तुम हमारे द्वार पर दीपक जलाना चाहते हो,
बात अच्छी है मगर उस दीप की बाती
हमारे रक्त से ही क्यों सनी है?
कहीं ऐसा तो नही पहले अँधेरा भेजते हो,
फिर सितारों की दलाली कर उजाला बेचते हो।
क़ैदख़ाने में पड़ा सूरज रिहाई माँगता हो,
या सकल आकाश आँगन में तुम्हारे नाचता हो।
कहीं ऐसा तो नहीं तुम स्वर्ग पाना चाहते हो,
बात अच्छी है मगर उस स्वर्ग की सीढ़ी
हमारी अस्थियों से क्यों बनी है?
क्या पता हम रात भर उत्सव मनाने में जगें फिर,
ठीक अगले भोर अपनी नींद पाने में जगें फिर।
छाँव का व्यापार होने लग गया तो क्या करेंगे,
और कब तक हम उनींदे नयन में आँसू भरेंगे।
तुम मुनादी पीटकर हमको जगाना चाहते हो,
बात अच्छी है मगर अब उस नगाड़े पर
हमारी खाल मढ़कर क्यों तनी है?
tum hamare dvaar par dipak jalana chahte ho,
baat achchhi hai magar us deep ki bati
hamare rakt se hi kyon sani hai?
kahin aisa to nahi pahle andhera bhejte ho,
phir sitaron ki dalali kar ujala bechte ho.
qaidkhane mein paDa suraj rihai mangta ho,
ya sakal akash angan mein tumhare nachta ho.
kahin aisa to nahin tum svarg pana chahte ho,
baat achchhi hai magar us svarg ki siDhi
hamari asthiyon se kyon bani hai?
kya pata hum raat bhar utsav manane mein jagen phir,
theek agle bhor apni neend pane mein jagen phir.
chhaanv ka vyapar hone lag gaya to kya karenge,
aur kab tak hum uninde nayan mein ansu bharenge.
tum munadi pitkar hamko jagana chahte ho,
baat achchhi hai magar ab us nagaDe par
hamari khaal maDhkar kyon tani hai?

स्रोत :
रचनाकार : अंकित काव्यांश
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.