इस  लोटे  का  भी  एक  सपना  है  
कभी-कभी  दिन  में  फ़ुरसत  के  वक़्त  
जो  इसे  देखने  को  मिल  जाता  है  
रात  को  इसे  नींद  नहीं  आती  
अजीब  तरह  के  खाने  की  गंध  और  न  कही  गई  
बातों  का  स्वाद  लिए  नक़ली  दाँतों  का  एक  सेट  
नल  के  ठंडे  पानी  में  इसमें  डूबा  रहता  है  
तड़के  सुबह  का  वक़्त  इसे  पसंद  है  
कुछ  ज़रूरी  यादें,  पेड़,  जंगल,  गन्ने  के  खेत  
दिमाग़  में  घूम  जाते  हैं  
इन  दिनों  तो  आँगन  के  एक  कोने  में  पड़ा  
या  महाराजिन  का  इंतज़ार  करता  है  
यह  भी  कोई  सपने  का  वक़्त  है  
पर  लोटा  कमबख़्त  एक  सपना  देखता  है  
कि  उसे  ख़ूब  चमकाया  जाए  
थोड़ा  वक़्त  उसे  भी  दिया  जाए  
गिरने  पर  उसकी  जो  यह  आवाज़  है  
कई  जगहों  से  जो  वह  पिचक  गया  है  
उससे  मुँह  न  बिचकाया  जाए  
पर  लोटा  तो  आख़िर  लोटा  है  
एक  दिन  अपने  कुछ  इस  तरह  से  गिरने  के  इंतज़ार  में  है  
कि  एक  अच्छी  आवाज़  हो  
अम्मा  जी  गुड़  की  गरम  चाय  उसमें  
बेरहमी  से  उड़ेल  न  दें  
उसका  भी  एक  सपना  हो  
न  हो  सपना  
एक  पूरी  नींद  तो  हो।  
             
                is  lote  ka  bhi  ek  sapna  hai  
kabhi  kabhi  din  mein  fursat  ke  waqt  
jo  ise  dekhne  ko  mil  jata  hai  
raat  ko  ise  neend  nahin  aati  
ajib  tarah  ke  khane  ki  gandh  aur  na  kahi  gai  
baton  ka  swad  liye  naqli  danton  ka  ek  set  
nal  ke  thanDe  pani  mein  ismen  Duba  rahta  hai  
taDke  subah  ka  waqt  ise  pasand  hai  
kuch  zaruri  yaden,  peD,  jangal,  ganne  ke  khet  
dimagh  mein  ghoom  jate  hain  
in  dinon  to  angan  ke  ek  kone  mein  paDa  
ya  maharajin  ka  intzar  karta  hai  
ye  bhi  koi  sapne  ka  waqt  hai  
par  lota  kambakht  ek  sapna  dekhta  hai  
ki  use  khoob  chamkaya  jaye  
thoDa  waqt  use  bhi  diya  jaye  
girne  par  uski  jo  ye  awaz  hai  
kai  jaghon  se  jo  wo  pichak  gaya  hai  
usse  munh  na  bichkaya  jaye  
par  lota  to  akhir  lota  hai  
ek  din  apne  kuch  is  tarah  se  girne  ke  intzar  mein  hai  
ki  ek  achchhi  awaz  ho  
amma  ji  guD  ki  garam  chay  usmen  
berahmi  se  uDel  na  den  
uska  bhi  ek  sapna  ho  
na  ho  sapna  
ek  puri  neend  to  ho  
is  lote  ka  bhi  ek  sapna  hai  
kabhi  kabhi  din  mein  fursat  ke  waqt  
jo  ise  dekhne  ko  mil  jata  hai  
raat  ko  ise  neend  nahin  aati  
ajib  tarah  ke  khane  ki  gandh  aur  na  kahi  gai  
baton  ka  swad  liye  naqli  danton  ka  ek  set  
nal  ke  thanDe  pani  mein  ismen  Duba  rahta  hai  
taDke  subah  ka  waqt  ise  pasand  hai  
kuch  zaruri  yaden,  peD,  jangal,  ganne  ke  khet  
dimagh  mein  ghoom  jate  hain  
in  dinon  to  angan  ke  ek  kone  mein  paDa  
ya  maharajin  ka  intzar  karta  hai  
ye  bhi  koi  sapne  ka  waqt  hai  
par  lota  kambakht  ek  sapna  dekhta  hai  
ki  use  khoob  chamkaya  jaye  
thoDa  waqt  use  bhi  diya  jaye  
girne  par  uski  jo  ye  awaz  hai  
kai  jaghon  se  jo  wo  pichak  gaya  hai  
usse  munh  na  bichkaya  jaye  
par  lota  to  akhir  lota  hai  
ek  din  apne  kuch  is  tarah  se  girne  ke  intzar  mein  hai  
ki  ek  achchhi  awaz  ho  
amma  ji  guD  ki  garam  chay  usmen  
berahmi  se  uDel  na  den  
uska  bhi  ek  sapna  ho  
na  ho  sapna  
ek  puri  neend  to  ho  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : विनोद भारद्वाज  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.