मैं  जग-जीवन  का  भार  लिए  फिरता  हूँ,  
फिर  भी  जीवन  में  प्यार  लिए  फिरता  हूँ;  
कर  दिया  किसी  ने  झंकृत  जिनको  छूकर  
मैं  साँसों  के  दो  तार  लिए  फिरता  हूँ!  
मैं  स्नेह-सूरा  का  पान  किया  करता  हूँ,  
मैं  कभी  न  जग  का  ध्यान  किया  करता  हूँ,  
जग  पूछ  रहा  उनको,जो  जग  की  गाते,  
मैं  अपने  मन  का  गान  किया  करता  हूँ!  
मैं  निज  उर  के  उद्गार  लिए  फिरता  हूँ,  
मैं  निज  उर  के  उपहार  लिए  फिरता  हूँ;  
है  यह  अपूर्ण  संसार  न  मुझको  भाता  
मैं  स्वप्नों  का  संसार  लिए  फिरता  हूँ!  
मैं  जला  ह्रदय  में  अग्नि  दहा  करता  हूँ,  
सुख-दुख  दोनों  में  मग्न  रहा  करता  हूँ;  
जग  भव-सागर  तरने  को  नाव  बनाए,  
मैं  भव  मौजों  पर  मस्त  बहा  करता  हूँ!  
मैं  यौवन  का  उन्माद  लिए  फिरता  हूँ,  
उन्मादों  में  अवसाद  लिए  फिरता  हूँ,  
जो  मुझको  बाहर  हँसा,  रुलाती  भीतर,  
मैं,  हाय,  किसी  की  याद  लिए  फिरता  हूँ!  
कर  यत्न  मिटे  सब,सत्य  किसी  ने  जाना?  
नादान  वहीं  है,हाय,जहाँ  पर  दाना!  
फिर  मूढ़  न  क्या  जग,  जो  इस  पर  भी  सीखे?  
मैं  सीख  रहा  हूँ,  सीखा  ज्ञान  भुलाना!  
मैं  और,  और  जग  और,  कहाँ  का  नाता,  
मैं  बना-बना  कितने  जग  रोज़  मिटाता;  
जग  जिस  पृथ्वी  पर  जोड़ा  करता  वैभव,  
मैं  प्रति  पग  से  उस  पृथ्वी  को  ठुकराता!  
मैं  निज  रोदन  में  राग  लिए  फिरता  हूँ,  
शीतल  वाणी  में  आग  लिए  फिरता  हूँ,  
हों  जिस  पर  भूषों  के  प्रसाद  निछावर,  
मैं  वह  खंडहर  का  भाग  लिए  फिरता  हूँ।  
मैं  रोया,  इसको  तुम  कहते  हो  गाना,  
मैं  फूट  पड़ा,  तुम  कहते,  छंद  बनाना;  
क्यों  कवि  कहकर  संसार  मुझे  अपनाए,  
मैं  दुनिया  का  हूँ  एक  नया  दीवाना!  
मैं  दीवानों  का  वेश  लिए  फिरता  हूँ,  
मैं  मादकता  नि:शेष  लिए  फिरता  हूँ;  
जिसको  सुनकर  जग  झूम,  झुके,  लहराए,  
मैं  मस्ती  का  संदेश  लिए  फिरता  हूँ!  
                main  jag  jiwan  ka  bhaar  liye  phirta  hoon,  
phir  bhi  jiwan  mein  pyar  liye  phirta  hoon;  
kar  diya  kisi  ne  jhankrit  jinko  chhukar  
main  sanson  ke  do  tar  liye  phirta  hoon!  
main  sneh  sura  ka  pan  kiya  karta  hoon,  
main  kabhi  na  jag  ka  dhyan  kiya  karta  hoon,  
jag  poochh  raha  unko,jo  jag  ki  gate,  
main  apne  man  ka  gan  kiya  karta  hoon!  
main  nij  ur  ke  udgar  liye  phirta  hoon,  
main  nij  ur  ke  uphaar  liye  phirta  hoon;  
hai  ye  apurn  sansar  na  mujhko  bhata  
main  swapnon  ka  sansar  liye  phirta  hoon!  
main  jala  hrday  mein  agni  daha  karta  hoon,  
sukh  dukh  donon  mein  magn  raha  karta  hoon;  
jag  bhaw  sagar  tarne  ko  naw  banaye,  
main  bhaw  maujon  par  mast  baha  karta  hoon!  
main  yauwan  ka  unmad  liye  phirta  hoon,  
unmadon  mein  awsad  liye  phirta  hoon,  
jo  mujhko  bahar  hansa,  rulati  bhitar,  
main,  hay,  kisi  ki  yaad  liye  phirta  hoon!  
kar  yatn  mite  sab,saty  kisi  ne  jana?  
nadan  wahin  hai,hay,jahan  par  dana!  
phir  mooDh  na  kya  jag,  jo  is  par  bhi  sikhe?  
main  seekh  raha  hoon,  sikha  gyan  bhulana!  
main  aur,  aur  jag  aur,  kahan  ka  nata,  
main  bana  bana  kitne  jag  roz  mitata;  
jag  jis  prithwi  par  joDa  karta  waibhaw,  
main  prati  pag  se  us  prithwi  ko  thukrata!  
