दिल्ली से आते हुए
जैसे ही गया स्टेशन पार करती है ट्रेन
शुरू हो जाता है देशी स्वाद का झोंका
'इस रूट की सबसे ख़राब चाय' की हाँक के साथ
तभी आता है
मुरब्बा और अनरसा वाला
बीच-बीच में
झालमुड़ी वाला
और नींबू-चायवाला भी
ये अब जाएँगे हटिया तक
बारी-बारी से चढ़ते-उतरते हुए
दिल्ली में इन स्वादों को
तेजी से लील रहे हैं
चमकदार पैकेट्स और
वेंडिंग मशीन
कहता है कोई
बंद होने वाले हैं
ट्रेन में ये लोकल हॉकर्स
सरकार बना रही है कोई योजना
झारखंड एक्सप्रेस में
नहीं है अब स्वाद झारखंड का
वैसे समूचे देश का होने वाला है।
dilli se aate hue
jaise hi gaya station par karti hai train
shuru ho jata hai deshi swad ka jhonka
is route ki sabse kharab chay ke hank ke sath
tabhi aata hai
murabba aur anarsa wala
beech beech mein
jhaal muDi wala
aur nimbu chay wala bhi
ye ab jayenge hatiya tak
bari bari se chaDhte utarte hue
dilli mein in swadon ko
tezi se leel rahe hain
chamakdar paikets aur
wenDing machine
kahta hai koi
band hone wale hain
train mein ye local hakars
sarkar bana rahi hai koi yojna
jharkhanD express mein
nahin hai ab swad jharkhanD ka
waise samuche desh ka hone wala hai
dilli se aate hue
jaise hi gaya station par karti hai train
shuru ho jata hai deshi swad ka jhonka
is route ki sabse kharab chay ke hank ke sath
tabhi aata hai
murabba aur anarsa wala
beech beech mein
jhaal muDi wala
aur nimbu chay wala bhi
ye ab jayenge hatiya tak
bari bari se chaDhte utarte hue
dilli mein in swadon ko
tezi se leel rahe hain
chamakdar paikets aur
wenDing machine
kahta hai koi
band hone wale hain
train mein ye local hakars
sarkar bana rahi hai koi yojna
jharkhanD express mein
nahin hai ab swad jharkhanD ka
waise samuche desh ka hone wala hai
स्रोत :
पुस्तक : झारखंड एक्सप्रेस (पृष्ठ 26)
रचनाकार : अरुण चंद्र राय
प्रकाशन : ज्योतिपर्व प्रकाशन
संस्करण : 2021
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.