शेषशायी  विष्णु  अंतर्ध्यान  हो  गए  हैं  
जब  धीरे-धीरे  गंगा  किनारे  से  लालिमा  शहर  की  ओर  उठ  रही  थी  
और  धीरे-धीरे  के  लय  में  काशीजन  अपने  अलसाई  नींद  से  जाग  रहे  थे  
गलियों  में  कोयले  जलने  से  पहले  धुआँ  रहे  थे  
और  गंगास्नानातुर  बुढ़िया  राम-राम  गाते  गंगा  की  ओर  जा  रही  थी  
सोते  कुत्तों  की  नींद  और  साँड़ों  के  गोबर  से  बचते  हुए  
और  बीच-बीच  में  गलियाते  हुए  
गोया  किसी  एक  जगह  उसका  मन  नहीं  ठहरता  
कि  आजकल  गंगा  नहाते  ही  उसके  देह  में  खुजली  बढ़  जाती  है  
गंगा-स्नान  के  बाद  सभी  छोटे-बड़े  मंदिरों  पर  गंगा  जल  चढ़ाते,  
शीश  नवाते  पक्का  महाल  जाने  वाली  मैया  
आजकल  मणिकर्णिका  से  होकर  जाती  है  
हल्ला  मचा  
और  अचकचाए  बनारस  को  पता  चला  कि  
शेषशायी  विष्णु  अंतर्ध्यान  हो  गए  हैं  
ललिता  घाट  वाले  
                sheshshai  vishnu  antardhyan  ho  ge  hain  
jab  dhire  dhire  ganga  kinare  se  lalima  shahr  ki  or  uth  rahi  thi  
aur  dhire  dhire  ke  lay  mein  kashijan  apne  alsai  neend  se  jaag  rahe  the  
galiyon  mein  koyle  jalne  se  pahle  dhuna  rahe  the  
aur  gangasnantur  buDhiya  raam  raam  gate  ganga  ki  or  ja  rahi  thi  
sote  kutton  ke  neend  aur  sanDhon  ke  gobar  ko  bachate  hue  
aur  beech  beech  mein  galiyate  hue  
goya  kisi  ek  jagah  uska  man  nahin  thaharta  
ki  ajkal  ganga  nahate  hi  uske  deh  mein  khujli  baDh  jati  hai  
gangasnan  ke  baad  sabhi  chhote  baDe  mandiron  par  ganga  jal  chaDhate,  
sheesh  navate  pakka  mahal  jane  vali  maiya  
ajkal  manikarnika  se  hokar  jati  hai  
halla  macha  
aur  achakchaye  banaras  ko  pata  chala  ki  
sheshashayi  vishnu  antardhyan  ho  ge  hain  
lalita  ghaat  vale  

        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : कुमार मंगलम 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.