यादों का भी एक
क्रम होता है
ज़्यादा
कम
बहुत कम
बहुत ज़्यादा
कभी शून्य
याद... याद!
एक अनुपात की तरह
चलती है
कभी बटखरे की तरह बराबर नही होती
किलो ग्राम की तरह
बढ़ता रहता है यादों का भार
धीरे-धीरे ख़त्म हो रही हैं सारी इच्छाएँ।
यादें क़ब्र गाह में
पैर लटका के बैठ गई हैं
एक दिन सब दफ़ना दी जाएगी...
आत्मा प्यास की वजह से
दमतोड़ रही होगी
यादों का जत्था
मिट्टी में मिल गया होगा
तब...तक
मन भी खोखला हो जाएगा
खोखले मन को ठोकते हुए
ठन ठन की आवाज़ के साथ
निकलेगा भीतर से यादों का प्रेत
जो करेगा स्मृतियों को वश में
और देगा
अनवरत... क्रम बनाने का प्रलोभन
पर घुन लगे मन से
क्रम बनाती स्मृतियाँ,
इतना ही दोहरा पाएगी
कि यादों का भी एक क्रम होता है
yadon ka bhi ek
kram hota hai
zyada
kam
bahut kam
bahut zyada
kabhi shunya
yaad. . . yaad!
ek anupat ki tarah
chalti hai
kabhi batakhre ki tarah barabar nahi hoti
kilo gram ki tarah
baDhta rahta hai yadon ka bhaar
dhire dhire khatm ho rahi hain sari ichchhayen.
yaden qabr gaah mein
pair latka ke baith gai hain
ek din sab dafna di jayegi. . .
aatma pyaas ki vajah se
damtoD rahi hogi
yadon ka jattha
mitti mein mil gaya hoga
tab. . . tak
man bhi khokhla ho jayega
khokhle man ko thokte hue
than than ki avaz ke saath
niklega bhitar se yadon ka pret
jo karega smritiyon ko vash mein
aur dega
anavrat. . . kram banane ka pralobhan
par ghun lage man se
kram banati smritiyan,
itna hi dohra payegi
ki yadon ka bhi ek kram hota hai
yadon ka bhi ek
kram hota hai
zyada
kam
bahut kam
bahut zyada
kabhi shunya
yaad. . . yaad!
ek anupat ki tarah
chalti hai
kabhi batakhre ki tarah barabar nahi hoti
kilo gram ki tarah
baDhta rahta hai yadon ka bhaar
dhire dhire khatm ho rahi hain sari ichchhayen.
yaden qabr gaah mein
pair latka ke baith gai hain
ek din sab dafna di jayegi. . .
aatma pyaas ki vajah se
damtoD rahi hogi
yadon ka jattha
mitti mein mil gaya hoga
tab. . . tak
man bhi khokhla ho jayega
khokhle man ko thokte hue
than than ki avaz ke saath
niklega bhitar se yadon ka pret
jo karega smritiyon ko vash mein
aur dega
anavrat. . . kram banane ka pralobhan
par ghun lage man se
kram banati smritiyan,
itna hi dohra payegi
ki yadon ka bhi ek kram hota hai
स्रोत :
रचनाकार : हर्षिता त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.