तुम  मिसरी  की  डली  बन  जाओ  
मैं  दूध  बन  जाता  हूँ  
तुम  मुझमें  
घुल  जाओ।  
तुम  ढाइ  साल  की  बच्ची  बन  जाओ  
मैं  मिसरी  धुला  दूध  हूँ  मीठा  
मुझे  एक  साँस  पी  जाओ।  
अब  मैं  मैदान  हूँ  
तुम्हारे  सामने  दूर  तक  फैला  हुआ।  
मुझमें  दौड़ो।  मैं  पहाड़  हूँ।  
मेरे  कंधों  पर  चढ़ो  और  फिसलो।  
मैं  सेमल  का  पेड़  हूँ  
मुझे  ज़ोर-ज़ोर  से  झकझोरो  और  
मेरी  रूई  को  हवा  की  तमाम  परतों  में  
बादलों  के  छोटे-छोटे  टुकड़ों  की  तरह  
उड़  जाने  दो।  
ऐसा  करता  हूँ  कि  मैं  
अख़रोट  बन  जाता  हूँ  
तुम  उसे  चुरा  लो  
और  किसी  कोने  में  छुपकर  
तोड़ो।  
गेहूँ  का  दाना  बन  जाता  हूँ  मैं,  
तुम  धूप  बन  जाओ  
मिट्टी-हवा-पानी  बनकर  
मुझे  उगाओ  
मेरे  भीतर  के  रिक्त  कोषों  में  
लुका-छिपी  खेलो  या  कोंपल  होकर  
मेरी  किसी  भी  गाँठ  से  
कहीं  से  भी  
तुरत  फूट  जाओ।  
तुम  अँधेरा  बन  जाओ  
मैं  बिल्ली  बनकर  दबे  पाँव  
चलूँगा  चोरी-चोरी।  
क्यों  न  ऐसा  करें  
कि  मैं  चीनी  मिट्टी  का  प्याला  बन  जाता  हूँ  
और  तुम  तश्तरी  
और  हम  कहीं  से  
गिरकर  एक  साथ  
टूट  जाते  हैं  सुबह-सुबह।  
या  मैं  ग़ुब्बारा  बनता  हूँ  
नीले  रंग  का  
तुम  उसके  भीतर  की  हवा  बनकर  
फैलो  और  
बीच  अकाश  में  
मेरे  साथ  फूट  जाओ।  
या  फिर...  
ऐसा  करते  हैं  
कि  हम  कुछ  और  बन  जाते  हैं  
मसलन...।  
             
                tum  misri  ki  Dali  ban  jao  
main  doodh  ban  jata  hoon  
tum  mujhmen  
ghul  jao  
tum  Dhai  sal  ki  bachchi  ban  jao  
main  misri  dhula  doodh  hoon  mitha  
mujhe  ek  sans  pi  jao  
ab  main  maidan  hoon  
tumhare  samne  door  tak  phaila  hua  
mujhmen  dauDo  main  pahaD  hoon  
mere  kandhon  par  chaDho  aur  phislo  
main  semal  ka  peD  hoon  
mujhe  zor  zor  se  jhakjhoro  aur  
meri  rui  ko  hawa  ki  tamam  parton  mein  
badlon  ke  chhote  chhote  tukDon  ki  tarah  
uD  jane  do  
aisa  karta  hoon  ki  main  
akhrot  ban  jata  hoon  
tum  use  chura  lo  
aur  kisi  kone  mein  chhupkar  
toDo  
gehun  ka  dana  ban  jata  hoon  main,  
tum  dhoop  ban  jao  
mitti  hawa  pani  bankar  
mujhe  ugao  
mere  bhitar  ke  rikt  koshon  mein  
luka  chhipi  khelo  ya  kompal  hokar  
meri  kisi  bhi  ganth  se  
kahin  se  bhi  
turat  phoot  jao  
tum  andhera  ban  jao  
main  billi  bankar  dabe  panw  
chalunga  chori  chori  
kyon  na  aisa  karen  
ki  main  chini  mitti  ka  pyala  ban  jata  hoon  
aur  tum  tashtari  
aur  hum  kahin  se  
girkar  ek  sath  
toot  jate  hain  subah  subah  
ya  main  ghubbara  banta  hoon  
nile  rang  ka  
tum  uske  bhitar  ki  hawa  bankar  
phailo  aur  
beech  akash  mein  
mere  sath  phoot  jao  
ya  phir  
aisa  karte  hain  
ki  hum  kuch  aur  ban  jate  hain  
masalan  
tum  misri  ki  Dali  ban  jao  
main  doodh  ban  jata  hoon  
tum  mujhmen  
ghul  jao  
tum  Dhai  sal  ki  bachchi  ban  jao  
main  misri  dhula  doodh  hoon  mitha  
mujhe  ek  sans  pi  jao  
ab  main  maidan  hoon  
tumhare  samne  door  tak  phaila  hua  
mujhmen  dauDo  main  pahaD  hoon  
mere  kandhon  par  chaDho  aur  phislo  
main  semal  ka  peD  hoon  
mujhe  zor  zor  se  jhakjhoro  aur  
meri  rui  ko  hawa  ki  tamam  parton  mein  
badlon  ke  chhote  chhote  tukDon  ki  tarah  
uD  jane  do  
aisa  karta  hoon  ki  main  
akhrot  ban  jata  hoon  
tum  use  chura  lo  
aur  kisi  kone  mein  chhupkar  
toDo  
gehun  ka  dana  ban  jata  hoon  main,  
tum  dhoop  ban  jao  
mitti  hawa  pani  bankar  
mujhe  ugao  
mere  bhitar  ke  rikt  koshon  mein  
luka  chhipi  khelo  ya  kompal  hokar  
meri  kisi  bhi  ganth  se  
kahin  se  bhi  
turat  phoot  jao  
tum  andhera  ban  jao  
main  billi  bankar  dabe  panw  
chalunga  chori  chori  
kyon  na  aisa  karen  
ki  main  chini  mitti  ka  pyala  ban  jata  hoon  
aur  tum  tashtari  
aur  hum  kahin  se  
girkar  ek  sath  
toot  jate  hain  subah  subah  
ya  main  ghubbara  banta  hoon  
nile  rang  ka  
tum  uske  bhitar  ki  hawa  bankar  
phailo  aur  
beech  akash  mein  
mere  sath  phoot  jao  
ya  phir  
aisa  karte  hain  
ki  hum  kuch  aur  ban  jate  hain  
masalan  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : अबूतर-कबूतर (पृष्ठ 11) 
                                                                    रचनाकार  : उदय प्रकाश  
                                            
                             प्रकाशन  : राधाकृष्ण प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 1984 
                 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.