एक लड़की
खेतों बीच बिछी सड़क पर
साइकिल चला रही है
उसके पैर तेज़ी से चक्का घुमा रहे हैं
और दूरियाँ सिकुड़ती जाती हैं
पहियों के नीचे
उसके हाथ घंटी बजाते हैं
तो वृक्ष चौंक-चौंक जाते हैं
शरद की धूप में
साइकिल का हैंडल चमकता है
और पीछे की ओर
हवा में लहराती उसकी चुन्नी भी
खेतों में बाजरे की बालियाँ
ख़ुश होती हैं सिर हिला
उसकी रफ़्तार देख
एक पक्षी ऊपर उड़
आगे रास्ता दिखाता है
पीपल की छाँह तले बैठा एक बूढ़ा
चोंधियाती आँखों से उसे देख
बड़बड़ाता है
अपनी दाढ़ी पर हाथ फेरते हुए
‘अल्लाह! क्या वक़्त आया है?’
छूट रहे हैं साइकिल के पीछे
घर मंदिर-मस्जिद और चौपाल
गाँव बाहर की छोटी पहाड़ी
बुलाती है उसे अपने पास
‘बढ़ो! और आगे बढ़ो?'
एक लड़की
खेतों बीच आगे बढ़ी सड़क पर
साइकिल दौड़ा रही है।
ek laDki
kheton beech bichhi saDak par
cycle chala rahi hai
uske pair tezi se chakka ghuma rahe hain
aur duriya sikuDti jati hai
pahiyon ke niche,
uske hath ghanti bajate hain
to wriksh chaunk chaunk jate hain
sharad ki dhoop mein
cycle ka hainDal chamakta hai
aur pichhe ki or
hawa mein lahrati uski chunni bhi
kheton mein bajre ki baliyan
khush hoti hain sir hila
uski raftar dekh;
ek pakshi upar uD
age rasta dikhata hai
pipal ki chhanh tale baitha ek buDha
chondhiyati ankhon se use dekh
baDbaData hai
apni daDi par hath pherte hue
‘allah! kya wakt aaya hai?’
chhoot rahe hain cycle ke pichhe
ghar mandir masjid aur chaupal;
ganw bahar ki chhotabh pahaDi
bulati hai use apne pas
‘baDho! aur aage baDho?
ek laDki
kheton beech aage baDhi saDak par
cycle dauDa rahi hai
ek laDki
kheton beech bichhi saDak par
cycle chala rahi hai
uske pair tezi se chakka ghuma rahe hain
aur duriya sikuDti jati hai
pahiyon ke niche,
uske hath ghanti bajate hain
to wriksh chaunk chaunk jate hain
sharad ki dhoop mein
cycle ka hainDal chamakta hai
aur pichhe ki or
hawa mein lahrati uski chunni bhi
kheton mein bajre ki baliyan
khush hoti hain sir hila
uski raftar dekh;
ek pakshi upar uD
age rasta dikhata hai
pipal ki chhanh tale baitha ek buDha
chondhiyati ankhon se use dekh
baDbaData hai
apni daDi par hath pherte hue
‘allah! kya wakt aaya hai?’
chhoot rahe hain cycle ke pichhe
ghar mandir masjid aur chaupal;
ganw bahar ki chhotabh pahaDi
bulati hai use apne pas
‘baDho! aur aage baDho?
ek laDki
kheton beech aage baDhi saDak par
cycle dauDa rahi hai
स्रोत :
पुस्तक : अक्सर (पृष्ठ 48)
रचनाकार : जुगमंदिर तायल
प्रकाशन : पंचशील प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.