सर्वनाम  के  संमुख  सहमीं  
जोड़े  हाथ  खड़ी  संज्ञाएँ  
बिना  विशेषण  वैशिष्ट्यों  का  
अभिनंदन  कर  रहीं  क्रियाएँ  
विच्छेदित  हो  रही  संधियाँ  
विग्रह  से  विचलित  समास  है  
संशयग्रस्त  समय  का  'प्रत्यय'  
मन  'विसर्ग'  का  उपन्यास  है  
कर्महीन  कर्ता  के  हिस्से—  
'सकल  पदारथ'  की  सुविधाएँ  
अलंकार,  रसहीन  व्यवस्था,  
लुप्त  छंद  का  अनुशासन  है  
सदाशयी  सत्पथ  संचारी—  
भावों  का  सूना  आसन  है  
शब्द-शक्ति  सामर्थ्य  खो  चुकीं  
अर्थहीन  हो  गई  विधाएँ  
एक  वचन  का  बहुवचनों  पर  
एकछत्र  अधिकार  अभी  भी  
बोली  से  भाषा  का  परिचित—  
परहेज़ी  व्यवहार  अभी  भी  
'वाक्यों'  की  करणी  कुछ  ऐसी  
वर्णों  की  बिखरी  निष्ठाएँ  
तद्भव-तत्सम  के  पचड़े  में  
सपने  उलझे  विश्व-ग्राम  के  
अपभ्रंशों  की  संप्रभुता  में  
चिह्न  नहीं  दिखते  विराम  के  
वैयाकरण  व्यथित  'अव्यय'  की  
आशा  छोड़  चुकी  आशाएँ  
सर्वनाम  के  सम्मुख  सहमीं  
जोड़े  हाथ  खड़ी  संज्ञाएँ  
बिना  विशेषण  वैशिष्ट्यों  का  
अभिनंदन  कर  रहीं  क्रियाएँ  
                sarvanam  ke  sanmukh  sahmin  
joDe  haath  khaDi  sangyayen  
bina  visheshan  vaishishtyon  ka  
abhinandan  kar  rahin  kriyayen  
vichchhedit  ho  rahi  sandhiyan  
vigrah  se  vichlit  samas  hai  
sanshay  grast  samay  ka  pratyay  
man  visarg  ka  upanyas  hai  
karmahin  karta  ke  hisse—  
sakal  padarath  ki  suvidhayen  
alankar,  ras  heen  vyavastha,  
lupt  chhand  ka  anushasan  hai  
sadashii  satpath  sanchari—  
bhavon  ka  suna  aasan  hai  
shabd  shakti  samarthya  kho  chukin  
arthahin  ho  gain  vidhayen  
ek  vachan  ka  bahuvachnon  par  
ek  chhatr  adhikar  abhi  bhi  
boli  se  bhasha  ka  parichit—  
parheji  vyvahar  abhi  bhi  
vakyon  ki  karni  kuch  aisi  
varnon  ki  bikhri  nishthayen  
tadbhav  tatsam  ke  pachDe  mein  
sapne  uljhe  vishv  gram  ke  
apabhranshon  ki  samprabhuta  mein  
chinh  nahin  dikhte  viram  ke  
vaiyakran  vyathit  avyay  ki  
aasha  chhoD  chukin  ashayen  
sarvanam  ke  sanmukh  sahmin  
joDe  haath  khaDi  sangyayen  
bina  visheshan  vaishishtyon  ka  
abhinandan  kar  rahin  kriyayen  
sarvanam  ke  sanmukh  sahmin  
joDe  haath  khaDi  sangyayen  
bina  visheshan  vaishishtyon  ka  
abhinandan  kar  rahin  kriyayen  
vichchhedit  ho  rahi  sandhiyan  
vigrah  se  vichlit  samas  hai  
sanshay  grast  samay  ka  pratyay  
man  visarg  ka  upanyas  hai  
karmahin  karta  ke  hisse—  
sakal  padarath  ki  suvidhayen  
alankar,  ras  heen  vyavastha,  
lupt  chhand  ka  anushasan  hai  
sadashii  satpath  sanchari—  
bhavon  ka  suna  aasan  hai  
shabd  shakti  samarthya  kho  chukin  
arthahin  ho  gain  vidhayen  
ek  vachan  ka  bahuvachnon  par  
ek  chhatr  adhikar  abhi  bhi  
boli  se  bhasha  ka  parichit—  
parheji  vyvahar  abhi  bhi  
vakyon  ki  karni  kuch  aisi  
varnon  ki  bikhri  nishthayen  
tadbhav  tatsam  ke  pachDe  mein  
sapne  uljhe  vishv  gram  ke  
apabhranshon  ki  samprabhuta  mein  
chinh  nahin  dikhte  viram  ke  
vaiyakran  vyathit  avyay  ki  
aasha  chhoD  chukin  ashayen  
sarvanam  ke  sanmukh  sahmin  
joDe  haath  khaDi  sangyayen  
bina  visheshan  vaishishtyon  ka  
abhinandan  kar  rahin  kriyayen  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : आईने अँधरा गए (पृष्ठ 27)रचनाकार  : राम निहोर तिवारी 
                             प्रकाशन  : बोधि प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2023 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.