चाँदनी की पालकी में, अक्स किसका आ रहा है?
मौन की इन वादियों में, गीत कोई गा रहा है?
इन चुराती सी निगाहों, में छुपे हैं नाज़ कितने?
तुम बताओ हैं तुम्हारी, ज़िंदगी में स्वप्न कितने!
क्या हथेली की लकीरें, अब नया कुछ बाँचती हैं?
क्या तुम्हारी उँगलियाँ भी, अब किसी को जाँचती हैं?
आईने से छुप-छुपाकर, तुम सँवारो रूप अपना,
क्या किसी के वास्ते ही, अब बुना है कोई सपना?
इस गुलाबी सी हया में, आज हैं अंदाज़ कितने,
तुम बताओ हैं तुम्हारी, ज़िंदगी में स्वप्न कितने!
क्या घटाओं से तुम्हारी, हो रही है गुफ़्तगू अब?
क्या किसी की धड़कनों की, जग रही है आरज़ू अब?
क्या किसी के नाम की, मेहँदी रचाना चाहती हो?
या किसी के गीत को, अपना बनाना चाहती हो?
भीगती-सी बारिशों में, धुल रहे एतराज़ कितने,
तुम बताओ हैं तुम्हारी, ज़िंदगी में स्वप्न कितने!
मैं तुम्हारी हर उदासी, का मुकम्मल गीत हूँ बस,
तुम अगर जो हार जाओ, तो तुम्हारी जीत हूँ बस।
भोर की पहली किरन-सी, आज मेरे पास आओ,
स्वप्न की इस कश्मकश से, सच की दुनिया में समाओ।
इस किनारे से नदी तक, तर रहे परवाज़ कितने,
तुम बताओ हैं तुम्हारी, ज़िंदगी में स्वप्न कितने!
chandni ki palaki mein, aks kiska aa raha hai?
maun ki in vadiyon mein, geet koi ga raha hai?
in churati si nigahon, mein chhupe hain naaz kitne?
tum batao hain tumhari, zindagi mein svapn kitne!
kya hatheli ki lakiren, ab naya kuch banchati hain?
kya tumhari ungliyan bhi, ab kisi ko janchati hain?
aine se chhup chhupakar, tum sanvaro roop apna,
kya kisi ke vaste hi, ab buna hai koi sapna?
is gulabi si haya mein, aaj hain andaz kitne,

kya ghataon se tumhari, ho rahi hai guftgu ab?
kya kisi ki dhaDaknon ki, jag rahi hai aarzu ab?
kya kisi ke naam ki, mehandi rachana chahti ho?
ya kisi ke geet ko, apna banana chahti ho?
bhigti si barishon mein, dhul rahe etraaz kitne,

main tumhari har udasi, ka mukammal geet hoon bas,
tum agar jo haar jao, to tumhari jeet hoon bas.
bhor ki pahli kiran si, aaj mere paas aao,
svapn ki is kashmakash se, sach ki duniya mein samao.
is kinare se nadi tak, tar rahe parvaz kitne,

स्रोत :
रचनाकार : शिवम् अवस्थी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.