हर पाठ हर शब्द बदलता है
दिनों और रातों के समय या कोणों के अनुसार
उन आँखों की पारदर्शिता के अनुसार जो उन्हें पढ़ती हैं
या फिर मौत के ज्वार-भाटाओं की सतह के अनुसार।
तुम्हारा नाम वही नहीं है,
मेरा शब्द वही नहीं है
मिलने से पहले और मिलने के बाद,
दुबारा यह सोचने से पहले और सोचने के बाद
कि कल हम नहीं होंगे।
कोई भी चीज़ अलग होती है
दिन में देखी जाए या फिर रात में,
पर और भी अलग हो जाते हैं
वो शब्द जो लिखते हैं लोग
और वो शब्द जो नहीं लिखते देवता।
और कोई ऐसा घंटा नहीं है
चाहे वह सबसे होनहार या कांतिमय या शांत ही क्यूँ न हो
या चाहे फिर वह मौत की परछाई से भी परे हो,
तुलना कर सके जो प्रतिबिंबों की,
समायोजन कर सके दूरियों का
और संभव कर दे कि समान शब्द
समान आशय दर्शाएँ
हर पाठ, हर रूप, कोई चाहे या न चाहे
एक अस्थायी रंग बदलता आईना है
ज़िंदगी की छिपी अस्पष्टताओं का।
किसी चीज़ का एक ही रूप नहीं रहता हमेशा के लिए।
यहाँ तक कि अनंतता भी नहीं होती हमेशा के लिए।
har paath har shabd badalta hai
dinon aur raton ke samay ya konon ke anusar
un ankhon ki paradarshita ke anusar jo unhen paDhti hain
ya phir maut ke jvaar bhataon ki satah ke anusar.
tumhara naam vahi nahin hai,
mera shabd vahi nahin hai
milne se pahle aur milne ke baad,
dubara ye sochne se pahle aur sochne ke baad
ki kal hum nahin honge.
koi bhi cheez alag hoti hai
din mein dekhi jaye ya phir raat mein,
par aur bhi alag ho jate hain
wo shabd jo likhte hain log
aur wo shabd jo nahin likhte devta.
aur koi aisa ghanta nahin hai
chahe wo sabse honhar ya kantimay ya shaant hi kyoon na ho
ya chahe phir wo maut ki parchhai se bhi pare ho,
tulna kar sake jo pratibimbon ki,
samayojan kar sake duriyon ka
aur sambhav kar de ki saman shabd
saman ashay darshayen
har paath, har roop, koi chahe ya na chahe
ek asthayi rang badalta aina hai
zindagi ki chhipi aspashttaon ka.
kisi cheez ka ek hi roop nahin rahta hamesha ke liye.
yahan tak ki anantta bhi nahin hoti hamesha ke liye.
har paath har shabd badalta hai
dinon aur raton ke samay ya konon ke anusar
un ankhon ki paradarshita ke anusar jo unhen paDhti hain
ya phir maut ke jvaar bhataon ki satah ke anusar.
tumhara naam vahi nahin hai,
mera shabd vahi nahin hai
milne se pahle aur milne ke baad,
dubara ye sochne se pahle aur sochne ke baad
ki kal hum nahin honge.
koi bhi cheez alag hoti hai
din mein dekhi jaye ya phir raat mein,
par aur bhi alag ho jate hain
wo shabd jo likhte hain log
aur wo shabd jo nahin likhte devta.
aur koi aisa ghanta nahin hai
chahe wo sabse honhar ya kantimay ya shaant hi kyoon na ho
ya chahe phir wo maut ki parchhai se bhi pare ho,
tulna kar sake jo pratibimbon ki,
samayojan kar sake duriyon ka
aur sambhav kar de ki saman shabd
saman ashay darshayen
har paath, har roop, koi chahe ya na chahe
ek asthayi rang badalta aina hai
zindagi ki chhipi aspashttaon ka.
kisi cheez ka ek hi roop nahin rahta hamesha ke liye.
yahan tak ki anantta bhi nahin hoti hamesha ke liye.
स्रोत :
पुस्तक : यह संपन्नता बिखरी हुई (पृष्ठ 279)
संपादक : श्यामा प्रसाद गांगुली, मीनाक्षी संद्रियाल
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक श्यामा प्रसाद गांगुली, मीनाक्षी संद्रियाल
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी एवं ग्रूलाक
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.