तुम तो,
सहानुभूति का हाथ
रख दिया करते हो
मेरे काँधे पर।
पर जाने क्यों मुझको
ये सब कुछ भी भारी लगता है।
बढ़ता है, जब भी
परिचय पाने, हाथ तुम्हारा—
आवारा मेरा व्यक्तित्व
सिमटता-सा लगता है मुझको।
यह,
नियोजित योजना का
लक्ष्य, बिलकुल भी नहीं है
दोस्त,
मैं जहाँ आकर रुका
यह तो महज़ संयोग है
शोध की, यह भूमिका है
इस तरह से,
कम से कम, तुम तो इसे
चर्चित न करना
मेरी, अपनी ही
छाया है असफलता।
विश्वास मेरे हाथों से
खिसका हुआ-सा रेत
बस इसी कारण, ज़रा से वेग में
जी चाहकर भी,
रोक पाता हूँ नहीं ख़ुद को।
डूबना, अधिकांश
निश्चित लग रहा हो
और हो, जीने की
आशा बलवती
चीरती तट तक भी आती
एक फिर आवाज़ अंतिम।
धार,
तुम मानो न मानो
एक, दो पल को ठहरती है वहाँ।
यह,
क्षणिक उत्तेजना
बिलकुल नहीं है मित्र,
एक युग की
पीर का निष्कर्ष है।
हर मोड़ पर ही,
अंत जब उपहार माँगे
उचित फिर हर बार,
उससे भी तो
यह कहना नहीं
रुक तो।
तुम तो सहानुभूति का...।
tum to,
sahanubhuti ka haath
rakh diya karte ho
mere kandhe par.
par jane kyon mujhko
ye sab kuch bhi bhari lagta hai.
baDhta hai, jab bhi
parichay pane, haath tumhara—
avara mera vyaktitv
simatta sa lagta hai mujhko.
ye,
niyojit yojna ka
lakshya, bilkul bhi nahin hai
dost,
main jahan aakar ruka
ye to mahaj sanyog hai
shodh ki, ye bhumika hai
is tarah se,
kam se kam, tum to ise
charchit na karna
meri, apni hi
chhaya hai asphalta.
vishvas mere hathon se
khiska hua sa ret
bas isi karan, jara se veg mein
ji chahkar bhi,
rok pata hoon nahin khud ko.
Dubna, adhikansh
nishchit lag raha ho
aur ho, jine ki
aasha balavti
chirti tat tak bhi aati
ek phir avaz antim.
dhaar,
tum mano na mano
ek, do pal ko thaharti hai vahan.
ye,
kshnik uttejna
bilkul nahin hai mitr,
ek yug ki
peer ka nishkarsh hai.
har moD par hi,
ant jab uphaar mange
uchit phir har baar,
usse bhi to
ye kahna nahin
ruk to.
tum to sahanubhuti ka. . . .
tum to,
sahanubhuti ka haath
rakh diya karte ho
mere kandhe par.
par jane kyon mujhko
ye sab kuch bhi bhari lagta hai.
baDhta hai, jab bhi
parichay pane, haath tumhara—
avara mera vyaktitv
simatta sa lagta hai mujhko.
ye,
niyojit yojna ka
lakshya, bilkul bhi nahin hai
dost,
main jahan aakar ruka
ye to mahaj sanyog hai
shodh ki, ye bhumika hai
is tarah se,
kam se kam, tum to ise
charchit na karna
meri, apni hi
chhaya hai asphalta.
vishvas mere hathon se
khiska hua sa ret
bas isi karan, jara se veg mein
ji chahkar bhi,
rok pata hoon nahin khud ko.
Dubna, adhikansh
nishchit lag raha ho
aur ho, jine ki
aasha balavti
chirti tat tak bhi aati
ek phir avaz antim.
dhaar,
tum mano na mano
ek, do pal ko thaharti hai vahan.
ye,
kshnik uttejna
bilkul nahin hai mitr,
ek yug ki
peer ka nishkarsh hai.
har moD par hi,
ant jab uphaar mange
uchit phir har baar,
usse bhi to
ye kahna nahin
ruk to.
tum to sahanubhuti ka. . . .
स्रोत :
पुस्तक : संधियाँ लेकर (पृष्ठ 58)
रचनाकार : देवेंद्र 'देव'
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.