दहकती  हुई  चीज़ों  के  आर-पार  
तेंदुए  की  तरह  गुर्राता  छलाँगें  मारता  
गुज़रता  है  समय  
देखो  सब  कुछ  कैसा  दहक  रहा  है  
जली  हुई  चीज़ें  चमकदार  कोयला  बन  रही  हैं  
यहाँ  वहाँ  इकट्ठा  होता  जाता  है  मरते  साथियों  का  रक्त  
—अभी  हमारा  सब  कुछ  बार-बार  ईंधन  बन  रहा  है।  
ठीक-ठीक  पहचानने  की  कोशिश  करो  
किसकी  दाढ़  में  लगा  है  हमारा  ख़ून  
उस  चालाक  नदी  के  मुहाने  मोड़  दो  
जो  बारूद  बनते  आँसुओं  के  समुद्र  में  
डाल  रही  है  
कचरा  
झूठ  और  झूठ  और  झूठ  और  झूठ  का  
इस  युद्ध  में  अब  तक  कोई  नहीं  लड़ा  है  अपने  गूँगे  शब्दों  से  खेलता  
अब  तक  किसी  ने  परछाईं  भर  की  दूरी  में  थरथराती  
उस  चीज़  को  कोई  नाम  नहीं  दिया  
वह  महज  मृत्यु  है—एक  जैविक  परिणति  भर  
या  दुस्साहस  
या  वह  भविष्य  
जो  तेंदुए  के  पंजों  के  नीचे  है  
हमारा  भविष्य  होने  के  ऐन  पहले  
जो  कुछ  अब  झेल  रहा  है  
धरती  का  यह  अभागा  टुकड़ा  
वह  
पूरी  संस्कृति  के  व्याकरण  से  बहुत  बड़ा  हो  गया  है  
किसी  एक  उच्छल  हँसी  के  इर्द-गिर्द  
इकट्ठे  हो  जाते  हैं  बीसवीं  सदी  के  इन  वर्षों  के  सारे  ख़तरनाक  हथियार  
दुनिया  के  इस  बेरौनक  
चरमराते  हुए  ढाँचे  में  कितनी  कुशलता  से  
बंद  रखे  गए  हैं  
हमारे  सपनों  के  अधजले  फूल  और  छल  एक  साथ  
इसे  जानना  है  तुम्हें  
क्योंकि  
तुम्हारी  लड़ाई  
उस  निर्मम  जंगल  के  ख़िलाफ़  ग़ुस्सैल  लकड़हारों  की  
लंबी  लड़ाई  है  
जिस  जंगल  में  सिर्फ़  आदमख़ोर  रहते  हैं  
—देखो  कैसा  चमकता  है  अँधेरा  
काई  की  गाढ़ी  परत-सा  
एक  निर्मम  फ़ासीवादी  चरित्र  पर  
देखो  लोकतंत्र  का  अलौकिक  लेप—  
और  यह  कहने  को  जब-जब  बढ़ते  हैं  नागरिक  अधिकार  
कि  वे  क़ैद  कर  लिए  जाते  हैं  
इस  अर्द्ध  उपनिवेश  की  सुरक्षा  के  नाम  पर  
मगर  
जल  रही  हैं  अब  बेशुमार  आवाज़ें  
जल  रहे  हैं  लगातार  बेशुमार  हाथों  के  तनाव  भरे  संसार  
और  यहीं  वह  सवाल  है  
कैलेंडर  की  हर  तारीख़  में  गूँजता  हुआ  
तुम  किसके  साथ  हो  
और  किस  तरह  
             
                dahakti  hui  chizon  ke  aar  par  
tendue  ki  tarah  gurrata  chhalangen  marta  
guzarta  hai  samay  
dekho  sab  kuch  kaisa  dahak  raha  hai  
jali  hui  chizen  chamakdar  koyala  ban  rahi  hain  
yahan  wahan  ikattha  hota  jata  hai  marte  sathiyon  ka  rakt  
—abhi  hamara  sab  kuch  bar  bar  indhan  ban  raha  hai  
theek  theek  pahchanne  ki  koshish  karo  
kiski  daDh  mein  laga  hai  hamara  khoon  
us  chalak  nadi  ke  muhane  moD  do  
jo  barud  bante  ansuon  ke  samudr  mein  
Dal  rahi  hai  
kachra  
jhooth  aur  jhooth  aur  jhooth  aur  jhooth  ka  
is  yudh  mein  ab  tak  koi  nahin  laDa  hai  apne  gunge  shabdon  se  khelta  
ab  tak  kisi  ne  parchhain  bhar  ki  duri  mein  thartharati  
us  cheez  ko  koi  nam  nahin  diya  
wo  mahaj  mirtyu  hai—ek  jaiwik  parinati  bhar  
ya  dussahas  
ya  wo  bhawishya  
jo  tendue  ke  panjon  ke  niche  hai  
hamara  bhawishya  hone  ke  ain  pahle  
jo  kuch  ab  jhel  raha  hai  
dharti  ka  ye  abhaga  tukDa  
wo  
puri  sanskriti  ke  wyakaran  se  bahut  baDa  ho  gaya  hai  
kisi  ek  uchchhal  hansi  ke  ird  gird  
ikatthe  ho  jate  hain  biswin  sadi  ke  in  warshon  ke  sare  khatarnak  hathiyar  
