अब विदा कर दो मुझे
माँ
तेरे आँचल को छोड़
किसी और दामन से
जुड़ने को
अब विदा कर दो
तेरी गोद में बैठ बहुत से निवाले खाए थे
अब उस गोद से उतार
मेरी चुनरी आंचल में
गुड़-धानी डाल
अब विदा कर दो मुझे
मायके में बचपन की गांठें खोल
नए रिश्तों की गांठे
बांधने को
अब विदा कर दो मुझे
कभी मैं एक नन्हीं बच्ची थी
अब बहू, माँ, बनने को
अब विदा कर दो मुझे
अब तेरा ये घर मेरा नहीं
बस यहीं सोच के
अब विदा कर दो मुझे
कुछ परंपरा, मान्यताएँ और रिवाज
निभाने को
एक नया घर सजने को
अब विदा कर दो मुझे
बस वैसे ही विदा कर दो मुझे
जैसे कभी तुमको तुम्हारी माँ ने किया था
विदाई एक बार नहीं होती
हर उस पल में होती है
जब-जब कोई भी लड़की विदा होती है
क्यों कि ब्याह कैसा भी हो
विदाई तो सबकी एक-सी होती है।
ab vida kar do mujhe
maan
tere anchal ko chhoD
kisi aur daman se
juDne ko
ab vida kar do
teri god mein baith bahut se nivale khaye the
ab us god se utaar
meri chunari anchal men
guD dhani Daal
ab vida kar do mujhe
mayke mein bachpan ki ganthen khol
ne rishton ki ganthe
bandhne ko
ab vida kar do mujhe
kabhi main ek nanhin bachchi thi
ab bahu, maan, banne ko
ab vida kar do mujhe
ab tera ye ghar mera nahin
bas yahin soch ke
ab vida kar do mujhe
kuch parampara, manytayen aur rivaj
nibhane ko
ek naya ghar sajne ko
ab vida kar do mujhe
bas vaise hi vida kar do mujhe
jaise kabhi tumko tumhari maan ne kiya tha
vidai ek baar nahin hoti
har us pal mein hoti hai
jab jab koi bhi laDki vida hoti hai
kyon ki byaah kaisa bhi ho
vidai to sabki ek si hoti hai.
ab vida kar do mujhe
maan
tere anchal ko chhoD
kisi aur daman se
juDne ko
ab vida kar do
teri god mein baith bahut se nivale khaye the
ab us god se utaar
meri chunari anchal men
guD dhani Daal
ab vida kar do mujhe
mayke mein bachpan ki ganthen khol
ne rishton ki ganthe
bandhne ko
ab vida kar do mujhe
kabhi main ek nanhin bachchi thi
ab bahu, maan, banne ko
ab vida kar do mujhe
ab tera ye ghar mera nahin
bas yahin soch ke
ab vida kar do mujhe
kuch parampara, manytayen aur rivaj
nibhane ko
ek naya ghar sajne ko
ab vida kar do mujhe
bas vaise hi vida kar do mujhe
jaise kabhi tumko tumhari maan ne kiya tha
vidai ek baar nahin hoti
har us pal mein hoti hai
jab jab koi bhi laDki vida hoti hai
kyon ki byaah kaisa bhi ho
vidai to sabki ek si hoti hai.
स्रोत :
रचनाकार : मुक्ति प्रिया
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.