कई उघाड़े छोटे प्याज़ प्रस्तुत कर
रहे हैं एक शांत गान सितार पर
और मग्नोलिया करती है नृत्य गतिहीन
अनेकों हाथों वाले देवता की तरह, कनेर
फूलता है अपनी मुड़ी हुई उँगलियों की नोक पर
हम घास की निश्वास लेते हैं
और अपनी आँखों से सुनते हैं
ग्रीष्म के दीर्घ धीमे राग को
हवा को अपने कंपन से मोड़ते…
पत्थर खाए फूल ताकते हैं सूर्य
शिशु विचार करता है अपनी नाभि पर
होशियार इतना कि कहा न जाए,
गुरु एक सुगंधित उद्यान का
मैं तुम्हारी गरदन में एक तबला देखता हूँ
प्रदर्शित करते अपनी जटिल ताल
और जानता हूँ कि देते हैं बिंब
हर तरह का आहार,
हर भिक्षुक इंद्रिय को भिक्षा,
हरेक अवतार विनयशीलता का,
कूड़ादानी फूलती है माँसभरे समोसों की तरह
kai ughaDe chhote pyaaz prastut kar
rahe hain ek shaant gaan sitar par
aur magnoliya karti hai nritya gatihin
anekon hathon vale devta ki tarah, kaner
phulta hai apni muDi hui ungliyon ki nok par
hum ghaas ki nishvas lete hain
aur apni ankhon se sunte hain
greeshm ke deergh dhime raag ko
hava ko apne kampan se moDte…
patthar khaye phool takte hain surya
shishu vichar karta hai apni nabhi par
hoshiyar itna ki kaha na jaye,
guru ek sugandhit udyaan ka
main tumhari gardan mein ek tabla dekhta hoon
pradarshit karte apni jatil taal
aur janta hoon ki dete hain bimb
har tarah ka ahar,
har bhikshuk indriy ko bhiksha,
harek avtar vinayshilata ka,
kuDadani phulti hai mansabhare samoson ki tarah
kai ughaDe chhote pyaaz prastut kar
rahe hain ek shaant gaan sitar par
aur magnoliya karti hai nritya gatihin
anekon hathon vale devta ki tarah, kaner
phulta hai apni muDi hui ungliyon ki nok par
hum ghaas ki nishvas lete hain
aur apni ankhon se sunte hain
greeshm ke deergh dhime raag ko
hava ko apne kampan se moDte…
patthar khaye phool takte hain surya
shishu vichar karta hai apni nabhi par
hoshiyar itna ki kaha na jaye,
guru ek sugandhit udyaan ka
main tumhari gardan mein ek tabla dekhta hoon
pradarshit karte apni jatil taal
aur janta hoon ki dete hain bimb
har tarah ka ahar,
har bhikshuk indriy ko bhiksha,
harek avtar vinayshilata ka,
kuDadani phulti hai mansabhare samoson ki tarah
स्रोत :
पुस्तक : पुनर्वसु (पृष्ठ 395)
संपादक : अशोक वाजपेयी
रचनाकार : क्रेग रेन
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.