तीखी हो चुकी है
क्षितिज एक घायल कूबड़ सा उभर आया
जिससे टकराकर सूरज सौ भागों में टूट रहा है
रातों का सारा नीलापन गहरी नींद घुड़कने लगा
चाँद पर परेबों ने बैठने से मना कर दिया
किसी मौसम विज्ञानी की मृत्यु का शोक जता रही हैं दिशाएँ
सब कुछ टूटे काँच की तरह चुभ रहा है नाखून में
तुम्हारी समस्त यादें
एक लकड़हारे के कंधे पर निशान बनकर लौट आई हैं
नष्ट हुई आत्मा ने भी याद किया
और जीवितों के लिए बची हुई उम्र थीं तुम
जीवन के काव्य ने भी तुम्हें पुकारा
मृत्यु का देवता भी गढ़ता रहा मिथक
और तो और समय भी अब और बूढ़ा हो चला है
घुटनों पर टेकने लगता है बदन
कभी-कभी तो उसकी एड़ियों में बुखार उतर आता है
बग़ीचे में गुमा दी था तुमने खेल-खेल में जिसे
समय अब भी ढूँढ रहा है वह घड़ी
देखो वह घड़ी अब भी पड़ी है वहीं
चमक रही है दूर से ही दिख रही है वहाँ मैदान हो चला है
लेकिन समय उसे बग़ीचे में ही ढूँढ रहा है
तुम आओ वह घड़ी उठाकर दो
शायद बग़ीचा मिल जाए उसे।
(ain phraink ko yaad karte hue)
tum pani ki titli hoti
is tarah murjhakar to na jharta ye kumud ka phool
ek adarsh vakya ki qasam
tumhare bina sari rituen bhukhi ho aai hain
unmen aatma mein garam hava ispaat ke karkhane ki tarah chal rahi hai
tumhare bina ek nadi so gai hai
samuche rakt men
bichhakar apna hi sharir
phulon ki gandh bahut malum si ho chuki hai
asman ki chhaanv bahut tikhi ho chuki hai
kshitij ek ghayal kubaD sa ubhar aaya
jisse takrakar suraj sau bhagon mein toot raha hai
raton ka sara nilapan gahri neend ghuDakne laga
chaand par parebon ne baithne se mana kar diya
kisi mausam vigyani ki mrityu ka shok jata rahi hain dishayen
sab kuch tute kaanch ki tarah chubh raha hai nakhun men
tumhari samast yaden
ek lakaDhare ke kandhe par nishan bankar laut aai hain
nasht hui aatma ne bhi yaad kiya
aur jiviton ke liye bachi hui umr theen tum
jivan ke kavya ne bhi tumhein pukara
mrityu ka devta bhi gaDhta raha mithak
aur to aur samay bhi ab aur buDha ho chala hai
ghutnon par tekne lagta hai badan
kabhi kabhi to uski eDiyon mein bukhar utar aata hai
baghiche mein guma di tha tumne khel khel mein jise
samay ab bhi DhoonDh raha hai wo ghaDi
dekho wo ghaDi ab bhi paDi hai vahin
chamak rahi hai door se hi dikh rahi hai vahan maidan ho chala hai
lekin samay use baghiche mein hi DhoonDh raha hai
tum aao wo ghaDi uthakar do
shayad baghicha mil jaye use.

स्रोत :
रचनाकार : सत्यव्रत रजक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.