बेशक एक मिट्टी से दूसरी मिट्टी में
है मेरा आना जाना
पर मेरी जाति का यह रक्त
मुझे मिल जाता है हर मिट्टी में
किसी के लिए उत्सव है माहवारी
किसी के लिए महामारी है
मैं तो प्रवासी किसान हूँ
मेरे लिए तो खानाबदोशी है माहवारी
मिट्टी से लिसी घिसी साड़ी में
जड़ें बन जाती हैं सुई धागा
वो पैड मेरी अर्थव्यवस्था का हिस्सा नहीं
इसलिए राख और मिट्टी से
रुक जाता है ख़ून
इसलिए मेरे लिए तो
खानाबदोशी है माहवारी
हर दर्द समान नहीं होता
किसी का ज़्यादा तो
किसी का कम होता है
मेरा पेड़ू दोतरफ़ा मार झेलता है
कुपोषण और रक्त का प्रवाह
साथ-साथ बहता है
इसलिए मेरे लिए खानाबदोशी
है माहवारी
महीने का ये दर्द
उतना ही है
जितना दिल्ली वाली भाभी का है
बस फ़र्क़ इतना है
वो गोली खा लेती हैं
और अपना पेट मसोसते-मसोसते
चरवाहों-सा प्रवासी हो जाता है ये दर्द
इसलिए मेरी माहवारी खानाबदोशी है
सुन री सखी
दर्द में मेरे और तेरे
लगभग समानता है
पर सुविधाओं की असमानता
यहाँ भारी है
इसलिए खानाबदोशी है मेरी माहवारी।
beshak ek mitti se dusri mitti mein
hai mera aana jana
par meri jati ka ye rakt
mujhe mil jata hai har mitti men
kisi ke liye utsav hai mahvari
kisi ke liye mahamari hai
main to pravasi kisan hoon
mere liye to khanabdoshi hai mahvari
mitti se lisi ghisi saDi men
jaDen ban jati hain sui dhaga
wo paiD meri arthavyvastha ka hissa nahin
isliye raakh aur mitti se
ruk jata hai khoon
isliye mere liye to
khanabdoshi hai mahvari
har dard saman nahin hota
kisi ka zyada to
kisi ka kam hota hai
mera peDu dotarfa maar jhelta hai
kuposhan aur rakt ka pravah
saath saath bahta hai
isliye mere liye khanabdoshi
hai mahvari
mahine ka ye dard
utna hi hai
jitna dilli vali bhabhi ka hai
bas farq itna hai
wo goli kha leti hain
aur apna pet masoste masoste
charvahon sa pravasi ho jata hai ye dard
isliye meri mahvari khanabdoshi hai
sun ri sakhi
dard mein mere aur tere
lagbhag samanata hai
par suvidhaon ki asmanata
yahan bhari hai
isliye khanabdoshi hai meri mahvari.
beshak ek mitti se dusri mitti mein
hai mera aana jana
par meri jati ka ye rakt
mujhe mil jata hai har mitti men
kisi ke liye utsav hai mahvari
kisi ke liye mahamari hai
main to pravasi kisan hoon
mere liye to khanabdoshi hai mahvari
mitti se lisi ghisi saDi men
jaDen ban jati hain sui dhaga
wo paiD meri arthavyvastha ka hissa nahin
isliye raakh aur mitti se
ruk jata hai khoon
isliye mere liye to
khanabdoshi hai mahvari
har dard saman nahin hota
kisi ka zyada to
kisi ka kam hota hai
mera peDu dotarfa maar jhelta hai
kuposhan aur rakt ka pravah
saath saath bahta hai
isliye mere liye khanabdoshi
hai mahvari
mahine ka ye dard
utna hi hai
jitna dilli vali bhabhi ka hai
bas farq itna hai
wo goli kha leti hain
aur apna pet masoste masoste
charvahon sa pravasi ho jata hai ye dard
isliye meri mahvari khanabdoshi hai
sun ri sakhi
dard mein mere aur tere
lagbhag samanata hai
par suvidhaon ki asmanata
yahan bhari hai
isliye khanabdoshi hai meri mahvari.
स्रोत :
रचनाकार : मीना प्रजापति
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.