मैं  खुलकर  बोलना  चाहता  हूँ  
सत्य  के  पक्ष  में  
पर  नहीं  बोल  पा  रहा  हूँ  
कुंद  हो  रही  है  मेरी  आवाज़  
झूठ  के  नुमाइंदों  के  बीच  
शब्दों  को  गढ़ने  में  माहिर  मैं  
अभिव्यक्ति  की  अनुपम  कला  में  माहिर  
तत्पर  हूँ  अभिव्यक्ति  के  ख़तरे  उठाने  ख़ातिर  
पर  ये  क्या?  
घोंट  दिए  जा  रहे  हैं  मेरे  शब्द  
मेरे  शब्दों  की  घरघराहट  
भेद  रही  है  मेरे  ही  कानों  को...  
मैं  कर  रहा  हूँ  ख़ुद  को  तैयार  बार-बार  
पर  बार-बार  कर  दी  जाती  है  मेरी  भाषा  ख़ारिज  
झूठ  की  तख़्तियों  के  बीच...  
मैं  बोलूँगा,  
अवश्य  बोलूँगा  
सत्य  के  पक्ष  में  अवश्य  बोलूँगा  
इन  ख़तरों  को  उठाने  के  लिए  अब  तैयार  हूँ  मैं  
बार-बार  हो  रही  है  मेरी  भाषा  की  मुनादी  
पर  मैं  बोलूँगा,  भाषा  की  हत्या  होने  से  पहले  
तर्क  के  ठोस  औज़ार  और  जीवंत  भाषा  में  बोलूँगा।  
             
                main  khulkar  bolna  chahta  hoon  
satya  ke  paksh  men  
par  nahin  bol  pa  raha  hoon  
kund  ho  rahi  hai  meri  avaz  
jhooth  ke  numaindon  ke  beech  
shabdon  ko  gaDhne  mein  mahir  main  
abhivyakti  ki  anupam  kala  mein  mahir  
tatpar  hoon  abhivyakti  ke  khatre  uthane  khatir  
par  ye  kyaa?  
ghont  diye  ja  rahe  hain  mere  shabd  
mere  shabdon  ki  ghargharaht  
bhed  rahi  hai  mere  hi  kanon  ko.  .  .  
main  kar  raha  hoon  khud  ko  taiyar  baar  baar  
par  baar  baar  kar  di  jati  hai  meri  bhasha  kharij  
jhooth  ki  takhtiyon  ke  beech.  .  .  
main  bolunga,  
avashya  bolunga  
satya  ke  paksh  mein  avashya  bolunga  
in  khatron  ko  uthane  ke  liye  ab  taiyar  hoon  main  
baar  baar  ho  rahi  hai  meri  bhasha  ki  munadi  
par  main  bolunga,  bhasha  ki  hatya  hone  se  pahle  
tark  ke  thos  auzar  aur  jivant  bhasha  mein  bolunga.  
main  khulkar  bolna  chahta  hoon  
satya  ke  paksh  men  
par  nahin  bol  pa  raha  hoon  
kund  ho  rahi  hai  meri  avaz  
jhooth  ke  numaindon  ke  beech  
shabdon  ko  gaDhne  mein  mahir  main  
abhivyakti  ki  anupam  kala  mein  mahir  
tatpar  hoon  abhivyakti  ke  khatre  uthane  khatir  
par  ye  kyaa?  
ghont  diye  ja  rahe  hain  mere  shabd  
mere  shabdon  ki  ghargharaht  
bhed  rahi  hai  mere  hi  kanon  ko.  .  .  
main  kar  raha  hoon  khud  ko  taiyar  baar  baar  
par  baar  baar  kar  di  jati  hai  meri  bhasha  kharij  
jhooth  ki  takhtiyon  ke  beech.  .  .  
main  bolunga,  
avashya  bolunga  
satya  ke  paksh  mein  avashya  bolunga  
in  khatron  ko  uthane  ke  liye  ab  taiyar  hoon  main  
baar  baar  ho  rahi  hai  meri  bhasha  ki  munadi  
par  main  bolunga,  bhasha  ki  hatya  hone  se  pahle  
tark  ke  thos  auzar  aur  jivant  bhasha  mein  bolunga.  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : वंदना गुप्ता  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.