जब  वह  ठठाकर  हँसता  है  
राक्षसी  हँसी  
देखकर  किसी  कमज़ोर  को  
रिरियाते-गिड़गिड़ाते  हुए  
तब  अंगारा  आँखों  से  देखती  रहती  हूँ  
उसकी  आँखों  में  
बिना  पलक  झपकाए  
इस  तरह  मैं  उससे  अपना  विरोध  दर्ज  कराती  हूँ  
वह  किसी  को  छठी  का  दूध  याद  दिलाने  
और  किसी  के  पाँवों  तले  से  
ज़मीन  खिसकाने  की  करता  है  बातें  
मैं  उसके  पाँवों  को  
काट  देने  वाली  नज़रों  से  
देखती  हूँ  लगातार  
इस  तरह  मैं  उससे  अपना  विरोध  दर्ज  कराती  हूँ  
जब  वह  किसी  निर्दोष  से  
बदला  लेने  के  लिए  
निकल  पड़ता  है  घर  से  
तब  मैं  उसकी  राह  में  काँटों  का  आह्वान  करती  हूँ  
फूलों  को  हटाकर  अपने  हाथों  से  
ख़ुद  भी  उसकी  राह  में  एक  काँटा  बनकर  खड़ी  हो  जाती  हूँ  
इस  तरह  मैं  उससे  अपना  विरोध  दर्ज  कराती  हूँ  
ऐसे  ही  किसी  काम  के  लिए  
जब  वह  हुक्म  देता  है—मेरे  साथ  चलो  
मैं  पाँव  रोप  तनकर  खड़ी  हो  जाती  हूँ  
वह  देखता  रहता  है  
चीर  देने  वाली  निगाहों  से  मुझे  
और  मैं  तब  हिलती  भी  नहीं  
उसे  उसी  की  निगाहों  से  देखती  हूँ  
इस  तरह  मैं  उससे  अपना  विरोध  दर्ज  कराती  हूँ  
उसकी  हिम्मत  तोड़ती  हूँ  
मित्रो,  विरोध  का  यह  भी  एक  तरीक़ा  है  
             
                jab  wo  thathakar  hansta  hai  
rakshsi  hansi  
dekhkar  kisi  kamzor  ko  
ririyate  giDgiDate  hue  
tab  angara  ankhon  se  dekhti  rahti  hoon  uski  ankhon  mein  
bina  palak  jhapkaye  
is  tarah  main  usse  apna  virodh  darz  karati  hoon  
wo  kisi  ko  chhathi  ka  doodh  yaad  dilane  
aur  kisi  ke  panvon  tale  se  
zamin  khiskane  ki  karta  hai  baten  
main  uske  panvon  ko  
kaat  dene  vali  nazron  se  
dekhti  hoon  lagatar  
is  tarah  main  usse  apna  virodh  darz  karati  hoon  
jab  wo  kisi  nirdosh  se  
badla  lene  ke  liye  
nikal  paDta  hai  ghar  se  
tab  main  uski  raah  mein  kanton  ka  ahvan  karti  hoon  
phulon  ko  hatakar  apne  hathon  se  
khu  bhi  uski  raah  mein  ek  kanta  bankar  khaDi  ho  jati  hoon  
is  tarah  main  usse  apna  virodh  darz  karati  hoon  
aise  hi  kisi  kaam  ke  liye  
jab  wo  hukm  deta  hai—mere  saath  chalo  
main  paanv  rop  tankar  khaDi  ho  jati  hoon  
wo  dekhta  rahta  hai  
cheer  dene  vali  nigahon  se  mujhe  
aur  main  tab  hilti  bhi  nahin  
use  usi  ki  nigahon  se  dekhti  hoon  
is  tarah  main  usse  apna  virodh  darz  karati  hoon  
uski  himmat  toDti  hoon  
mitron,  virodh  ka  ye  bhi  ek  tariqa  hai  

        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : पद्मजा शर्मा  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.