मैं  एक  नियति-भ्रम  को  जी  रहा  हूँ!  
ख़ाली  बेंच  पर  उचाट  नील  दबाव  
और  पास  से  गुज़रती  बसों  की  भनक  
और  हवा  में  बसी  हुई  शाम  की  आवाज़ें  
ये  सभी  होने  की  स्थिति  में  हैं।  
किसी  आकस्मिक  आँधी  के  इंतज़ार  में  
हर  चीज़  थिर  है—स्तब्ध  है।  
केवल  कुछ  धड़कनें  हैं।  सिगरेट  का  आख़िरी  कश।  
मैं  
कोई  भी  गुनाह  
करने  को  राज़ी  हूँ।  
ज़िंदगी  के  टूटते-टूटते  संबंधों  के  पुल  पर  
मैं  पूरी  बोरियत  के  साथ  दौड़  रहा  हूँ।  
मुझे  मत  दो  किसी  किश्ती  का  आश्वासन  
मैं  मौत  की  भयद  विरक्ति  चाहता  हूँ।  
मुझमें  
होने-होने  की  यह  स्थिति  
एक  नियति-भ्रम  है  
और  मैं  इसे  जी  रहा  हूँ।  
ब्रह्म  ही  जिज्ञासा  ने  नचिकेता  की  रक्षा  की  थी  
यथार्थ  की  असह्यता  में  योके  वेश्या  बनी  
और  मैं  कुछ  भी  न  होने  की  टूटन  में  
एक  ग़लीज़  अस्तित्व  की  बुदबुदाहट  हूँ—  
झरोखे  
खिड़कियाँ  
दरवाज़े  
शून्य  की  इकाइयों  का  जमघटा—एक  बड़ा  शून्य।  
दुनिया  की  नासमझी  है  कि  मैं  हूँ  
और  मेरी  नासमझी  है  कि  मैं  नहीं  हूँ  
मैं  एक  नियति-भ्रम  हूँ—और  इस  होने  की  स्थिति  को  
जी  रहा  हूँ।  
बस  जी  रहा  हूँ।  
             
                main  ek  niyti  bhram  ko  ji  raha  hoon!  
khali  bench  par  uchat  neel  dabaw  
aur  pas  se  guzarti  bason  ki  bhanak  
aur  hawa  mein  basi  hui  sham  ki  awazen  
ye  sabhi  hone  ki  sthiti  mein  hain  
kisi  akasmik  andhi  ke  intzar  mein  
har  cheez  thir  hai—stabdh  hai  
kewal  kuch  dhaDaknen  hain  cigarette  ka  akhiri  kash  
main  
koi  bhi  gunah  
karne  ko  razi  hoon  
zindagi  ke  tutte  tutte  sambandhon  ke  pul  par  
main  puri  boriyat  ke  sath  dauD  raha  hoon  
mujhe  mat  do  kisi  kishti  ka  ashwasan  
main  maut  ki  bhayad  wirakti  chahta  hoon  
mujhmen  
hone  hone  ki  ye  sthiti  
ek  niyti  bhram  hai  
aur  main  ise  ji  raha  hoon  
brahm  hi  jigyasa  ne  nachiketa  ki  rakhsha  ki  thi  
yatharth  ki  asahyta  mein  yoke  weshya  bani  
aur  main  kuch  bhi  na  hone  ki  tutan  mein  
ek  ghaliz  astitw  ki  budbudahat  hoon—  
jharokhe  
khiDkiyan  
darwaze  
shunya  ki  ikaiyon  ka  jamghata—ek  baDa  shunya  
duniya  ki  nasamjhi  hai  ki  main  hoon  
aur  meri  nasamjhi  hai  ki  main  nahin  hoon  
main  ek  niyti  bhram  hun—aur  is  hone  ki  sthiti  ko  
ji  raha  hoon  
bus  ji  raha  hoon  
main  ek  niyti  bhram  ko  ji  raha  hoon!  
khali  bench  par  uchat  neel  dabaw  
aur  pas  se  guzarti  bason  ki  bhanak  
aur  hawa  mein  basi  hui  sham  ki  awazen  
ye  sabhi  hone  ki  sthiti  mein  hain  
kisi  akasmik  andhi  ke  intzar  mein  
har  cheez  thir  hai—stabdh  hai  
kewal  kuch  dhaDaknen  hain  cigarette  ka  akhiri  kash  
main  
koi  bhi  gunah  
karne  ko  razi  hoon  
zindagi  ke  tutte  tutte  sambandhon  ke  pul  par  
main  puri  boriyat  ke  sath  dauD  raha  hoon  
mujhe  mat  do  kisi  kishti  ka  ashwasan  
main  maut  ki  bhayad  wirakti  chahta  hoon  
mujhmen  
hone  hone  ki  ye  sthiti  
ek  niyti  bhram  hai  
aur  main  ise  ji  raha  hoon  
brahm  hi  jigyasa  ne  nachiketa  ki  rakhsha  ki  thi  
yatharth  ki  asahyta  mein  yoke  weshya  bani  
aur  main  kuch  bhi  na  hone  ki  tutan  mein  
ek  ghaliz  astitw  ki  budbudahat  hoon—  
jharokhe  
khiDkiyan  
darwaze  
shunya  ki  ikaiyon  ka  jamghata—ek  baDa  shunya  
duniya  ki  nasamjhi  hai  ki  main  hoon  
aur  meri  nasamjhi  hai  ki  main  nahin  hoon  
main  ek  niyti  bhram  hun—aur  is  hone  ki  sthiti  ko  
ji  raha  hoon  
bus  ji  raha  hoon  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : आधा दिखता वह आदमी (पृष्ठ 201) 
                                                                    रचनाकार  : सौमित्र मोहन  
                                            
                             प्रकाशन  : संभावना प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2018 
                 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.