कभी  कुछ  याद  करता  हूँ  
कभी  कुछ  याद  आता  है  
कोई  गुज़रा  हुआ  लम्हा  
कभी  आकर  सताता  है  
कभी  आईना  बनके  कोई  
आईना  दिखाता  है  
कभी  यादों  के  झुरमुट  में  
कोई  मुझको  बुलाता  है  
मैं  इन  यादों  के  झुरमुट  में  
हमेशा  खो-सा  जाता  हूँ  
मगर  फिर  यूँ  भी  होता  है  
मैं  सब  कुछ  भूल  जाता  हूँ  
कभी  एक  रात  के  टूटे  हुए  
ख्वाबों  को  मैं  
चुनता  हूँ,  बुनता  हूँ  
उन्हें  दिनभर  सजाता  हूँ  
उन्हें  फिर  से  जगाता  हूँ  
वो  सारे  ख़्वाब  मेरे  
ज़ेहन  को  बेदार  करते  हैं  
हज़ारों  रंग  भरते  हैं  
कभी  बीती  हुई  रातों  के  
अफ़साने  सुनाते  हैं  
कभी  गुज़रे  हुए  हर  पल  को  
मेरे  पास  लाते  हैं  
कभी  तुमको  बुलाते  हैं  
कभी  तुमसे  मिलाते  हैं  
हो  कोई  रात  मैं  हर  रात  के  
आँचल  में  बस  तुमको  ही  पाता  हूँ  
मगर  फिर  यूँ  भी  होता  है  
मैं  सब  कुछ  भूल  जाता  हूँ  
कभी  ये  सोचता  हूँ  कुछ  हसीं  लम्हे  गुज़ारूँ  मैं  
किसी  को  याद  करके  चाँद  को  नीचे  उतारूँ  मैं  
किसी  की  ज़ुल्फ़  छेड़ूँ  और  गेसू  खुद  सँवारुं  मैं  
मोहब्बत  में  वो  मुझसे  जीत  जाए  और  हारूँ  मैं  
यही  सब  सोच  के  एक  एक  क़दम  आगे  बढ़ाता  हूँ  
मगर  फिर  यूँ  भी  होता  है  
मैं  सब  कुछ  भूल  जाता  हूँ  
कभी  सूरज  की  तपती  धूप  में  भी  रात  करता  हूँ  
कभी  मैं  चाँद  की  लौ  में  तुम्हीं  से  बात  करता  हूँ  
कभी  मैं  पाके  तुमको  फिर  तुम्ही  में  खो-सा  जाता  हूँ  
कभी  जब  तुम  नहीं  मिलते  मैं  तन्हा  लौट  आता  हूँ  
मैं  तुमसे  क्या  कहूँ  फिर  हर  क़दम  तुमको  ही  पाता  हूँ  
मगर  फिर  यूँ  भी  होता  है  
मैं  सब  कुछ  भूल  जाता  हूँ  
             
                kabhi  kuch  yaad  karta  hoon  
kabhi  kuch  yaad  aata  hai  
koi  guzra  hua  lamha  
kabhi  aakar  satata  hai  
kabhi  aina  banke  koi  
aina  dikhata  hai  
kabhi  yadon  ke  jhurmut  mein  
koi  mujhko  bulata  hai  
main  in  yadon  ke  jhurmut  mein  
hamesha  kho  sa  jata  hoon  
magar  phir  yoon  bhi  hota  hai  
main  sab  kuch  bhool  jata  hoon  
kabhi  ek  raat  ke  tute  hue  
khvabon  ko  main  
chunta  hoon,  bunta  hoon  
unhen  dinbhar  sajata  hoon  
unhen  phir  se  jagata  hoon  
wo  sare  khvaab  mere  
zehn  ko  bedar  karte  hain  
hazaron  rang  bharte  hain  
kabhi  biti  hui  raton  ke  
afsane  sunate  hain  
kabhi  guzre  hue  har  pal  ko  
mere  paas  late  hain  
kabhi  tumko  bulate  hain  
kabhi  tumse  milate  hain  
ho  koi  raat  main  har  raat  ke  
anchal  mein  bas  tumko  hi  pata  hoon  
magar  phir  yoon  bhi  hota  hai  
main  sab  kuch  bhool  jata  hoon  
kabhi  ye  sochta  hoon  kuch  hasin  lamhe  guzarun  main  
