'होने' और 'ना होने' के बीच भी 'होना' होता है
जहाँ सितार टूटते नहीं संवाद के
जैसे उँगलियों से कोई गिटार के तार छेड़ता है
और निकलती हो मधुर ध्वनि।
पता नहीं हम क्यों चाहते हैं
सब कुछ हो, यहीं हो,
प्रत्यक्ष और अभी हो।
हम 'होने' या 'ना होने' के बीच के
उस 'होने' के अस्तित्व को स्वीकारते नहीं,
नकारते हैं,
या खाली स्थान को खाली समझकर
जाने देते हैं।
पर अपूर्णता में संपूर्णता की तरह
भरती है जिसकी निरंतरता
जीवन जीने के अभ्यास में
वह कुमुदिनी के फूल-सा
खिल जाता है
भागदौड़ की किसी शाम में,
और सूर्योदय के बाद
बंद हो जाता।
होना जहाँ वर्तमान पक्ष है,
ना होना अतीत
वहीं 'होने' और 'ना होने' के बीच भी 'होना'
बेअर्थ नहीं,
वह अदृश्य यथार्थ है—
जो ज़िंदा रखता है
आगे तुम्हारे होने को।
hone aur na hone ke beech bhi hona hota hai
jahan sitar tutte nahin sanvad ke
jaise ungliyon se koi gitar ke taar chheDta hai
aur nikalti ho madhur dhvani.
pata nahin hum kyon chahte hain
sab kuch ho, yahin ho,
pratyaksh aur abhi ho.
hum hone ya na hone ke beech ke
us hone ke astitv ko svikarte nahin,
nakarte hain,
ya khali sthaan ko khali samajhkar
jane dete hain.
par apurnta mein sampurnta ki tarah
bharti hai jiski nirantarta
jivan jine ke abhyas men
wo kumudini ke phool sa
khil jata hai
bhagdauD ki kisi shaam mein,
aur suryoday ke baad
band ho jata.
hona jahan vartaman paksh hai,
na hona atit
vahin hone aur na hone ke beech bhi hona
bearth nahin,
wo adrishya yatharth hai—
jo zinda rakhta hai
aage tumhare hone ko.
hone aur na hone ke beech bhi hona hota hai
jahan sitar tutte nahin sanvad ke
jaise ungliyon se koi gitar ke taar chheDta hai
aur nikalti ho madhur dhvani.
pata nahin hum kyon chahte hain
sab kuch ho, yahin ho,
pratyaksh aur abhi ho.
hum hone ya na hone ke beech ke
us hone ke astitv ko svikarte nahin,
nakarte hain,
ya khali sthaan ko khali samajhkar
jane dete hain.
par apurnta mein sampurnta ki tarah
bharti hai jiski nirantarta
jivan jine ke abhyas men
wo kumudini ke phool sa
khil jata hai
bhagdauD ki kisi shaam mein,
aur suryoday ke baad
band ho jata.
hona jahan vartaman paksh hai,
na hona atit
vahin hone aur na hone ke beech bhi hona
bearth nahin,
wo adrishya yatharth hai—
jo zinda rakhta hai
aage tumhare hone ko.
स्रोत :
रचनाकार : रिदम राही
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.