मैंने एवज़ के बारे में तब तक नहीं सोचा
जब तक मेरे पास मूल चीज़ें थीं
पर अब लगता है कि
कहीं मूल चीज़ें ही तो नहीं थीं एवज़?
मेरे कमरे में रखी हुईं
ये सारी प्रतिनिधि चीज़ें
कब प्रतिफल बन गईं
मुझे पता तक नहीं चला।
थाली के ठौर पर चम्मच
और चम्मच के ठौर पर गिलास
गिलास के ठौर पर पानी
और पानी के ठौर पर बर्फ़
बर्फ़ के ठौर पर छुरी
और छुरी के ठौर पर मेरे सुंदर हाथ।
चीज़ें ख़ुद ही बदल लेती हैं
मेरे कमरे में
अपनी नियत जगहें
और इस स्थानापन्न में
मैं ही एवज़
चीज़ों की दया पर
जी रही हूँ
चीज़ों पर आँखें गाड़कर।
चीज़ें मुझे कहती हैं—
मैं वह नहीं हूँ
जो मैं हूँ
और मैं मान लेती हूँ
इनकी हर एक बात
बिना किसी बहस के।
mainne evaz ke bare mein tab tak nahin socha
jab tak mere paas mool chizen theen
par ab lagta hai ki
kahin mool chizen hi to nahin theen evaz?
mere kamre mein rakhi huin
ye sari pratinidhi chizen
kab pratiphal ban gain
mujhe pata tak nahin chala.
thali ke thaur par chammach
aur chammach ke thaur par gilas
gilas ke thaur par pani
aur pani ke thaur par barf
barf ke thaur par chhuri
aur chhuri ke thaur par mere sundar haath.
chizen khud hi badal leti hain
mere kamre men
apni niyat jaghen
aur is sthanapann men
main hi evaz
chizon ki daya par
ji rahi hoon
chizon par ankhen gaDkar.
chizen mujhe kahti hain—
main wo nahin hoon
jo main hoon
aur main maan leti hoon
inki har ek baat
bina kisi bahs ke.
mainne evaz ke bare mein tab tak nahin socha
jab tak mere paas mool chizen theen
par ab lagta hai ki
kahin mool chizen hi to nahin theen evaz?
mere kamre mein rakhi huin
ye sari pratinidhi chizen
kab pratiphal ban gain
mujhe pata tak nahin chala.
thali ke thaur par chammach
aur chammach ke thaur par gilas
gilas ke thaur par pani
aur pani ke thaur par barf
barf ke thaur par chhuri
aur chhuri ke thaur par mere sundar haath.
chizen khud hi badal leti hain
mere kamre men
apni niyat jaghen
aur is sthanapann men
main hi evaz
chizon ki daya par
ji rahi hoon
chizon par ankhen gaDkar.
chizen mujhe kahti hain—
main wo nahin hoon
jo main hoon
aur main maan leti hoon
inki har ek baat
bina kisi bahs ke.
स्रोत :
रचनाकार : मनीषा जोषी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.