किसी वेश्या ने एक सपना देखा कि एक ब्राह्मण उसके पास आया और उसके साथ सहवास किया। सुबह आँख खुलने पर उसने अपने नौकरों को उस ब्राह्मण का हुलिया बताया और उससे उसकी सेवा का दाम वसूलने को कहा। नौकरों ने ब्राह्मण को रास्ते पर जा पकड़ा और उसे सारी बात समझाकर दाम चुकाने को कहा। ब्राह्मण को काटो तो ख़ून नहीं! उसने कहा कि वह इसके बारे में कुछ नहीं जानता। पिछली रात वह अपनी पत्नी के साथ घर पर सो रहा था। और न ही उसके पास देने के लिए पैसे ही हैं। पर वेश्या के नौकरों ने उसका पिंड नहीं छोड़ा। वह गिड़गिड़ाया, विनती की, पर उनके कान पर जूं भी नहीं रेंगी। तमाशा देखने के लिए राह चलते लोगों की भीड़ लग गई। राजा को इसकी सूचना मिली तो उसने वेश्या और ब्राह्मण को दरबार में तलब किया।
वेश्या ने कहा, “मेरे ग्राहक को मेरी सेवा का मोल चुकाना पड़ता है। कल रात यह आदमी मेरे सपने में आया और सुख भोगा। इसने मेरे साथ क्या-क्या किया, मैं आपको बता नहीं सकती। उसकी क़ीमत तो इसे चुकानी ही होगी।”
राजा ने कहा, “ठीक है, तुम्हें तुम्हारी क़ीमत मिलेगी, पर उसके लिए तुम्हें थोड़ा इंतज़ार करना पड़ेगा।”
राजा ने गली में एक खंभा गाड़ने का आदेश दिया। खंभे के ऊपरी छोर पर चाँदी के सिक्कों की एक थैली बंधवाई और नीचे ज़मीन पर एक आईना रखवा दिया।
फिर राजा ने वेश्या से कहा, “आईने में हाथ डालकर अपने रुपए ले लो! ये रुपए तुम्हारे हैं।”
वेश्या चकरा गई। कहने लगी, “आईने में हाथ डालकर मैं रुपए कैसे ले सकती हूँ? मुझे असली रुपए चाहिए जो उस थैली में हैं।”
राजा ने कहा, “नहीं, वे रुपए तुम्हारे नहीं हैं। ब्राह्मण सपने में तुम्हारे पास आया था। आईने में जो रुपए तुम देख रही हो, वही तुम्हारी क़ीमत का सही भुगतान है।”
kisi veshya ne ek sapna dekha ki ek brahman uske paas aaya aur uske saath sahvas kiya. subah ankh khulne par usne apne naukron ko us brahman ka huliya bataya aur usse uski seva ka daam vasulne ko kaha. naukron ne brahman ko raste par ja pakDa aur use sari baat samjhakar daam chukane ko kaha. brahman ko kato to khoon nahin! usne kaha ki wo iske bare mein kuch nahin janta. pichhli raat wo apni patni ke saath ghar par so raha tha. aur na hi uske paas dene ke liye paise hi hain. par veshya ke naukron ne uska pinD nahin chhoDa. wo giDgiDaya, vinti ki, par unke kaan par joon bhi nahin rengi. tamasha dekhne ke liye raah chalte logon ki bheeD lag gai. raja ko iski suchana mili to usne veshya aur brahman ko darbar mein talab kiya.
veshya ne kaha, “mere grahak ko meri seva ka mol chukana paDta hai. kal raat ye adami mere sapne mein aaya aur sukh bhoga. isne mere saath kya kya kiya main aapko bata nahin sakti. uski qimat to ise chukani hi hogi. ”
raja ne kaha, “theek hai, tumhein tumhari qimat milegi, par uske liye tumhein thoDa intzaar karna paDega. ”
raja ne gali mein ek khambha gaDne ka adesh diya. khambhe ke uupri chhor par chandi ke sikkon ki ek thaili bandhvai aur niche zamin par ek aina rakhva diya.
phir raja ne veshya se kaha, “aine mein haath Dalkar apne rupe le lo! ye rupe tumhare hain. ”
veshya chakra gai. kahne lagi, “aine mein haath Dalkar main rupe kaise le sakti hoon? mujhe asli rupe chahiye jo us thaili mein hain. ”
raja ne kaha, “nahin, ve rupe tumhare nahin hain. brahman sapne mein tumhare paas aaya tha. aine mein jo rupe tum dekh rahi ho vahi tumhari qimat ka sahi bhugtan hai. ”

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
OKAY
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
Close
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
OKAY
You have remaining out of free content pages.Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.
join rekhta family!
You have exhausted your 5 free content pages. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.