छिटक गई बारिश ने सोचा न था
वह गर्मी की तपन को कम कर सकती है
वह पौधों में जीवन भर सकती है
वह नदी का बहाव बन सकती है
इस जीवन में हम क्या सब कुछ सोचकर रखते हैं?
क्या सोचकर बनी थी यह धरती?
क्या किसी चित्रकार ने प्रकृति की गोद में बैठकर
बनाए थे ऊँचे पहाड़, बनाए थे झरने,
बनाई थीं सड़कें या जंगल?
¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬
यह सब एक यात्रा है,
और हर यात्रा एक रूपांतरण
बूंद से पुष्प का,
पुष्प से बीज का,
और बीज से नया अंकुर
यूँ बनी है सारी दुनिया
अपने बाद के रूपांतरण से,
एक रूप से दूसरे रूप में
बिंदु से ब्रह्माँड तक
गाँव से शहर,
शहर से राज्य, फिर देश में
हर ऊर्जा का नए में बदलाव,
किसी विचार से किताब का जन्म,
और कहीं फिर उसका पढ़ा जाना
तुम आए हो
इसी तरह किसी मकसद से
कहीं तो जड़ों से पुष्प बनोगे,
कहीं पुष्प से बीज,
और तुम्हें फिर से उगना होगा
नई जड़ें बनकर
अपनी ही नई पीढ़ियों में
तय तुम करो
क्या बनकर जाओगे
किस रूप में लौटोगे
क्योंकि अस्तित्व का कभी अंत नहीं होता।
chhitak gai barish ne socha na tha
wo garmi ki tapan ko kam kar sakti hai
wo paudhon mein jivan bhar sakti hai
wo nadi ka bahav ban sakti hai
is jivan mein hum kya sab kuch sochkar rakhte hain?
kya sochkar bani thi ye dharti?
kya kisi chitrkar ne prkriti ki god mein baithkar
banaye the uunche pahaD, banaye the jharne,
banai theen saDken ya jangal?
¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬
ye sab ek yatra hai,
aur har yatra ek rupantran
boond se pushp ka,
pushp se beej ka,
aur beej se naya ankur
yoon bani hai sari duniya
apne baad ke rupantran se,
ek roop se dusre roop men
bindu se brahmanD tak
gaanv se shahr,
shahr se rajya, phir desh men
har uurja ka ne mein badlav,
kisi vichar se kitab ka janm,
aur kahin phir uska paDha jana
tum aaye ho
isi tarah kisi maksad se
kahin to jaDon se pushp banoge,
kahin pushp se beej,
aur tumhein phir se ugna hoga
nai jaDen bankar
apni hi nai piDhiyon men
tay tum karo
kya bankar jaoge
kis roop mein lautoge
kyonki astitv ka kabhi ant nahin hota.
chhitak gai barish ne socha na tha
wo garmi ki tapan ko kam kar sakti hai
wo paudhon mein jivan bhar sakti hai
wo nadi ka bahav ban sakti hai
is jivan mein hum kya sab kuch sochkar rakhte hain?
kya sochkar bani thi ye dharti?
kya kisi chitrkar ne prkriti ki god mein baithkar
banaye the uunche pahaD, banaye the jharne,
banai theen saDken ya jangal?
¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬¬
ye sab ek yatra hai,
aur har yatra ek rupantran
boond se pushp ka,
pushp se beej ka,
aur beej se naya ankur
yoon bani hai sari duniya
apne baad ke rupantran se,
ek roop se dusre roop men
bindu se brahmanD tak
gaanv se shahr,
shahr se rajya, phir desh men
har uurja ka ne mein badlav,
kisi vichar se kitab ka janm,
aur kahin phir uska paDha jana
tum aaye ho
isi tarah kisi maksad se
kahin to jaDon se pushp banoge,
kahin pushp se beej,
aur tumhein phir se ugna hoga
nai jaDen bankar
apni hi nai piDhiyon men
tay tum karo
kya bankar jaoge
kis roop mein lautoge
kyonki astitv ka kabhi ant nahin hota.
स्रोत :
रचनाकार : रिदम राही
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.