main  nij  rodan  mein  rag  liye  phirta  hoon,  
shital  wani  mein  aag  liye  phirta  hoon,  
hon  jis  par  bhushon  ke  parsad  nichhawar,  
main  wo  khanDhar  ka  bhag  liye  phirta  hoon  
main  roya,isko  tum  kahte  ho  gana,  
main  phoot  paDa,tum  kahte,chhand  banana;  
kyon  kawi  kahkar  sansar  mujhe  apnaye,  
main  duniya  ka  hoon  ek  naya  diwana!  
main  diwanon  ka  wesh  liye  phirta  hoon,  
main  madakta  nihshesh  liye  phirta  hoon;  
jisko  sunkar  jag  jhoom,jhuke,lahraye,  
main  masti  ka  sandesh  liye  phirta  hoon!  
main  jag  jiwan  ka  bhaar  liye  phirta  hoon,  
phir  bhi  jiwan  mein  pyar  liye  phirta  hoon;  
kar  diya  kisi  ne  jhankrit  jinko  chhukar  
main  sanson  ke  do  tar  liye  phirta  hoon!  
main  sneh  sura  ka  pan  kiya  karta  hoon,  
main  kabhi  na  jag  ka  dhyan  kiya  karta  hoon,  
jag  poochh  raha  unko,jo  jag  ki  gate,  
main  apne  man  ka  gan  kiya  karta  hoon!  
main  nij  ur  ke  udgar  liye  phirta  hoon,  
main  nij  ur  ke  uphaar  liye  phirta  hoon;  
hai  ye  apurn  sansar  na  mujhko  bhata  
main  swapnon  ka  sansar  liye  phirta  hoon!  
main  jala  hrday  mein  agni  daha  karta  hoon,  
sukh  dukh  donon  mein  magn  raha  karta  hoon;  
jag  bhaw  sagar  tarne  ko  naw  banaye,  
main  bhaw  maujon  par  mast  baha  karta  hoon!  
main  yauwan  ka  unmad  liye  phirta  hoon,  
unmadon  mein  awsad  liye  phirta  hoon,  
jo  mujhko  bahar  hansa,  rulati  bhitar,  
main,  hay,  kisi  ki  yaad  liye  phirta  hoon!  
kar  yatn  mite  sab,saty  kisi  ne  jana?  
nadan  wahin  hai,hay,jahan  par  dana!  
phir  mooDh  na  kya  jag,  jo  is  par  bhi  sikhe?  
main  seekh  raha  hoon,  sikha  gyan  bhulana!  
main  aur,  aur  jag  aur,  kahan  ka  nata,  
main  bana  bana  kitne  jag  roz  mitata;  
jag  jis  prithwi  par  joDa  karta  waibhaw,  
main  prati  pag  se  us  prithwi  ko  thukrata!  
main  nij  rodan  mein  rag  liye  phirta  hoon,  
shital  wani  mein  aag  liye  phirta  hoon,  
hon  jis  par  bhushon  ke  parsad  nichhawar,  
main  wo  khanDhar  ka  bhag  liye  phirta  hoon  
main  roya,isko  tum  kahte  ho  gana,  
main  phoot  paDa,tum  kahte,chhand  banana;  
kyon  kawi  kahkar  sansar  mujhe  apnaye,  
main  duniya  ka  hoon  ek  naya  diwana!  
main  diwanon  ka  wesh  liye  phirta  hoon,  
main  madakta  nihshesh  liye  phirta  hoon;  
jisko  sunkar  jag  jhoom,jhuke,lahraye,  
main  masti  ka  sandesh  liye  phirta  hoon!  
 
        
        
            
            
            
                Videos This video is playing from YouTube  
                
                
             
            
                    
                        हरिवंशराय बच्चन 
                          
                     
             
         
        
        
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : आरोह भाग-2 (पृष्ठ 5)रचनाकार  : हरिवंशराय बच्चन 
                             प्रकाशन  : एन सी ई आर टी
                         
                                                संस्करण   : 2022 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.