लौटाता हूँ
तमाम चश्मे तेरे दिए हुए
कि सोचता हूँ
अब अपनी ही आँखों से देखूँगा
मैं अपनी धरती
लोग देखता हूँ यहाँ के
सच देखता हूँ उनका
और पकता चला जाता हूँ
उन के घावों और खरोंचों के साथ
देखता हूँ उनके बच्चे
हँसी देखता हूँ उनकी
और खिलखिला उठता हूँ
दो घड़ी तितलियों और फूलों के साथ
औरतें देखता हूँ उनकी
उनकी रुलाई देखता हूँ
और बूँद-बूँद रिसने लगता हूँ
अँधेरी गुफाओं और भुतही खोहों में
अपनी धरती देखता हूँ
अपनी ही आँखों से
देखता हूँ उसका कोई छूटा हुआ सपना
और लहरा कर उड़ जाता हूँ
अचानक उसके नए आकाश में
लौटाता हूँ ये चश्मे तेरे दिए हुए
कि इनमें से कुछ का
छोटी चीज़ों को बड़ा दिखाना
और कुछ का
दूर की चीज़ों को पास दिखाना
अच्छा न लगा
कि इनमें से कुछ का
साफ़ शफ़्फ़ाफ़ चीज़ों को धुँधला दिखाना
और यहाँ तक कि कुछ का
धुँधली चीज़ों को साफ़ दिखाना भी अच्छा न लगा
देखता हूँ अपनी यह धरती
अब मेरी अपनी ही आँखों से
जिसके लिए वे बनी हैं
और देखता हूँ वैसी ही उतनी ही
जैसी जितनी कि वह है
और कोशिश करता हूँ जानने की
क्या यही एक सही तरीक़ा है देखने का!
lautata hoon
tamam chashme tere diye hue
ki sochta hoon
ab apni hi ankhon se dekhunga
main apni dharti
log dekhta hoon yahan ke
sach dekhta hoon unka
aur pakta chala jata hoon
un ke ghawon aur kharonchon ke sath
dekhta hoon unke bachche
hansi dekhta hoon unki
aur khilkhila uthta hoon
do ghaDi titaliyon aur phulon ke sath
aurten dekhta hoon unki
unki rulai dekhta hoon
aur boond boond risne lagta hoon
andheri guphaon aur bhuthi khohon mein
apni dharti dekhta hoon
apni hi ankhon se
dekhta hoon uska koi chhuta hua sapna
aur lahra kar uD jata hoon
achanak uske nae akash mein
lautata hoon ye chashme tere diye hue
ki inmen se kuch ka
chhoti chizon ko baDa dikhana
aur kuch ka
door ki chizon ko pas dikhana
achchha na laga
ki inmen se kuch ka
saf shaffaf chizon ko dhundhla dikhana
aur yahan tak ki kuch ka
dhundhli chizon ko saf dikhana bhi achchha na laga
dekhta hoon apni ye dharti
ab meri apni hi ankhon se
jiske liye we bani hain
aur dekhta hoon waisi hi utni hi
jaisi jitni ki wo hai
aur koshish karta hoon janne ki
kya yahi ek sahi tariqa hai dekhne ka!
lautata hoon
tamam chashme tere diye hue
ki sochta hoon
ab apni hi ankhon se dekhunga
main apni dharti
log dekhta hoon yahan ke
sach dekhta hoon unka
aur pakta chala jata hoon
un ke ghawon aur kharonchon ke sath
dekhta hoon unke bachche
hansi dekhta hoon unki
aur khilkhila uthta hoon
do ghaDi titaliyon aur phulon ke sath
aurten dekhta hoon unki
unki rulai dekhta hoon
aur boond boond risne lagta hoon
andheri guphaon aur bhuthi khohon mein
apni dharti dekhta hoon
apni hi ankhon se
dekhta hoon uska koi chhuta hua sapna
aur lahra kar uD jata hoon
achanak uske nae akash mein
lautata hoon ye chashme tere diye hue
ki inmen se kuch ka
chhoti chizon ko baDa dikhana
aur kuch ka
door ki chizon ko pas dikhana
achchha na laga
ki inmen se kuch ka
saf shaffaf chizon ko dhundhla dikhana
aur yahan tak ki kuch ka
dhundhli chizon ko saf dikhana bhi achchha na laga
dekhta hoon apni ye dharti
ab meri apni hi ankhon se
jiske liye we bani hain
aur dekhta hoon waisi hi utni hi
jaisi jitni ki wo hai
aur koshish karta hoon janne ki
kya yahi ek sahi tariqa hai dekhne ka!
स्रोत :
रचनाकार : अजेय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.