मेरे शिल्प कौशल मेरे आनंद
किस क़दर बचाते हो तुम मुझे
नीति और भीति के बीच,
अँधेरे-उजाले के बीच;
चट्टानों और बेडौल बादलों के मस्तिष्क
भीषण सैरे—
टकराते, बिजली कड़कती है
फूट पड़ती है विकराल आग
लड़ रहे हैं वे
आग की लपटों वाली हवा में
बुदॉ का अंतहीन युद्ध—
मैं जानती जिन्हें अपने जन्म के बीज से
जहाँ हर चीज़ कँपकँपाती है
और हर चीज़ खो जाएगी,
जहाँ हृदय होता है तार-तार,
शब्द टँगा है एक डोर पर,
जहाँ शब्द डोलता धरा से गगन तक
फुँफकारती कड़कड़ाती एक लय में
सँजोता अपने झटकों, तड़पड़ाहटों
और बादलों को।
नीति और भीति के बीच
या फिर अनीति-भरी भीति से,
मेरे शिल्प-कौशल तुम्हीं हो जो
अब भी तौल देते हो अतुल्य को,
तुम, एक डोलता पेंडुलम,
टिकटिका देते तुम एकाकी काल को।
ओ मेरे शिल्प कौशल तुम
करते हो रात को दिन से अलग।
mere shilp kaushal mere anand
kis qadar bachate ho tum mujhe
niti aur bhiti ke beech,
andhere ujale ke beech;
chattanon aur beDaul badlon ke mastishk
bhishan saire—
takrate, bijli kaDakti hai
phoot paDti hai vikral aag
laD rahe hain ve
aag ki lapton vali hava men
budau ka anthin yuddh—
main janti jinhen apne janm ke beej se
jahan har cheez kanpkanpati hai
aur har cheez kho jayegi,
jahan hriday hota hai taar taar,
shabd tanga hai ek Dor par,
jahan shabd Dolta dhara se gagan tak
phunphakarati kaDkaDati ek lay men
sanjota apne jhatkon, taDapDahton
aur badlon ko.
niti aur bhiti ke beech
ya phir aniti bhari bhiti se,
mere shilp kaushal tumhin ho jo
ab bhi taul dete ho atulya ko,
tum, ek Dolta penDulam,
tikatika dete tum ekaki kaal ko.
o mere shilp kaushal tum
karte ho raat ko din se alag.
mere shilp kaushal mere anand
kis qadar bachate ho tum mujhe
niti aur bhiti ke beech,
andhere ujale ke beech;
chattanon aur beDaul badlon ke mastishk
bhishan saire—
takrate, bijli kaDakti hai
phoot paDti hai vikral aag
laD rahe hain ve
aag ki lapton vali hava men
budau ka anthin yuddh—
main janti jinhen apne janm ke beej se
jahan har cheez kanpkanpati hai
aur har cheez kho jayegi,
jahan hriday hota hai taar taar,
shabd tanga hai ek Dor par,
jahan shabd Dolta dhara se gagan tak
phunphakarati kaDkaDati ek lay men
sanjota apne jhatkon, taDapDahton
aur badlon ko.
niti aur bhiti ke beech
ya phir aniti bhari bhiti se,
mere shilp kaushal tumhin ho jo
ab bhi taul dete ho atulya ko,
tum, ek Dolta penDulam,
tikatika dete tum ekaki kaal ko.
o mere shilp kaushal tum
karte ho raat ko din se alag.
स्रोत :
पुस्तक : दस आधुनिक हंगारी कवि (पृष्ठ 69)
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक-गिरधर राठी और मारगित कोवैश
प्रकाशन : वाग्देवी प्रकाशन
संस्करण : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.