अपनी उम्र के तीस पार पर
ये कविता सीधे-सीधे मध्यस्थ की भूमिका में आ गई है
अब बहुत-बहुत कठिनाई होती है
यह कहते कि एक वैवाहिक जीवन में प्रेम को घटित होते देखकर
भुला दिया गया वह नादान प्रेम अधेड़-सा लगने लगा है
वह प्रेम जिसके लिए कई-कई साल रोया
प्रेमिका का नाम जप उन्हें आँसुओं से धोया
उदास दिल को सालता रहा, नहीं सोया।
अब क्या किया जाए
नौकरी, गृहस्थी और अपनी तीस पार के उम्र पर
अपने जीवन की कथाएँ मोहक लगती हैं
धक्-धक् करता दिल; उसाँस भरता हूँ
मानना कठोर है लेकिन कहना नहीं कि ‘उदासी शब्द
ठीक-ठाक नहीं ले पाती उदासी की जगहें’
क्योंकर ये कह हँस देता हूँ हेंहें...
साधो,
रीत रहा है जीवन लय-गति थमथम
अपनी उम्र के तीस पार पर धमधम
नवजात-होरिल-शिशु-नवयुवक-वयस्क-प्रौढ़
वृद्धावस्था की दौड़
ये कविता प्रेम को पा गई है,
मेरी प्रेमिका आवाज़ लगा गई है।
विदा कि मिलने के वक़्त फिर आएँ
तीसवें जन्मदिन में टूट गईं बाधाएँ!
apni umr ke tees paar par
ye kavita sidhe sidhe madhyastha ki bhumika mein aa gai hai
ab bahut bahut kathinai hoti hai
ye kahte ki ek vaivahik jivan mein prem ko ghatit hote dekhkar
bhula diya gaya wo nadan prem adheD sa lagne laga hai
wo prem jiske liye kai kai saal roya
premika ka naam jap unhen ansuon se dhoya
udaas dil ko salta raha, nahin soya.
ab kya kiya jaye
naukari, grihasthi aur apni tees paar ke umr par
apne jivan ki kathayen mohak lagti hain
dhak dhak karta dil; usaans bharta hoon
manna kathor hai lekin kahna nahin ki ‘udasi shabd
theek thaak nahin le pati udasi ki jaghen’
kyonkar ye kah hans deta hoon henhen. . .
sadho,
reet raha hai jivan lay gati thamtham
apni umr ke tees paar par dhamdham
navjat horil shishu navyuvak vayask prauDh
vriddhavastha ki dauD
ye kavita prem ko pa gai hai,
meri premika avaz laga gai hai.
vida ki milne ke vaqt phir ayen
tisven janmdin mein toot gain badhayen!
apni umr ke tees paar par
ye kavita sidhe sidhe madhyastha ki bhumika mein aa gai hai
ab bahut bahut kathinai hoti hai
ye kahte ki ek vaivahik jivan mein prem ko ghatit hote dekhkar
bhula diya gaya wo nadan prem adheD sa lagne laga hai
wo prem jiske liye kai kai saal roya
premika ka naam jap unhen ansuon se dhoya
udaas dil ko salta raha, nahin soya.
ab kya kiya jaye
naukari, grihasthi aur apni tees paar ke umr par
apne jivan ki kathayen mohak lagti hain
dhak dhak karta dil; usaans bharta hoon
manna kathor hai lekin kahna nahin ki ‘udasi shabd
theek thaak nahin le pati udasi ki jaghen’
kyonkar ye kah hans deta hoon henhen. . .
sadho,
reet raha hai jivan lay gati thamtham
apni umr ke tees paar par dhamdham
navjat horil shishu navyuvak vayask prauDh
vriddhavastha ki dauD
ye kavita prem ko pa gai hai,
meri premika avaz laga gai hai.
vida ki milne ke vaqt phir ayen
tisven janmdin mein toot gain badhayen!
स्रोत :
रचनाकार : राजकुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.