हत्यारे  के  खूँटे  में  बँधी  बकरी  
बड़े  चाव  से  खा  रही  है  घास  और  पत्तियाँ  
पेट  भरने  के  बाद  आराम  से  बैठकर  पगुरा  रही  है  
बीच-बीच  में  स्वयं  से  बोल-बतिया  रही  है  
हत्यारा  सोचता  है—वह  मिमिया  रही  है  
बकरी  हत्यारे  की  भाषा  नहीं  समझती  
जिस  तरह  हत्यारा  नहीं  समझता  बकरी  की  भाषा  
हत्यारा  अगर  समझ  लेता  बकरी  की  भाषा  
तो  अपना  चाकू  फेंक  देता  अंगुलिमाल  की  तरह  
बकरी  अगर  समझ  लेती  हत्यारे  की  भाषा  तो  वह  
अपनी  हत्या  के  पहले  ही  हदस  से  मर  जाती  
हत्यारा  बकरी  में  मांस  देखता  है  
और  बकरी  हत्यारे  का  प्यार  देखती  है  
वह  समझती  है  कितना  प्यारा  है  यह  आदमी  
जो  उसे  देता  है  हर  दिन  हरा-हरा,  ताज़ा  चारा  
हत्यारे  के  मन  में  हरदम  बकरी  के  भाग  जाने  का  भय  है  
इसीलिए  वह  रस्सी  से  बाँध,  
बकरी  को  बंद  कर  रखता  है  घर  में  
बंदिनी  बकरी  फाटक  के  अंदर  एकाध  बार  मिमियाती  है  
हत्यारा  समझता  है  बकरी  डर  कर  चिल्लाती  है  
उसे  यह  कहाँ  पता  कि  बकरी  को  मौत  का  बिल्कुल  ख़ौफ़  नहीं  है  
हत्यारा  बकरी  की  भाषा  अंत  तक  नहीं  समझ  पाता  
बकरी  हत्यारे  के  प्यार  को  अंत  तक  नहीं  भूल  पाती।  
                hatyare  ke  khunte  mein  bandhi  bakri  
baDe  chaw  se  kha  rahi  hai  ghas  aur  pattiyan  
pet  bharne  ke  baad  aram  se  baithkar  pagura  rahi  hai  
beech  beech  mein  swayan  se  bol  batiya  rahi  hai  
hatyara  sochta  hai—wah  mimiya  rahi  hai  
bakri  hatyare  ki  bhasha  nahin  samajhti  
jis  tarah  hatyara  nahin  samajhta  bakri  ki  bhasha  
hatyara  agar  samajh  leta  bakri  ki  bhasha  
to  apna  chaku  phenk  deta  angulimal  ki  tarah  
bakri  agar  samajh  leti  hatyare  ki  bhasha  to  wo  
apni  hattya  ke  pahle  hi  hadas  se  mar  jati  
hatyara  bakri  mein  mans  dekhta  hai  
aur  bakri  hatyare  ka  pyar  dekhti  hai  
wo  samajhti  hai  kitna  pyara  hai  ye  adami  
jo  use  deta  hai  har  din  hara  hara,  taza  chara  
hatyare  ke  man  mein  hardam  bakri  ke  bhag  jane  ka  bhay  hai  
isiliye  wo  rassi  se  bandh,  
bakri  ko  band  kar  rakhta  hai  ghar  mein  
bandini  bakri  phatak  ke  andar  ekadh  bar  mimiyati  hai  
hatyara  samajhta  hai  bakri  Dar  kar  chillati  hai  
use  ye  kahan  pata  ki  bakri  ko  maut  ka  bilkul  khauf  nahin  hai  
hatyara  bakri  ki  bhasha  ant  tak  nahin  samajh  pata  
bakri  hatyare  ke  pyar  ko  ant  tak  nahin  bhool  pati  

        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : ललन चतुर्वेदी 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.