एक  उम्मीद  से  नदी  की  तरफ़  निहारती  
बाट  जोहती  मछली  पकड़ने  वाली  
निषाद  लड़कियों  की  
जिनमें  शामिल  होती—  
एक  गोंड,  एक  तेली,  
एक  मरार  और  एक  अहीर  छोकरी  
अपने-अपने  कपड़े  पचरी  में  रख  
वे  उतरतीं  घुटने  भर  पानी  में  
और  पकड़  लेती  चारों  
एक-एक  छोर  दुपट्टे  का  
हो  जातीं  शाँत  
मानो  बाबू  आ  गए  हों  
देखतीं  एकटक  
अब  आने  लगी  हैं  धीरे-धीरे  
छोटी-छोटी  मछलियाँ  
उनकी  साँटी  में  जमी  धूल  को  खातीं  
दुपट्टे  में  अटकी  उड़द  खाने  
पहले  आती  चिंगरी  
फिर  कोतरी  
फिर  मोंगरी  
दुपट्टे  में  धीरे-धीरे  बस  जाता  
मछलियों  का  छोटा-सा  संसार  
और  पानी  से  अचानक  ऊपर  उठ  आती  
मछलियों  की  मृगतृष्णा  
सब  झपट  पड़तीं  कि  
कौन-सी  भूँजी  जाएगी  
किसका  साग  बनेगा  
किसको  कोकड़े  के  लिए  छोड़ना  है  
और  कौन-सा  वह  ले  जाएँगी  
बोतल  में  बंद  कर  घर  में  रखने  को  
…तू  मछली  नहीं  खाती  
हमारे  यहाँ  पाप  कहते  हैं  इसे  
ठीक  है  तू  छाँट  और  ले  जा  
मरेगी  तो  फेंक  देना  
दूसरी  पकड़  लेंगे  
सब  अपनी-अपनी  मछली  बाँधकर  
कूद  जातीं  नदिया  में  
हो  जातीं  मछली…  
                ek  ummid  se  nadi  ki  taraf  niharti  
baat  johti  machhli  pakaDne  vali  
nishad  laDakiyon  ki  
jinmen  shamil  hoti—  
ek  gonD,  ek  teli,  
ek  marar  aur  ek  ahir  chhokri  
apne  apne  kapDe  pachri  mein  rakh  
ve  utartin  ghutne  bhar  pani  men  
aur  pakaD  leti  charon  
ek  ek  chhor  dupatte  ka  
ho  jatin  shaant  
mano  babu  aa  ge  hon  
dekhtin  ektak  
ab  aane  lagi  hain  dhire  dhire  
chhoti  chhoti  machhliyan  
unki  santi  mein  jami  dhool  ko  khatin  
dupatte  mein  atki  uDad  khane  
pahle  aati  chingri  
phir  kotri  
phir  mongri  
dupatte  mein  dhire  dhire  bas  jata  
machhaliyon  ka  chhota  sa  sansar  
aur  pani  se  achanak  uupar  uth  aati  
machhaliyon  ki  mrigtrishna  
sab  jhapat  paDtin  ki  
kaun  si  bhunji  jayegi  
kiska  saag  banega  
kisko  kokDe  ke  liye  chhoDna  hai  
aur  kaun  sa  wo  le  jayengi  
botal  mein  band  kar  ghar  mein  rakhne  ko  
…tu  machhli  nahin  khati  
hamare  yahan  paap  kahte  hain  ise  
theek  hai  tu  chhaant  aur  le  ja  
maregi  to  phenk  dena  
dusri  pakaD  lenge  
sab  apni  apni  machhli  bandhakar  
kood  jatin  nadiya  men  
ho  jatin  machhli…  
ek  ummid  se  nadi  ki  taraf  niharti  
baat  johti  machhli  pakaDne  vali  
nishad  laDakiyon  ki  
jinmen  shamil  hoti—  
ek  gonD,  ek  teli,  
ek  marar  aur  ek  ahir  chhokri  
apne  apne  kapDe  pachri  mein  rakh  
ve  utartin  ghutne  bhar  pani  men  
aur  pakaD  leti  charon  
ek  ek  chhor  dupatte  ka  
ho  jatin  shaant  
mano  babu  aa  ge  hon  
dekhtin  ektak  
ab  aane  lagi  hain  dhire  dhire  
chhoti  chhoti  machhliyan  
unki  santi  mein  jami  dhool  ko  khatin  
dupatte  mein  atki  uDad  khane  
pahle  aati  chingri  
phir  kotri  
phir  mongri  
dupatte  mein  dhire  dhire  bas  jata  
machhaliyon  ka  chhota  sa  sansar  
aur  pani  se  achanak  uupar  uth  aati  
machhaliyon  ki  mrigtrishna  
sab  jhapat  paDtin  ki  
kaun  si  bhunji  jayegi  
kiska  saag  banega  
kisko  kokDe  ke  liye  chhoDna  hai  
aur  kaun  sa  wo  le  jayengi  
botal  mein  band  kar  ghar  mein  rakhne  ko  
…tu  machhli  nahin  khati  
hamare  yahan  paap  kahte  hain  ise  
theek  hai  tu  chhaant  aur  le  ja  
maregi  to  phenk  dena  
dusri  pakaD  lenge  
sab  apni  apni  machhli  bandhakar  
kood  jatin  nadiya  men  
ho  jatin  machhli…  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : प्राची 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.