एक  आदमी  आदेश  देकर  
छिप  गया  है  
हज़ारों  लोग  भूखे-प्यासे  
बेहाल  
सड़क  पर  हैं  
गाँव  
सैंकड़ों  मील  दूर  
किसी  की  जेब  में  
पाँच  रुपए  हैं  
किसी  ने  कई  दिनों  से  
सिर्फ़  कुछ  बिस्किट  खाए  
और  पानी  पिया  है  
किसी  की  पत्नी  के  पाँव  की  
हड्डी  टूटी  हुई  है  
वह  उसे  कँधे  पर  बिठाकर  
चल  दिया  है  
नब्बे  साल  की  बूढ़ी  स्त्री  
चार  सौ  मील  दूर  
घर  के  लिए  
पैदल  चल  पड़ी  है  
कोई  साइकिल  से  
सपरिवार  जा  रहा  है  
बच्चा  हैंडल  पर  
सो  गया  है  
कहीं  दो-चार  कौर  
खिचड़ी  के  लिए  
हज़ारों  लोग  क़तार  में  
सरकार  के  
रहमोकरम  पर  हैं  
उन्हें  मेहरबानी  नहीं  
घर  चाहिए  था  
जहाँ  वे  नमक-रोटी  
खा  सकते  थे  
दूसरों  को  अपनी  चिंता  से  
बचा  सकते  थे  
मगर  वे  किसी  ब्लेड  पर  
चल  रहे  हैं  
लहूलुहान  
महामारी  ठिठक  गई  है  
भूख  का  यह  क़हर  देखकर  
एक  आदमी  आदेश  देकर  
छिप  गया  है  
             
                ek  adami  adesh  dekar  
chhip  gaya  hai  
hazaron  log  bhukhe  pyase  
behal  
saDak  par  hain  
ganw  
sainkDon  meel  door  
kisi  ki  jeb  mein  
panch  rupae  hain  
kisi  ne  kai  dinon  se  
sirf  kuch  biskit  khaye  
aur  pani  piya  hai  
kisi  ki  patni  ke  panw  ki  
haDDi  tuti  hui  hai  
wo  use  kandhe  par  bithakar  
chal  diya  hai  
nabbe  sal  ki  buDhi  istri  
chaar  sau  meel  door  
ghar  ke  liye  
paidal  chal  paDi  hai  
koi  cycle  se  
sapriwar  ja  raha  hai  
bachcha  hainDal  par  
so  gaya  hai  
kahin  do  chaar  kaur  
khichDi  ke  liye  
hazaron  log  qatar  mein  
sarkar  ke  
rahmokaram  par  hain  
unhen  mehrbani  nahin  
ghar  chahiye  tha  
jahan  we  namak  roti  
kha  sakte  the  
dusron  ko  apni  chinta  se  
bacha  sakte  the  
magar  we  kisi  blade  par  
chal  rahe  hain  
lahuluhan  
mahamari  thithak  gai  hai  
bhookh  ka  ye  qahr  dekhkar  
ek  adami  adesh  dekar  
chhip  gaya  hai  
ek  adami  adesh  dekar  
chhip  gaya  hai  
hazaron  log  bhukhe  pyase  
behal  
saDak  par  hain  
ganw  
sainkDon  meel  door  
kisi  ki  jeb  mein  
panch  rupae  hain  
kisi  ne  kai  dinon  se  
sirf  kuch  biskit  khaye  
aur  pani  piya  hai  
kisi  ki  patni  ke  panw  ki  
haDDi  tuti  hui  hai  
wo  use  kandhe  par  bithakar  
chal  diya  hai  
nabbe  sal  ki  buDhi  istri  
chaar  sau  meel  door  
ghar  ke  liye  
paidal  chal  paDi  hai  
koi  cycle  se  
sapriwar  ja  raha  hai  
bachcha  hainDal  par  
so  gaya  hai  
kahin  do  chaar  kaur  
khichDi  ke  liye  
hazaron  log  qatar  mein  
sarkar  ke  
rahmokaram  par  hain  
unhen  mehrbani  nahin  
ghar  chahiye  tha  
jahan  we  namak  roti  
kha  sakte  the  
dusron  ko  apni  chinta  se  
bacha  sakte  the  
magar  we  kisi  blade  par  
chal  rahe  hain  
lahuluhan  
mahamari  thithak  gai  hai  
bhookh  ka  ye  qahr  dekhkar  
ek  adami  adesh  dekar  
chhip  gaya  hai  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : पंकज चतुर्वेदी  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.