एक तुम प्रेम के उपनिषद् गढ़ रही,
एक जोगी हुआ मन तुम्हारे लिए,
प्रेम तुमने किया नेह तुम भर गई,
ख़ूब ढूँढ़ा तुम्हें मन भटकता रहा,
जंगलों पर्वतों घाटियों वादियों,
ये बताओ तुम्हीं क्या ग़लत कर गया,
प्रेम की खोज में दूर तक तुम गई,
एक ठहरा रहा मन तुम्हारे लिए,
त्याग औ’ प्रेम दो साथ होते नहीं,
ज्ञान विज्ञान भी सब धरे रह गए,
कृष्ण क्या राम क्या जानकी राधिका,
एक ही थे मगर एक कब हो सके,
ज्ञान विज्ञान में तुम कहाँ खो गई,
एक जगता रहा मन तुम्हारे लिए,
पाप में पुण्य में क्यों उलझती रही,
मृत्यु से है कठिन प्रेम की वेदना,
श्राप इतिहास है प्रेम के पंथ का,
स्वर्ग से है बड़ी प्रेम की चेतना,
पुण्य की आस में तुम भटकती रही,
एक श्रापित हुआ मन तुम्हारे लिए,
ek tum prem ke upnishad gaDh rahi,
ek jogi hua man tumhare liye,
prem tumne kiya neh tum bhar gai,
khoob DhunDha tumhein man bhatakta raha,
janglon parvton ghatiyon vadiyon,
ye batao tumhin kya ghalat kar gaya,
prem ki khoj mein door tak tum gai,
ek thahra raha man tumhare liye,
tyaag au’ prem do saath hote nahin,
gyaan vigyan bhi sab dhare rah ge,
krishn kya raam kya janki radhika,
ek hi the magar ek kab ho sake,
gyaan vigyan mein tum kahan kho gai,
ek jagta raha man tumhare liye,
paap mein punya mein kyon ulajhti rahi,
mrityu se hai kathin prem ki vedna,
shraap itihas hai prem ke panth ka,
svarg se hai baDi prem ki chetna,
punya ki aas mein tum bhatakti rahi,
ek shrapit hua man tumhare liye,
ek tum prem ke upnishad gaDh rahi,
ek jogi hua man tumhare liye,
prem tumne kiya neh tum bhar gai,
khoob DhunDha tumhein man bhatakta raha,
janglon parvton ghatiyon vadiyon,
ye batao tumhin kya ghalat kar gaya,
prem ki khoj mein door tak tum gai,
ek thahra raha man tumhare liye,
tyaag au’ prem do saath hote nahin,
gyaan vigyan bhi sab dhare rah ge,
krishn kya raam kya janki radhika,
ek hi the magar ek kab ho sake,
gyaan vigyan mein tum kahan kho gai,
ek jagta raha man tumhare liye,
paap mein punya mein kyon ulajhti rahi,
mrityu se hai kathin prem ki vedna,
shraap itihas hai prem ke panth ka,
svarg se hai baDi prem ki chetna,
punya ki aas mein tum bhatakti rahi,
ek shrapit hua man tumhare liye,
स्रोत :
रचनाकार : रत्नेश अवस्थी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.