इस बारिश में हर उम्र का अपना ही मज़ा है
बचपन में बरसे तो काग़ज़ की कश्ती और भीगा बस्ता है।
स्कूल न जाने का बहाना और मस्ती की दुआ है।
जवानी में बरसे तो इश्क़ की बारिश
चुपके से झुकती मिलती नज़रें, हाथों को थामे इक प्रेमी का जोड़ा हैं।
नई नवेली दुल्हन के मेहंदी वाले हाथ जिनसे आती
सोंधी ख़ूशबू या किसी के आने के इंतज़ार में मिलती सज़ा हैं।
चालीस में बरसे तो भीगे कपड़े जो चार दिन से सूखे नहीं
घर में गिले पैरों के निशान साफ़ करती और चाय पकौड़े बनती एक माँ हैं।
साठ में बरसे तो बिना पकौड़े कम चीनी पर सुकून कि
चाय की चुस्की लेते ज़िम्मेदारियों से थके माँ बाप फिर साथ जीना जिनकी वजह हैं।
अस्सी में बरसे तो कमज़ोर आँखे लिए ज़िंदगी का तजुर्बा
जो फिर ढूँढे फिर वहीं भिगा बचपन
काग़ज़ की कश्ती और भिगा बस्ता
बस ख़ुद से पूछती अब वो दिन कहाँ है?
is barish mein har umr ka apna hi maza hai
bachpan mein barse to kaghaz ki kashti aur bhiga basta hai.
skool na jane ka bahana aur masti ki dua hai.
javani mein barse to ishk ki barish
chupke se jhukti milti nazren, hathon ko thame ik premi ka joDa hain.
nai naveli dulhan ke mehandi vale haath jinse aati
sondhi khushbu ya kisi ke aane ke intzaar mein milti saza hain.
chalis mein barse to bhige kapDe jo chaar din se sukhe nahin
ghar mein gile pairon ke nishan saaf karti aur chaay pakauDe banti ek maan hain.
saath mein barse to bina pakauDe kam chini par sukun ki
chaay ki chuski lete zimmedariyon se thake maan baap phir saath jina jinki vazah hain.
assi mein barse to kamzor ankhe liye zindagi ka tajurba
jo phir DhunDhe phir vahin bhiga bachpan
kaghaz ki kashti aur bhiga basta
bas khud se puchhti ab wo din kahan hai?

स्रोत :
रचनाकार : मनीषा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.