duniya  ke  is  beraunak  
charmarate  hue  Dhanche  mein  kitni  kushalta  se  
band  rakhe  gaye  hain  
hamare  sapnon  ke  adhajle  phool  aur  chhal  ek  sath  
ise  janna  hai  tumhein  
kyonki  
tumhari  laDai  
us  nirmam  jangal  ke  khilaf  ghussail  lakaDharon  ki  
lambi  laDai  hai  
jis  jangal  mein  sirf  adamakhor  rahte  hain  
—dekho  kaisa  chamakta  hai  andhera  
kai  ki  gaDhi  parat  sa  
ek  nirmam  fasiwadi  charitr  par  
dekho  loktantr  ka  alaukik  lep—  
aur  ye  kahne  ko  jab  jab  baDhte  hain  nagarik  adhikar  
ki  we  qaid  kar  liye  jate  hain  
is  arddh  upniwesh  ki  suraksha  ke  nam  par  
magar  
jal  rahi  hain  ab  beshumar  awazen  
jal  rahe  hain  lagatar  beshumar  hathon  ke  tanaw  bhare  sansar  
aur  yahin  wo  sawal  hai  
kailenDar  ki  har  tarikh  mein  gunjta  hua  
tum  kiske  sath  ho  
aur  kis  tarah  
dahakti  hui  chizon  ke  aar  par  
tendue  ki  tarah  gurrata  chhalangen  marta  
guzarta  hai  samay  
dekho  sab  kuch  kaisa  dahak  raha  hai  
jali  hui  chizen  chamakdar  koyala  ban  rahi  hain  
yahan  wahan  ikattha  hota  jata  hai  marte  sathiyon  ka  rakt  
—abhi  hamara  sab  kuch  bar  bar  indhan  ban  raha  hai  
theek  theek  pahchanne  ki  koshish  karo  
kiski  daDh  mein  laga  hai  hamara  khoon  
us  chalak  nadi  ke  muhane  moD  do  
jo  barud  bante  ansuon  ke  samudr  mein  
Dal  rahi  hai  
kachra  
jhooth  aur  jhooth  aur  jhooth  aur  jhooth  ka  
is  yudh  mein  ab  tak  koi  nahin  laDa  hai  apne  gunge  shabdon  se  khelta  
ab  tak  kisi  ne  parchhain  bhar  ki  duri  mein  thartharati  
us  cheez  ko  koi  nam  nahin  diya  
wo  mahaj  mirtyu  hai—ek  jaiwik  parinati  bhar  
ya  dussahas  
ya  wo  bhawishya  
jo  tendue  ke  panjon  ke  niche  hai  
hamara  bhawishya  hone  ke  ain  pahle  
jo  kuch  ab  jhel  raha  hai  
dharti  ka  ye  abhaga  tukDa  
wo  
puri  sanskriti  ke  wyakaran  se  bahut  baDa  ho  gaya  hai  
kisi  ek  uchchhal  hansi  ke  ird  gird  
ikatthe  ho  jate  hain  biswin  sadi  ke  in  warshon  ke  sare  khatarnak  hathiyar  
duniya  ke  is  beraunak  
charmarate  hue  Dhanche  mein  kitni  kushalta  se  
band  rakhe  gaye  hain  
hamare  sapnon  ke  adhajle  phool  aur  chhal  ek  sath  
ise  janna  hai  tumhein  
kyonki  
tumhari  laDai  
us  nirmam  jangal  ke  khilaf  ghussail  lakaDharon  ki  
lambi  laDai  hai  
jis  jangal  mein  sirf  adamakhor  rahte  hain  
—dekho  kaisa  chamakta  hai  andhera  
kai  ki  gaDhi  parat  sa  
ek  nirmam  fasiwadi  charitr  par  
dekho  loktantr  ka  alaukik  lep—  
aur  ye  kahne  ko  jab  jab  baDhte  hain  nagarik  adhikar  
ki  we  qaid  kar  liye  jate  hain  
is  arddh  upniwesh  ki  suraksha  ke  nam  par  
magar  
jal  rahi  hain  ab  beshumar  awazen  
jal  rahe  hain  lagatar  beshumar  hathon  ke  tanaw  bhare  sansar  
aur  yahin  wo  sawal  hai  
kailenDar  ki  har  tarikh  mein  gunjta  hua  
tum  kiske  sath  ho  
aur  kis  tarah  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : पंकज सिंह  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.