यातनाएँ सह ली पर
कर्तव्य सर्वोपरि रखा...
त्याग, शील, संकल्प को
जिस तरह जीवित रखा...
बोलो, कहाँ तक टिक सकोगे?
यदि राम-सा संघर्ष हो...
कल मुकुट जिस पर साजना था
अब उसे सब कुछ त्यागना था...
निर्णयों के द्वंद्व से
एक बालपन का सामना था...
वचन भी था थामना
आदेश भी था मानना...
इस द्वंद्व में सोचो स्वयं को
धर्म पर तुम रख सकोगे?
बोलो, कहाँ तक टिक सकोगे?
यदि राम-सा संघर्ष हो...
प्रजा तो बस राम की थी
दुनिया उसे तो जप रही थी...
वचन ही था तोड़ देता
धर्म ही था छोड़ देता...
पर पीढ़ियाँ क्या सीख लेंगी?
राम की चिंता यही थी...
हो छिन रहा एक क्षण में सब कुछ
सोचो, एक क्षण...क्या करोगे?
बोलो, कहाँ तक टिक सकोगे?
यदि राम-सा संघर्ष हो...
केवट न जाने क्या किया था
सौभाग्य जो उसको मिला था...
राम से ही तारने को
राम से ही लड़ गया था...
कुल, वंश उसके तर रहे थे
सब राम अर्पण कर रहे थे...
जब सब कुछ हो बिखरा हुआ
तुम सरल कब तक रह सकोगे?
बोलो, कहाँ तक टिक सकोगे?
यदि राम-सा संघर्ष हो...
है याद वो घटना तुम्हें?
जब राम थे वनवास में...
सिया थी हर ली गईं
था कौन उनके साथ में?
कुटी जब सूनी पड़ी थी
दो भाई और विपदा बड़ी थी...
बोलो, ऐसे मोड़ पर
तुम धैर्य कब तक रख सकोगे?
बोलो, कहाँ तक टिक सकोगे?
यदि राम सा संघर्ष हो...!
वह तो स्वयं भगवान था,
पर, कहाँ उसमें मान था...
चरित्र भी ऐसा चुना कि
जिसमें सिर्फ़ बलिदान था...
मर्यादा के प्राण थे
रघुवंश के अभिमान थे...
श्री राम के अध्याय से
एक पृष्ठ हासिल कर सकोगे...?
बोलो, कहाँ तक टिक सकोगे?
यदि राम सा संघर्ष हो...
व्यथा इतनी ही नहीं है
कथा इतनी ही नहीं है...
कुछ शब्द उनको पूर्ण कर दें,
राम वो गाथा नहीं हैं...
जब तपे संघर्ष में
तब हुए उत्कर्ष में...
क्या तुम भी ऐसी प्रेरणा
पीढ़ियों के बन सकोगे?
बोलो, कहाँ तक टिक सकोगे?
यदि राम सा संघर्ष हो...
yatnayen sah li par,
kartavya sarvopari rakha. . .
tyaag, sheel, sankalp ko,
jis tarah jivit rakha. . .
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . .
kal mukut jis par sajna tha,
ab use sab kuch tyagna tha. . .
nirnyon ke dvandv se,
ek balapan ka samna tha. . .
vachan bhi tha thamna,
adesh bhi tha manna. . .
is dvandv mein socho svayan ko
dharm par tum rakh sakoge?
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . .
praja to bas raam ki thi,
duniya use to jap rahi thi. . .
vachan hi tha toD deta,
dharm hi tha chhoD deta. . .
par piDhiyan kya seekh lengi?
raam ki chinta yahi thi. . .
ho chhin raha ek kshan mein sab kuch
socho, ek kshan. . . kya karoge?
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . .
kevat na jane kya kiya tha,
saubhagya jo usko mila tha. . .
raam se hi tarne ko,
raam se hi laD gaya tha. . .
kul, vansh uske tar rahe the,
sab raam arpan kar rahe the. . .
jab sab kuch ho bikhra hua,
tum saral kab tak rah sakoge?
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . .
hai yaad wo ghatna tumhen?
jab raam the vanvas mein. . .
siya thi har li gain
tha kaun unke saath men?
kuti jab suni paDi thi,
do bhai aur vipda baDi thi. . .
bolo, aise moD par,
tum dhairya kab tak rakh sakoge?
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . . !
wo to svayan bhagvan tha,
par, kahan usmen maan tha. . .
charitr bhi aisa chuna ki,
jismen sirf balidan tha. . .
maryada ke praan the,
raghuvansh ke abhiman the. . .
shri raam ke adhyay se,
ek prishth hasil kar sakoge. . . ?
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . .
vyatha itni hi nahin hai,
katha itni hi nahin hai. . .
kuch shabd unko poorn kar den,
raam wo gatha nahin hain. . .
jab tape sangharsh mein,
tab hue utkarsh mein. . .
kya tum bhi aisi prerna,
piDhiyon ke ban sakoge?
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . .
yatnayen sah li par,
kartavya sarvopari rakha. . .
tyaag, sheel, sankalp ko,
jis tarah jivit rakha. . .
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . .
kal mukut jis par sajna tha,
ab use sab kuch tyagna tha. . .
nirnyon ke dvandv se,
ek balapan ka samna tha. . .
vachan bhi tha thamna,
adesh bhi tha manna. . .
is dvandv mein socho svayan ko
dharm par tum rakh sakoge?
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . .
praja to bas raam ki thi,
duniya use to jap rahi thi. . .
vachan hi tha toD deta,
dharm hi tha chhoD deta. . .
par piDhiyan kya seekh lengi?
raam ki chinta yahi thi. . .
ho chhin raha ek kshan mein sab kuch
socho, ek kshan. . . kya karoge?
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . .
kevat na jane kya kiya tha,
saubhagya jo usko mila tha. . .
raam se hi tarne ko,
raam se hi laD gaya tha. . .
kul, vansh uske tar rahe the,
sab raam arpan kar rahe the. . .
jab sab kuch ho bikhra hua,
tum saral kab tak rah sakoge?
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . .
hai yaad wo ghatna tumhen?
jab raam the vanvas mein. . .
siya thi har li gain
tha kaun unke saath men?
kuti jab suni paDi thi,
do bhai aur vipda baDi thi. . .
bolo, aise moD par,
tum dhairya kab tak rakh sakoge?
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . . !
wo to svayan bhagvan tha,
par, kahan usmen maan tha. . .
charitr bhi aisa chuna ki,
jismen sirf balidan tha. . .
maryada ke praan the,
raghuvansh ke abhiman the. . .
shri raam ke adhyay se,
ek prishth hasil kar sakoge. . . ?
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . .
vyatha itni hi nahin hai,
katha itni hi nahin hai. . .
kuch shabd unko poorn kar den,
raam wo gatha nahin hain. . .
jab tape sangharsh mein,
tab hue utkarsh mein. . .
kya tum bhi aisi prerna,
piDhiyon ke ban sakoge?
bolo, kahan tak tik sakoge?
yadi raam sa sangharsh ho. . .
स्रोत :
रचनाकार : संदीप द्विवेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.