अगली बार मत रखना प्रेम के लिए अभिशप्त
कि बाँहें फैलाऊँ और आ टकराए
वही आदिम उत्पीड़क गर्म हवा
कि बार-बार कोई भी जिस्म झेल नहीं पाता
वही सदियों पुरानी यातना
(…मेरे ख़्वाबों का ख़याल रखना अगली बार
कि मैंने बाँहें कुछ और भरने के लिए फैलाई हैं।)
अगली बार मत रखना प्यासा मुझे
होंठ खोलूँ और पानी उन्हें ठंडा कर दे
कि होंठ सिर्फ़ पानी की प्यास बुझाने के लिए ही नहीं खुलते
होंठ प्यार की मिठास चखने के लिए होते हैं
तो गोया उन होंठों पर होंठ ही रख देना
(…कच्छी केसर का अम्भफल बनाना अगली बार
कि जिसे कोकिल-सी कन्याएँ अपने होंठों से चूस लें।)
अगली बार इतना अहंकारी, आत्ममुग्ध मत बनाना
कि आईने में अपना ही प्रतिबिंब देखकर इतराता रहूँ
छवि अरीसों में नहीं सजण की आँखों में देखी जाती है
आँखों में बराबर हँसी और आँसू देना
और उन्हें बाँटने को किसी प्रणयिनी का साथ देना
(…अगली बार पखेरू बनाना, मनुष्य मत बनाना
कि इस दुनिया में मनुष्यों के प्रेम करने के लिए जगह नहीं बची है।)
agli baar mat rakhna prem ke liye abhishapt
ki banhen phailaun aur aa takraye
vahi aadim utpiDak garm hava
ki baar baar koi bhi jism jhel nahin pata
vahi sadiyon purani yatana
(…mere khvabon ka khayal rakhna agli baar
ki mainne banhen kuch aur bharne ke liye phailai hain. )
agli baar mat rakhna pyasa mujhe
honth kholun aur pani unhen thanDa kar de
ki honth sirf pani ki pyaas bujhane ke liye hi nahin khulte
honth pyaar ki mithas chakhne ke liye hote hain
to goya un honthon par honth hi rakh dena
(…kachchhi kesar ka ambhphal banana agli baar
ki jise kokil si kanyayen apne honthon se choos len. )
agli baar itna ahankari, atmamugdh mat banana
ki aine mein apna hi pratibimb dekhkar itrata rahun
chhavi arison mein nahin sajan ki ankhon mein dekhi jati hai
ankhon mein barabar hansi aur ansu dena
aur unhen bantne ko kisi pranayini ka saath dena
(…agli baar pakheru banana, manushya mat banana
ki is duniya mein manushyon ke prem karne ke liye jagah nahin bachi hai. )

स्रोत :
रचनाकार : सावजराज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.