हम  दीवानों  की  क्या  हस्ती,  
हैं  आज  यहाँ,  कल  वहाँ  चले,  
मस्ती  का  आलम  साथ  चला,  
हम  धूल  उड़ाते  जहाँ  चले।  
आए  बनकर  उल्लास  अभी,  
आँसू  बनकर  बह  चले  अभी,  
सब  कहते  ही  रह  गए,  अरे,  
तुम  कैसे  आए,  कहाँ  चले?  
किस  ओर  चले?  यह  मत  पूछो,  
चलना  है,  बस  इसलिए  चले,  
जग  से  उसका  कुछ  लिए  चले,  
जग  को  अपना  कुछ  दिए  चले,  
दो  बात  कही,  दो  बात  सुनी;  
कुछ  हँसे  और  फिर  कुछ  रोए।  
छककर  सुख-दु:ख  के  घूँटों  को  
हम  एक  भाव  से  पिए  चले।  
हम  भिखमंगों  की  दुनिया  में,  
स्वच्छंद  लुटाकर  प्यार  चले,  
हम  एक  निसानी-सी  उर  पर,  
ले  असफलता  का  भार  चले।  
अब  अपना  और  पराया  क्या?  
आबाद  रहें  रुकने  वाले!  
हम  स्वयं  बँधे  थे  और  स्वयं  
हम  अपने  बंधन  तोड़  चले।  
             
                hum  divanon  ki  kya  hasti,  
hain  aaj  yahan,  kal  vahan  chale,  
masti  ka  aalam  saath  chala,  
hum  dhool  uDate  jahan  chale.  
aaye  bankar  ullaas  abhi,  
ansu  bankar  bah  chale  abhi,  
sab  kahte  hi  rah  ge,  are,  
tum  kaise  aaye,  kahan  chale?  
kis  or  chale?  ye  mat  puchho,  
chalna  hai,  bas  isliye  chale,  
jag  se  uska  kuch  liye  chale,  
jag  ko  apna  kuch  diye  chale,  
do  baat  kahi,  do  baat  suni;  
kuch  hanse  aur  phir  kuch  roe.  
chhakkar  sukh  duhakh  ke  ghunton  ko  
hum  ek  bhaav  se  piye  chale.  
hum  bhikhmangon  ki  duniya  mein,  
svachchhand  lutakar  pyaar  chale,  
hum  ek  nisani  si  ur  par,  
le  asphalta  ka  bhaar  chale.  
ab  apna  aur  paraya  kyaa?  
abad  rahen  rukne  vale!  
hum  svayan  bandhe  the  aur  svyan  
hum  apne  bandhan  toD  chale.  
hum  divanon  ki  kya  hasti,  
hain  aaj  yahan,  kal  vahan  chale,  
masti  ka  aalam  saath  chala,  
hum  dhool  uDate  jahan  chale.  
aaye  bankar  ullaas  abhi,  
ansu  bankar  bah  chale  abhi,  
sab  kahte  hi  rah  ge,  are,  
tum  kaise  aaye,  kahan  chale?  
kis  or  chale?  ye  mat  puchho,  
chalna  hai,  bas  isliye  chale,  
jag  se  uska  kuch  liye  chale,  
jag  ko  apna  kuch  diye  chale,  
do  baat  kahi,  do  baat  suni;  
kuch  hanse  aur  phir  kuch  roe.  
chhakkar  sukh  duhakh  ke  ghunton  ko  
hum  ek  bhaav  se  piye  chale.  
hum  bhikhmangon  ki  duniya  mein,  
svachchhand  lutakar  pyaar  chale,  
hum  ek  nisani  si  ur  par,  
le  asphalta  ka  bhaar  chale.  
ab  apna  aur  paraya  kyaa?  
abad  rahen  rukne  vale!  
hum  svayan  bandhe  the  aur  svyan  
hum  apne  bandhan  toD  chale.  
 
             
        
        
            
            
            
                Videos This video is playing from YouTube  
                
                
             
            
                    
                         
                        भगवतीचरण वर्मा 
                          
                     
             
         
        
        
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : वसंत (भाग-3) (पृष्ठ 16) 
                                                                    रचनाकार  : भगवतीचरण वर्मा  
                                            
                             प्रकाशन  : एन.सी. ई.आर.टी
                         
                                                संस्करण   : 2022 
                 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.