तमाम  निराशा  के  बीच  
तुम  मुझे  मिलीं  
सुखद  अचरज  की  तरह  
मुस्कान  में  ठिठक  गए  
आँसू  की  तरह  
शहर  में  जब  प्रेम  का  अकाल  पड़ा  था  
और  भाषा  में  
रह  नहीं  गया  था  
उत्साह  का  जल  
तुम  मुझे  मिलीं  
ओस  में  भीगी  हुई  
दूब  की  तरह  
दूब  में  मंगल  की  
सूचना  की  तरह  
इतनी  धूप  थी  
कि  पेड़ों  की  छाँह  को  
अप्रासंगिक  बनाती  हुई  
इतनी  चौंध  
कि  स्वप्न  के  सारे  वितान  को  
छितराती  हुई  
तुम  मुझे  मिलीं  
थकान  में  उतरती  हुईं  
नींद  की  तरह  
नींद  में  अपने  प्राणों  के  
स्पर्श  की  तरह  
जब  समय  को  था  संशय  
इतिहास  में  उसे  कहाँ  होना  है  
तुमको  यह  अनिश्चय  
तुम्हें  क्या  खोना  है  
तब  मैं  तुम्हें  खोजता  था  
असमंजस  की  सन्ध्या  में  नहीं  
निर्विकल्प  उषा  की  लालिमा  में  
तुम  मुझे  मिलीं  
निस्संग  रास्ते  में  
मित्र  की  तरह  
मित्रता  की  सरहद  पर  
प्रेम  की  तरह  
                tamam  nirasha  ke  beech  
tum  mujhe  milin  
sukhad  achraj  ki  tarah  
muskan  mein  thithak  gaye  
ansu  ki  tarah  
shahr  mein  jab  prem  ka  akal  paDa  tha  
aur  bhasha  mein  
rah  nahin  gaya  tha  
utsah  ka  jal  
tum  mujhe  milin  
os  mein  bhigi  hui  
doob  ki  tarah  
doob  mein  mangal  ki  
suchana  ki  tarah  
itni  dhoop  thi  
ki  peDon  ki  chhanh  ko  
aprasangik  banati  hui  
itni  chaundh  
ki  swapn  ke  sare  witan  ko  
chhitrati  hui  
tum  mujhe  milin  
thakan  mein  utarti  huin  
neend  ki  tarah  
neend  mein  apne  pranon  ke  
sparsh  ki  tarah  
jab  samay  ko  tha  sanshay  
itihas  mein  use  kahan  hona  hai  
tumko  ye  anishchay  
tumhein  kya  khona  hai  
tab  main  tumhein  khojta  tha  
asmanjas  ki  sandhya  mein  nahin  
nirwikalp  usha  ki  lalima  mein  
tum  mujhe  milin  
nissang  raste  mein  
mitr  ki  tarah  
mitrata  ki  sarhad  par  
prem  ki  tarah  
tamam  nirasha  ke  beech  
tum  mujhe  milin  
sukhad  achraj  ki  tarah  
muskan  mein  thithak  gaye  
ansu  ki  tarah  
shahr  mein  jab  prem  ka  akal  paDa  tha  
aur  bhasha  mein  
rah  nahin  gaya  tha  
utsah  ka  jal  
tum  mujhe  milin  
os  mein  bhigi  hui  
doob  ki  tarah  
doob  mein  mangal  ki  
suchana  ki  tarah  
itni  dhoop  thi  
ki  peDon  ki  chhanh  ko  
aprasangik  banati  hui  
itni  chaundh  
ki  swapn  ke  sare  witan  ko  
chhitrati  hui  
tum  mujhe  milin  
thakan  mein  utarti  huin  
neend  ki  tarah  
neend  mein  apne  pranon  ke  
sparsh  ki  tarah  
jab  samay  ko  tha  sanshay  
itihas  mein  use  kahan  hona  hai  
tumko  ye  anishchay  
tumhein  kya  khona  hai  
tab  main  tumhein  khojta  tha  
asmanjas  ki  sandhya  mein  nahin  
nirwikalp  usha  ki  lalima  mein  
tum  mujhe  milin  
nissang  raste  mein  
mitr  ki  tarah  
mitrata  ki  sarhad  par  
prem  ki  tarah  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : पंकज चतुर्वेदी 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.