कभी हमारे अंदर से वे कंदराएँ बोलती हैं
जिन्हें प्रेम ने वहाँ सिरज रखा होता है
कभी उन फिसलनदार चट्टानों से आती हैं आवाज़ें
जो घृणा से उपजी हैं
कभी किसी हाव-भाव से
किसी गुमनाम भू-आकृति का मिलता है आभास
झलकने लगती हैं असंख्य दरारों से निकलकर
इधर-उधर बहने वाली छोटी-छोटी धाराएँ
हमारे सारे वक्तव्य
नदियों, कंदराओं और घाटियों तक ही तो हैं
इस रेतीले समय के हम
सीधे-सपाट चट्टान ही तो हैं
जो जानते हैं कि
अभी हथौड़ों वाले हाथ आते ही होंगे
हमारे व्यक्त-अव्यक्त के समुच्य को
क्रशरों में डाल गिट्टयों में बदल देने
देखिए श्रम-रंजित किन पथों पर
सभ्यताएँ अपने गन्तव्य की ओर बढ़ती हैं
वहाँ कहाँ बिछे हुए होते हैं हम
kabhi hamare andar se ve kandraye bolti hain
jinhen prem ne vahan siraj rakha hota hai
kabhi un phislandar chattanon se aati hain avajen
jo ghrina se upji hain
kabhi kisi havbhav se
kisi gumnam bhu akriti ka milta hai abhas
jhalakne lagti hain asankhya dararon se nikalkar
idhar udhar bahne vali chhoti chhoti dharayen
hamare sare vaktavya
nadiyon, kandraon aur ghatiyon tak hi to hain
is retile samay ke hum
sidhe sapat chattan hi to hain
jo jante hain ki
abhi hathauDon vale haath aate hi honge
hamare vyakt avyakt ke samuchya ko
krashron mein Daal gittyon mein badal dene
dekhiye shram ranjit kin pathon par
sabhytayen apne gantavya ki or baDhti hain
vahan kahan bichhe hue hote hain hum

स्रोत :
रचनाकार : आनंद बहादुर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.