kisi  ko  yaad  karke  chaand  ko  niche  utarun  main  
kisi  ki  zulf  chheDun  aur  gesu  khud  sanvarun  main  
mohabbat  mein  wo  mujhse  jeet  jaye  aur  harun  main  
yahi  sab  soch  ke  ek  ek  qadam  aage  baDhata  hoon  
magar  phir  yoon  bhi  hota  hai  
main  sab  kuch  bhool  jata  hoon  
kabhi  suraj  ki  tapti  dhoop  mein  bhi  raat  karta  hoon  
kabhi  main  chaand  ki  lau  mein  tumhi  se  baat  karta  hoon  
kabhi  main  pake  tumko  phir  tumhi  mein  kho  sa  jata  hoon  
kabhi  jab  tum  nahin  milte  main  tanha  laut  aata  hoon  
main  tumse  kya  kahun  phir  har  qadam  tumko  hi  pata  hoon  
magar  phir  yoon  bhi  hota  hai  
main  sab  kuch  bhool  jata  hoon  
kabhi  kuch  yaad  karta  hoon  
kabhi  kuch  yaad  aata  hai  
koi  guzra  hua  lamha  
kabhi  aakar  satata  hai  
kabhi  aina  banke  koi  
aina  dikhata  hai  
kabhi  yadon  ke  jhurmut  mein  
koi  mujhko  bulata  hai  
main  in  yadon  ke  jhurmut  mein  
hamesha  kho  sa  jata  hoon  
magar  phir  yoon  bhi  hota  hai  
main  sab  kuch  bhool  jata  hoon  
kabhi  ek  raat  ke  tute  hue  
khvabon  ko  main  
chunta  hoon,  bunta  hoon  
unhen  dinbhar  sajata  hoon  
unhen  phir  se  jagata  hoon  
wo  sare  khvaab  mere  
zehn  ko  bedar  karte  hain  
hazaron  rang  bharte  hain  
kabhi  biti  hui  raton  ke  
afsane  sunate  hain  
kabhi  guzre  hue  har  pal  ko  
mere  paas  late  hain  
kabhi  tumko  bulate  hain  
kabhi  tumse  milate  hain  
ho  koi  raat  main  har  raat  ke  
anchal  mein  bas  tumko  hi  pata  hoon  
magar  phir  yoon  bhi  hota  hai  
main  sab  kuch  bhool  jata  hoon  
kabhi  ye  sochta  hoon  kuch  hasin  lamhe  guzarun  main  
kisi  ko  yaad  karke  chaand  ko  niche  utarun  main  
kisi  ki  zulf  chheDun  aur  gesu  khud  sanvarun  main  
mohabbat  mein  wo  mujhse  jeet  jaye  aur  harun  main  
yahi  sab  soch  ke  ek  ek  qadam  aage  baDhata  hoon  
magar  phir  yoon  bhi  hota  hai  
main  sab  kuch  bhool  jata  hoon  
kabhi  suraj  ki  tapti  dhoop  mein  bhi  raat  karta  hoon  
kabhi  main  chaand  ki  lau  mein  tumhi  se  baat  karta  hoon  
kabhi  main  pake  tumko  phir  tumhi  mein  kho  sa  jata  hoon  
kabhi  jab  tum  nahin  milte  main  tanha  laut  aata  hoon  
main  tumse  kya  kahun  phir  har  qadam  tumko  hi  pata  hoon  
magar  phir  yoon  bhi  hota  hai  
main  sab  kuch  bhool  jata  hoon  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : अनु रिज़वी  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.