प्रेम निरा था मुर्ग़ी की लाश-सा
माँ की मुस्कान-सा क़ीमती
हम बरामदे के झूले पर बैठकर प्रेम को ताकते
आकर जाते
जाकर आते
आते जाते
हमारे होंठ चाटते और
टुच्चे मुनाफ़ों में उँगलियाँ चपलाते
तुम्हारे बिस्तर में
तुम्हारी सरगर्मी से उठती हूँ
तुम जल्दी उठने की कोशिश करती हो
ताकि मेरा दिन शुरू कर सको
अनमनी मैं तुम्हारे जालें सुलझाती हूँ
मैं अभी भी सो रही हूँ
नींद में
एरोस के पंखों के नीचे
तुम तुम्हारी सेक्स मेनियाक हो
मैं तुम्हारी दीवार पर मक्खी
तुम्हें अपने बच्चे से बातें करते हुए सुनकर
मैं विश्वास ही नहीं कर सकती कि
तुम कभी सड़कों पर चलते थे
लीद और हतोत्साह से सने हुए
मैं बिल्कुल विश्वास नहीं कर सकती कि
तुमने अपने लोथड़े एक मेज़ पर
सजाए थे खाने और पचा लेने के लिए
तुम्हारी अपनी देह में पलते चालबाज़
और एक दिमाग़ को रद्द करते
तुमने मेरी कमज़ोरी को चुनौती दी थी
गाँजे और चालबाज़ी के लिए
अब मैं तुम्हारे यथार्थ पर सवाल खड़े करती हूँ
क्योंकि बिना निवेशित पक्षों उचित स्वीकृति के
तुम्हें भी अधिकार नहीं किसी श्रेय का
prem nira tha murghi ki laash sa
maan ki muskan sa qimti
hum baramde ke jhule par baithkar prem ko takte
aakar jate
jakar aate
aate jate
hamare honth chatte aur
tuchche munafon mein ungliyan chaplate
tumhare bistar men
tumhari sargarmi se uthti hoon
tum jaldi uthne ki koshish karti ho
taki mera din shuru kar sako
anamni main tumhare jalen suljhati hoon
main abhi bhi so rahi hoon
neend men
eros ke pankhon ke niche
tum tumhari seks meniyak ho
main tumhari divar par makkhi
tumhein apne bachche se baten karte hue sunkar
main vishvas hi nahin kar sakti ki
tum kabhi saDkon par chalte the
leed aur hatotsah se sane hue
main bilkul vishvas nahin kar sakti ki
tumne apne lothaDe ek mez par
sajaye the khane aur pacha lene ke liye
tumhari apni deh mein palte chalabaz
aur ek dimagh ko radd karte
tumne meri kamzori ko chunauti di thi
ganje aur chalbazi ke liye
ab main tumhare yatharth par saval khaDe karti hoon
kyonki bina niveshit pakshon uchit svikriti ke
tumhein bhi adhikar nahin kisi shrey ka
prem nira tha murghi ki laash sa
maan ki muskan sa qimti
hum baramde ke jhule par baithkar prem ko takte
aakar jate
jakar aate
aate jate
hamare honth chatte aur
tuchche munafon mein ungliyan chaplate
tumhare bistar men
tumhari sargarmi se uthti hoon
tum jaldi uthne ki koshish karti ho
taki mera din shuru kar sako
anamni main tumhare jalen suljhati hoon
main abhi bhi so rahi hoon
neend men
eros ke pankhon ke niche
tum tumhari seks meniyak ho
main tumhari divar par makkhi
tumhein apne bachche se baten karte hue sunkar
main vishvas hi nahin kar sakti ki
tum kabhi saDkon par chalte the
leed aur hatotsah se sane hue
main bilkul vishvas nahin kar sakti ki
tumne apne lothaDe ek mez par
sajaye the khane aur pacha lene ke liye
tumhari apni deh mein palte chalabaz
aur ek dimagh ko radd karte
tumne meri kamzori ko chunauti di thi
ganje aur chalbazi ke liye
ab main tumhare yatharth par saval khaDe karti hoon
kyonki bina niveshit pakshon uchit svikriti ke
tumhein bhi adhikar nahin kisi shrey ka
स्रोत :
पुस्तक : सदानीरा पत्रिका
संपादक : अविनाश मिश्र
रचनाकार : स्टेफ़नी बर्ट
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.