इससे अधिक लिखूँ भी क्या?
तुम कभी थे ही नहीं अपने तुम्हारा
दुख मुझे क्यों सालता है?
मन किसी बहती हुई सरिता को जैसे
दृष्टि में संभालता है।
धूप से झुलसे हुए तन दिख रहे हैं
इस कथित बाज़ार में।
हर दिशा घटना ठगी की घट रही है
आपके संसार में।
एक साधक मोह में फँस कर खड़ा है,
और मन को टालता है।
गीत की सुंदर सरल गलियाँ अचानक
कोहरे से पट गईं हैं,
भावनाओं के किसी गहरे कुएँ से
सिसकियाँ क्यों आ रहीं हैं?
दूर पत्थर पर उदासी ओढ़ बैठा
कौन है खंगालता है?
प्रेम का गहरा सघन जंगल अँधेरे
बादलों से ढ़क गया है।
और मन केवल दिये की लौ उठाकर
खोज करने चल पड़ा है।
क्या पता वह चीन्ह ले इस रौशनी को
कल्पनाएँ पालता है।
isse adhik likhun bhi kyaa?
tum kabhi the hi nahin apne tumhara
dukh mujhe kyon salta hai?
man kisi bahti hui sarita ko jaise
drishti mein sambhalta hai.
dhoop se jhulse hue tan dikh rahe hain
is kathit bazar mein.
har disha ghatna thagi ki ghat rahi hai
aapke sansar mein.
ek sadhak moh mein phans kar khaDa hai,
aur man ko talta hai.
geet ki sundar saral galiyan achanak
kohre se pat gain hain,
bhavnaon ke kisi gahre kuen se
siskiyan kyon aa rahin hain?
door patthar par udasi oDh baitha
kaun hai khangalta hai?
prem ka gahra saghan jangal andhere
badlon se Dhak gaya hai.
aur man keval diye ki lau uthakar
khoj karne chal paDa hai.
kya pata wo cheenh le is raushani ko
kalpnayen palta hai.
isse adhik likhun bhi kyaa?
tum kabhi the hi nahin apne tumhara
dukh mujhe kyon salta hai?
man kisi bahti hui sarita ko jaise
drishti mein sambhalta hai.
dhoop se jhulse hue tan dikh rahe hain
is kathit bazar mein.
har disha ghatna thagi ki ghat rahi hai
aapke sansar mein.
ek sadhak moh mein phans kar khaDa hai,
aur man ko talta hai.
geet ki sundar saral galiyan achanak
kohre se pat gain hain,
bhavnaon ke kisi gahre kuen se
siskiyan kyon aa rahin hain?
door patthar par udasi oDh baitha
kaun hai khangalta hai?
prem ka gahra saghan jangal andhere
badlon se Dhak gaya hai.
aur man keval diye ki lau uthakar
khoj karne chal paDa hai.
kya pata wo cheenh le is raushani ko
kalpnayen palta hai.
स्रोत :
रचनाकार : निशांत माधव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.