पवित्र, शाश्वत और सुहावना आज
क्या अपने उन्मत्त डैने से खींच लेगा
यह कटु-कठोर बिसरा दी गई त्रस्त झील तुषार के नीचे
उड़ानों की पारदर्शी हिमानी जो कभी यहाँ से ग़ायब हुई नहीं!
एक हंस को स्मृत हुआ विगत कि वह ख़ुद है शोभायमान-प्रतापी
लेकिन हताश जो गा नहीं सकता
जहाँ जीता है वहाँ जब अनुर्वर शीत
फैला देती है नीरसता, विरक्ति का मंज़र।
छुटकारा पा लेगी उसकी गर्दन इस धवल यंत्रणा से
जो उसकी इच्छा विरुद्ध लादा गया है आकाश-चक्र द्वारा
लेकिन पृथ्वी द्वारा पंख हरण की घात से उसका त्राण नहीं।
मृगमरीचिका-आभास ने बख़्शा है इसे अपनी शुभ्र कांति से
तिरस्कार के भावशून्य ठंडे स्वप्न से वह हो गया है जड़
जिसे धारण किया है हंस ने अपने वृथा निर्वासन के दौरान।
pavitra, shashvat aur suhavna aaj
kya apne unmatt Daine se kheench lega
ye katu kathor bisra di gai trast jheel tushar ke niche
uDanon ki paradarshi himani jo kabhi yahan se ghayab hui nahin!
ek hans ko smrit hua vigat ki wo khud hai shobhayaman pratapi
lekin hatash jo ga nahin sakta
jahan jita hai vahan jab anurvar sheet
phaila deti hai nirasta, virakti ka manzar.
chhutkara pa legi uski gardan is dhaval yantrna se
jo uski ichchha viruddh lada gaya hai akash chakr dvara
lekin prithvi dvara pankh haran ki ghaat se uska traan nahin.
mrigamrichika abhas ne bakhsha hai ise apni shubhr kanti se
tiraskar ke bhavashunya thanDe svapn se wo ho gaya hai jaD
jise dharan kiya hai hans ne apne vritha nirvasan ke dauran.

स्रोत :
पुस्तक : सदानीरा पत्रिका
संपादक : अविनाश मिश्र
रचनाकार : स्टीफेन मलार्मे
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.