इस  तलवार  में,  
ना  तेज़  धार  है  ना  चमक,  
लोथड़ा-सा  ही  है  लोहे  का,  
मैंने  कभी  बनाई  ही  नहीं  थी  तलवार,  
मेरी  तो  सारी  उम्र  बीत  गई,  
हल  और  कुदाल  बनाने  में।  
तलवारें  अब  तक,  
सोने  की  ही  बनती  रही,  
और  उन्हें  बनाने  की  इजाज़त  भी,  
केवल  सवर्णकारों  को  ही  थी,  
तेज़  चमके  तेज़  चले,  
ग़रीब  का  गला  भी  काटे,  
और  सबूत  भी  ना  छोड़े।  
हाँ  तलवारे  देखी  तो  मैंने  बहुत  थी,  
पर  मुझे  मालूम  ना  था,  
कि  मेरी  भट्टी  का  कोयला  भी,  
अवैध  ही  सही,  
लेकिन  कुंती-पुत्र  जन  सकता  है।  
लोहे  के  इस  लोथड़े  में,  
ख़ुद  ही,  एकलव्य  जैसी  तड़प  थी,  
और  मुझे,  द्रोणचार्य  बनना  मंज़ूर  ना  था।  
बड़ी  मेहनत  से  बनाईं,  
एक  काली,  बे-शक्ल  और  कुंद  चीज़,  
जिसे  मैंने  एक  म्यान  में  डाल  दिया,  
और  बड़े-बड़े  योद्धाओ  के,  
कमर  बंद  ढीले  हो  गए।  
मैं  निकला  हूँ  इस  से,  
पराजय  का  गला  काटने,  
पर  डरता  हूँ,  
कहीं  ये  भी,  
ग़रीब  का  ही  गला  ना  काटे,  
और  सबूत  भी  ना  छोड़े।  
                is  talvar  mein,  
na  tez  dhaar  hai  na  chamak,  
lothDa  sa  hi  hai  lohe  ka,  
mainne  kabhi  banai  hi  nahin  thi  talvar,  
meri  to  sari  umr  beet  gai,  
hal  aur  kudal  banane  mein.  
talvaren  ab  tak,  
sone  ki  hi  banti  rahi,  
aur  unhen  banane  ki  ijazat  bhi,  
keval  savarnkaron  ko  hi  thi,  
tez  chamke  tez  chale,  
gharib  ka  gala  bhi  kate,  
aur  sabut  bhi  na  chhoDe.  
haan  talvare  dekhi  to  mainne  bahut  thi,  
par  mujhe  malum  na  tha,  
ki  meri  bhatti  ka  koyala  bhi,  
avaidh  hi  sahi,  
lekin  kunti  putr  jan  sakta  hai.  
lohe  ke  is  lothaDe  mein,  
khud  hi,  eklavya  jaisi  taDap  thi,  
aur  mujhe,  droncharya  banna  manzur  na  tha.  
baDi  mehnat  se  banain,  
ek  kali,  be  shakl  aur  kund  cheez,  
jise  mainne  ek  myaan  mein  Daal  diya,  
aur  baDe  baDe  yoddhao  ke,  
kamar  band  Dhile  ho  ge.  
main  nikla  hoon  is  se,  
parajay  ka  gala  katne,  
par  Darta  hoon,  
kahin  ye  bhi,  
gharib  ka  hi  gala  na  kate,  
aur  sabut  bhi  na  chhoDe.  
is  talvar  mein,  
na  tez  dhaar  hai  na  chamak,  
lothDa  sa  hi  hai  lohe  ka,  
mainne  kabhi  banai  hi  nahin  thi  talvar,  
meri  to  sari  umr  beet  gai,  
hal  aur  kudal  banane  mein.  
talvaren  ab  tak,  
sone  ki  hi  banti  rahi,  
aur  unhen  banane  ki  ijazat  bhi,  
keval  savarnkaron  ko  hi  thi,  
tez  chamke  tez  chale,  
gharib  ka  gala  bhi  kate,  
aur  sabut  bhi  na  chhoDe.  
haan  talvare  dekhi  to  mainne  bahut  thi,  
par  mujhe  malum  na  tha,  
ki  meri  bhatti  ka  koyala  bhi,  
avaidh  hi  sahi,  
lekin  kunti  putr  jan  sakta  hai.  
lohe  ke  is  lothaDe  mein,  
khud  hi,  eklavya  jaisi  taDap  thi,  
aur  mujhe,  droncharya  banna  manzur  na  tha.  
baDi  mehnat  se  banain,  
ek  kali,  be  shakl  aur  kund  cheez,  
jise  mainne  ek  myaan  mein  Daal  diya,  
aur  baDe  baDe  yoddhao  ke,  
kamar  band  Dhile  ho  ge.  
main  nikla  hoon  is  se,  
parajay  ka  gala  katne,  
par  Darta  hoon,  
kahin  ye  bhi,  
gharib  ka  hi  gala  na  kate,  
aur  sabut  bhi  na  chhoDe.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : तजेंद्र सिंह लूथरा 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.