ख़ुद  को  टटोलते  हुए  
विश्वास  नहीं  होता  कि  
देह  की  भाषा  अचानक  बदल  गई  
या  धीरे-धीरे  
सपनों  से  लगातार  ग़ायब  होते  जाते  हैं  
सरसों  के  खेत,  वीडियो,  नाच  और  चित्रहार  
घिसे  कपड़ों  में  
बेहद  शर्माती  एक  लड़की  
बिना  खंभों  वाले  पुल  पर  मिलती  है  
अक्सर  सपने  में  
इसी  उम्र  में।  
सपनों  के  परिवेश  ही  नहीं  
सपनों  के  स्रोत  और  रंग  भी  
बदलने  लगते  हैं  
एक  सामान्य  सपना  यह  कि  
सजी-धजी  लड़की  बग़ल  में  खड़ी  है  
और  शोर  के  बीच  फ़ोटो  खींचा  जा  रहा  है  
जबर्दस्ती  हँसते-हँसते  होंठ  थक  गए  हैं।  
अब  तक  उदार  राजा  की  भूमिका  निभाने  वाले  पिता  
गिनने  लगे  हैं  रोटियाँ  
माँ  की  ज़बान  क़ैंची  हो  गई  है  
बहन  दिन  में  चुप  रहती  है  
और  रात  को  ख़ाली  कनस्तरों  में  बैठ  रोती  है।  
बड़का  भाई  की  पी.एच.डी.  इस  जन्म  में  
पूरी  नहीं  होने  वाली  
छोटकी  पढ़ने  में  तेज़  है,  पर  
मुन्नी  को  ज़्यादा  कहाँ  तक  ठीक  होगा  
पिता  इसी  सोच  में  सने  मिलते  हैं  
बढ़  रही  है  उनकी  चुप्पी।  
इसी  उम्र  में  खोज  शुरू  होती  है  
प्रेमिका  की  
रोज़गार  की  
रोज़गार  न  सही  
बरोज़गारी  को  टालने  के  लिए  एक  मुकम्मल  
कारण  की  
लेने  होते  हैं  कुछ  ज़रूरी  फ़ैसले  
उस  भविष्य  के  लिए  जो  वर्तमान  पर  
हावी  है।  
औरत  की  देह  रहस्य  बन  
सामने  खड़ी  हो  जाती  है  
शहर  की  सबसे  बदनाम  गलियों  से  
गुज़रने  का  मन  करता  है  
इसी  उम्र  में।  
इक्कीस  की  उम्र  में  
कविता  नशे  की  तरह  
आपके  साथ  जुड़  जाती  है  
प्रेमिका  से  ज़्यादा  वफ़ादार  लगते  हुए।  
             
                khu  ko  tatolte  hue  
vishvas  nahin  hota  ki  
deh  ki  bhasha  achanak  badal  gai  
ya  dhire  dhire  
sapnon  se  lagatar  gayab  hote  jate  hain  
sarson  ke  khet,  video,  naach  aur  chitrhar  
ghise  kapDon  men  
behad  sharmati  ek  laDki  
bina  khambhon  vale  pul  par  milti  hai  
aksar  sapne  men  
isi  umr  mein.  
sapnon  ke  parivesh  hi  nahin  
sapnon  ke  srot  aur  rang  bhi  
badalne  lagte  hain  
ek  samany  sapna  ye  ki  
saji  dhaji  laDki  bagal  mein  khaDi  hai  
aur  shor  ke  beech  photo  khincha  ja  raha  hai  
jabardasti  hanste  hanste  honth  thak  gaye  hain.  
ab  tak  udaar  raja  ki  bhumika  nibhane  vale  pita  
ginne  lage  hain  rotiyan  
maan  ki  zaban  kainchi  ho  gai  hai  
bahan  din  mein  chup  rahti  hai  
aur  raat  ko  khali  kanastron  mein  baith  roti  hai.  
baड़ka  bhai  ki  pi.  ech.  d.  is  janm  men  
puri  nahin  hone  vali  
chhotki  paDhne  mein  tej  hai,  par  
munni  ko  zyada  kahan  tak  theek  hoga  
pita  isi  soch  mein  sane  milte  hain  
baDh  rahi  hai  unki  chuppi.  
isi  umr  mein  khoj  shuru  hoti  hai  
premika  ki  
rozgar  ki  
rozgar  na  sahi  
barozgari  ko  talne  ke  liye  ek  mukammal  
karan  ki  
lene  hote  hain  kuch  zaruri  faisle  
us  bhavishya  ke  liye  jo  vartaman  par  
havi  hai.  
aurat  ka  deh  rahasy  ban  
samne  khaDi  ho  jati  hai  
shahr  ke  sabse  badnam  galiyon  se  
guzarne  ka  man  karta  hai  
isi  umr  mein.  
ikkis  ki  umr  men  
kavita  nashe  ki  tarah  
aapke  saath  juD  jati  hai  
premika  se  zyada  vafadar  lagte  hue.  
khu  ko  tatolte  hue  
vishvas  nahin  hota  ki  
deh  ki  bhasha  achanak  badal  gai  
ya  dhire  dhire  
sapnon  se  lagatar  gayab  hote  jate  hain  
sarson  ke  khet,  video,  naach  aur  chitrhar  
ghise  kapDon  men  
behad  sharmati  ek  laDki  
bina  khambhon  vale  pul  par  milti  hai  
aksar  sapne  men  
isi  umr  mein.  
sapnon  ke  parivesh  hi  nahin  
sapnon  ke  srot  aur  rang  bhi  
badalne  lagte  hain  
ek  samany  sapna  ye  ki  
saji  dhaji  laDki  bagal  mein  khaDi  hai  
aur  shor  ke  beech  photo  khincha  ja  raha  hai  
jabardasti  hanste  hanste  honth  thak  gaye  hain.  
ab  tak  udaar  raja  ki  bhumika  nibhane  vale  pita  
ginne  lage  hain  rotiyan  
maan  ki  zaban  kainchi  ho  gai  hai  
bahan  din  mein  chup  rahti  hai  
aur  raat  ko  khali  kanastron  mein  baith  roti  hai.  
baड़ka  bhai  ki  pi.  ech.  d.  is  janm  men  
puri  nahin  hone  vali  
chhotki  paDhne  mein  tej  hai,  par  
munni  ko  zyada  kahan  tak  theek  hoga  
pita  isi  soch  mein  sane  milte  hain  
baDh  rahi  hai  unki  chuppi.  
isi  umr  mein  khoj  shuru  hoti  hai  
premika  ki  
rozgar  ki  
rozgar  na  sahi  
barozgari  ko  talne  ke  liye  ek  mukammal  
karan  ki  
lene  hote  hain  kuch  zaruri  faisle  
us  bhavishya  ke  liye  jo  vartaman  par  
havi  hai.  
aurat  ka  deh  rahasy  ban  
samne  khaDi  ho  jati  hai  
shahr  ke  sabse  badnam  galiyon  se  
guzarne  ka  man  karta  hai  
isi  umr  mein.  
ikkis  ki  umr  men  
kavita  nashe  ki  tarah  
aapke  saath  juD  jati  hai  
premika  se  zyada  vafadar  lagte  hue.  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : राकेश कुमार मिश्र  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.