छूटे हुए लोग, हर जगह होते हैं
वे अपने आप को बाँटने के लिए लालायित होते हैं
पर वाचाल नहीं होते
वे क्रोध में तो होते हैं पर खूँखार नहीं होते
और चुप रहते हैं।
वे तो बस चिड़िया की तरह होते हैं जो
कौवों से डर जातीं है
वे किसी पेड़ के
निचले और पीले पड़ चुके पत्तों जैसे होते हैं
जो भरसक कोशिश करते हैं
फिर भी गिर जाते हैं
उन जुगनूओं की तरह होते हैं वो
जो जाने किस लिए बस अँधेरों में चमकती हैं
सबसे छिप के
और दिन में खो जाते हैं
वे छूटे हुए लोग
किसी के अहँकार से, अधिकार से, और भीड़ में दब गई
आवाज़ की तरह होते हैं
जो कुछ नहीं कहते।
ये जीवन की सारी संभावनाओं और
अच्छे कर्मों के प्रति आश्वस्त रहते हैं
और विश्वास करते हैं अच्छी सुबहों के आने का।
वे घरों में होते हैं
और चुपचाप अपना काम करते हैं
वे कई ओहदों पर होते हैं
और इस्तेमाल किए जाते हैं।
वे सभाओं में अपनी बारी के लिए
बढ़ती धड़कनों के साथ भीतर ही भीतर
तूफ़ान की तरह व्याकुल
और बाहर से पहाड़ों जैसे शांत रहते हैं
निरंतर।
chhute hue log, har jagah hote hain
ve apne aap ko bantne ke liye lalayit hote hain
par vachal nahin hote
ve krodh mein to hote hain par khunkhar nahin hote
aur chup rahte hain.
ve to bas chiDiya ki tarah hote hain jo
kauvon se Dar jatin hai
ve kisi peD ke
nichle aur pile paD chuke patton jaise hote hain
jo bharsak koshish karte hain
phir bhi gir jate hain
un jugnuon ki tarah hote hain wo
jo jane kisaliye bas andheron mein chamakti hain
sabse chhip ke
aur din mein kho jate hain
ve chhute hue log
kisi ke ahnkar se, adhikar se, aur bheeD mein dab gai
avaz ki tarah hote hain
jo kuch nahin kahte.
ye jivan ki sari sambhavnaon aur
achchhe karmon ke prati ashvast rahte hain
aur vishvas karte hain achchhi subhon ke aane ka.
ve gharon mein hote hain
aur chupchap apna kaam karte hain
ve kai ohdon par hote hain
aur istemal kiye jate hain.
ve sabhaon mein apni bari ke liye
baDhti dhaDaknon ke saath bhitar hi bhitar
tuphan ki tarah vyakul
aur bahar se pahaDon jaise shaant rahte hain
nirantar.
chhute hue log, har jagah hote hain
ve apne aap ko bantne ke liye lalayit hote hain
par vachal nahin hote
ve krodh mein to hote hain par khunkhar nahin hote
aur chup rahte hain.
ve to bas chiDiya ki tarah hote hain jo
kauvon se Dar jatin hai
ve kisi peD ke
nichle aur pile paD chuke patton jaise hote hain
jo bharsak koshish karte hain
phir bhi gir jate hain
un jugnuon ki tarah hote hain wo
jo jane kisaliye bas andheron mein chamakti hain
sabse chhip ke
aur din mein kho jate hain
ve chhute hue log
kisi ke ahnkar se, adhikar se, aur bheeD mein dab gai
avaz ki tarah hote hain
jo kuch nahin kahte.
ye jivan ki sari sambhavnaon aur
achchhe karmon ke prati ashvast rahte hain
aur vishvas karte hain achchhi subhon ke aane ka.
ve gharon mein hote hain
aur chupchap apna kaam karte hain
ve kai ohdon par hote hain
aur istemal kiye jate hain.
ve sabhaon mein apni bari ke liye
baDhti dhaDaknon ke saath bhitar hi bhitar
tuphan ki tarah vyakul
aur bahar se pahaDon jaise shaant rahte hain
nirantar.
स्रोत :
रचनाकार : आकाश वर्मा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.