हम  किसी  आख़िरत  के  लिए  तैयार  नहीं  हैं  
हर  अंत  चौंकाता  है  
सारी  तैयारियों  के  बावजूद  
फूलों  पर  उतरती  तितली  की  तरह  
या  गहरे  कुएँ  से  लौटती  बाल्टी  की  तरह  
नहीं  खुलता  अंतिम  सत्य  
पूरा  एक  जीवन  लगता  है  
पचाने  के  लिए  
यह  बात  
कि  हमसे  पहले  बहुत  कुछ  था  
रहेगा  हमारे  बाद  भी  
समय  की  इस  मियाद  में  
गीली  रेत  पर  
घिस  कर  खींचा  गया  नाम  है  
यह  जीवन  
अगर  कुछ  न  समझ  आया  
इस  दफ़ा  भी  
तो  लौट  जाऊँगा  
किसी  स्त्री  की  नाभि  से  वापिस  
जीवन  से  दूर  
मृत्यु  से  परे  
मुझे  और  सिर  चाहिए  
और  रीढ़  तो  कितनी  
इस  दुनिया  को  गहराई  से  गले  लगाने  
या  तंग  आकर  छोड़  देने  के  लिए  
बहुत  ख़ुशी  में  माँगने  से  मिलता  नहीं  पुनर्जन्म  
न  बहुत  दुख  में  फेंकी  जा  सकती  है  यह  उम्र  
जीवन  और  संसार  केवल  ईश्वर  का  जुआ  नहीं  है  
                hum  
kisi  akhirat  ke  liye  taiyar  nahin  hain  
har  ant  chaunkata  hai  
sari  taiyariyon  ke  bavjud  
phulon  par  utarti  titli  ki  tarah  
ya  
gahre  kuen  se  lautti  balti  ki  tarah  
nahin  khulta  antim  satya  
pura  ek  jivan  lagta  hai  
pachane  ke  liye  
ye  baat  
ki  hamse  pahle  bahut  kuch  tha  
rahega  hamare  baad  bhi  
samay  ki  is  miyad  men  
gili  ret  par  
ghis  kar  khincha  gaya  naam  hai  
ye  jivan  
agar  kuch  na  samajh  aaya  
is  dafa  bhi  
to  
laut  jaunga  
kisi  stri  ki  nabhi  se  vapis  
jivan  se  door  
mrityu  se  pare  
mujhe  aur  sir  chahiye  
aur  reeDh  to  kitni  
is  duniya  ko  gahrai  se  gale  lagane  
ya  tang  aakar  chhoD  dene  ke  liye  
bahut  khushi  mein  mangne  se  milta  nahin  punarjanm  
na  bahut  dukh  mein  phenki  ja  sakti  hai  ye  umr  
jivan  aur  sansar  keval  iishvar  ka  jua  nahin  hai  
hum  
kisi  akhirat  ke  liye  taiyar  nahin  hain  
har  ant  chaunkata  hai  
sari  taiyariyon  ke  bavjud  
phulon  par  utarti  titli  ki  tarah  
ya  
gahre  kuen  se  lautti  balti  ki  tarah  
nahin  khulta  antim  satya  
pura  ek  jivan  lagta  hai  
pachane  ke  liye  
ye  baat  
ki  hamse  pahle  bahut  kuch  tha  
rahega  hamare  baad  bhi  
samay  ki  is  miyad  men  
gili  ret  par  
ghis  kar  khincha  gaya  naam  hai  
ye  jivan  
agar  kuch  na  samajh  aaya  
is  dafa  bhi  
to  
laut  jaunga  
kisi  stri  ki  nabhi  se  vapis  
jivan  se  door  
mrityu  se  pare  
mujhe  aur  sir  chahiye  
aur  reeDh  to  kitni  
is  duniya  ko  gahrai  se  gale  lagane  
ya  tang  aakar  chhoD  dene  ke  liye  
bahut  khushi  mein  mangne  se  milta  nahin  punarjanm  
na  bahut  dukh  mein  phenki  ja  sakti  hai  ye  umr  
jivan  aur  sansar  keval  iishvar  ka  jua  nahin  hai  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : निशांत कौशिक 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.