आप  लोहे  की  कार  का  आनंद  लेते  हो  
मेरे  पास  लोहे  की  बंदूक़  है  
मैंने  लोहा  खा  गै  
आप  लोहे  की  बात  करते  हो  
लोहा  जब  पिघलता  है  
तो  भाप  नहीं  निकलती  
जब  कुठाली  उठाने  वालों  के  दिलों  से  
भाप  निकलती  है  
तो  लोहा  पिघल  जाता  है  
पिघले  हुए  लोहे  को  
किसी  भी  आकार  में  
ढाला  जा  सकता  है  
कुठाली  में  देश  की  तक़दीर  ढली  होती  है  
यह  मेरी  बंदूक़  
आपके  बैंकों  के  सेफ़;  
और  पहाड़ों  को  उलटाने  वाली  मशीनें,  
सब  लोहे  के  हैं  
शहर  से  वीराने  तक  हर  फ़र्क़  
बहन  से  वेश्या  तक  हर  एहसास  
मालिक  से  मुलाज़िम  तक  हर  रिश्ता  
बिल  से  क़ानून  तक  हर  सफ़र  
शोषणतंत्र  से  इंक़लाब  तक  हर  इतिहास  
जंगल,  कोठरियों  व  झोंपड़ियों  से  लेकर  इंटैरोगेशन  तक  
हर  मुक़ाम  सब  लोहे  के  हैं  
लोहे  ने  बड़ी  देर  इतंज़ार  किया  है  
कि  लोहे  पर  निर्भर  लोग  
लोहे  की  पत्तियाँ  खाकर  
ख़ुदकुशी  करना  छोड़  दें  
मशीनों  में  फँसकर  फूस  की  तरह  उड़ने  वाले  
लावारिसों  की  बीवियाँ  
लोहे  की  कुर्सियों  पर  बैठे  वारिसों  के  पास  
कपड़े  तक  ख़ुद  उतारने  के  लिए  मजबूर  न  हों  
लेकिन  आख़िर  लोहे  को  
पिस्तौलों,  बंदूक़ों  और  बमों  की  
शक्ल  लेनी  पड़ी  है  
आप  लोहे  की  चमक  में  चुंधियाकर  
अपनी  बेटी  को  बीवी  समझ  सकते  हैं,  
(लेकिन)  मैं  लौहे  की  आँख  से  
दोस्तों  के  मुखौटे  पहने  दुश्मन  
भी  पहचान  सकता  हूँ  
क्योंकि  मैंने  लोहा  खाया  है  
आप  लोहे  की  बात  करते  हो।  
                aap  lohe  ki  kar  ka  anand  lete  ho  
mere  pas  lohe  ki  banduq  hai  
mainne  loha  kha  gai  
ap  lohe  ki  baat  karte  ho  
loha  jab  pighalta  hai  
to  bhap  nahin  nikalti  
jab  kuthali  uthane  walon  ke  dilon  se  
bhap  nikalti  hai  
to  loha  pighal  jata  hai  
pighle  hue  lohe  ko  
kisi  bhi  akar  mein  
Dhala  ja  sakta  hai  
kuthali  mein  desh  ki  taqdir  Dhali  hoti  hai  
ye  meri  banduq  
apke  bainkon  ke  sef;  
aur  pahaDon  ko  ultane  wali  mashinen,  
sab  lohe  ke  hain  
shahr  se  wirane  tak  har  farq  
bahan  se  weshya  tak  har  ehsas  
malik  se  mulazim  tak  har  rishta  
bil  se  qanun  tak  har  safar  
shoshantantr  se  inqlab  tak  har  itihas  
jangal,  kothariyon  wa  jhompaDiyon  se  lekar  intairogeshan  tak  
har  muqam  sab  lohe  ke  hain  
lohe  ne  baDi  der  itanzar  kiya  hai  
ki  lohe  par  nirbhar  log  
lohe  ki  pattiyan  khakar  
khudakushi  karna  chhoD  den  
mashinon  mein  phansakar  phoos  ki  tarah  uDne  wale  
lawarison  ki  biwiyan  
lohe  ki  kursiyon  par  baithe  warison  ke  pas  
kapDe  tak  khu  utarne  ke  liye  majbur  na  hon  
lekin  akhir  lohe  ko  
pistaulon,  banduqon  aur  bamon  ki  
shakl  leni  paDi  hai  
ap  lohe  ki  chamak  mein  chundhiyakar  
apni  beti  ko  biwi  samajh  sakte  hain,  
(lekin)  main  lauhe  ki  ankh  se  
doston  ke  mukhaute  pahne  dushman  
bhi  pahchan  sakta  hoon  
kyonki  mainne  loha  khaya  hai  
ap  lohe  ki  baat  karte  ho  
aap  lohe  ki  kar  ka  anand  lete  ho  
mere  pas  lohe  ki  banduq  hai  
mainne  loha  kha  gai  
ap  lohe  ki  baat  karte  ho  
loha  jab  pighalta  hai  
to  bhap  nahin  nikalti  
jab  kuthali  uthane  walon  ke  dilon  se  
bhap  nikalti  hai  
to  loha  pighal  jata  hai  
pighle  hue  lohe  ko  
kisi  bhi  akar  mein  
Dhala  ja  sakta  hai  
kuthali  mein  desh  ki  taqdir  Dhali  hoti  hai  
ye  meri  banduq  
apke  bainkon  ke  sef;  
aur  pahaDon  ko  ultane  wali  mashinen,  
sab  lohe  ke  hain  
shahr  se  wirane  tak  har  farq  
bahan  se  weshya  tak  har  ehsas  
malik  se  mulazim  tak  har  rishta  
bil  se  qanun  tak  har  safar  
shoshantantr  se  inqlab  tak  har  itihas  
jangal,  kothariyon  wa  jhompaDiyon  se  lekar  intairogeshan  tak  
har  muqam  sab  lohe  ke  hain  
lohe  ne  baDi  der  itanzar  kiya  hai  
ki  lohe  par  nirbhar  log  
lohe  ki  pattiyan  khakar  
khudakushi  karna  chhoD  den  
mashinon  mein  phansakar  phoos  ki  tarah  uDne  wale  
lawarison  ki  biwiyan  
lohe  ki  kursiyon  par  baithe  warison  ke  pas  
kapDe  tak  khu  utarne  ke  liye  majbur  na  hon  
lekin  akhir  lohe  ko  
pistaulon,  banduqon  aur  bamon  ki  
shakl  leni  paDi  hai  
ap  lohe  ki  chamak  mein  chundhiyakar  
apni  beti  ko  biwi  samajh  sakte  hain,  
(lekin)  main  lauhe  ki  ankh  se  
doston  ke  mukhaute  pahne  dushman  
bhi  pahchan  sakta  hoon  
kyonki  mainne  loha  khaya  hai  
ap  lohe  ki  baat  karte  ho  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : लहू है कि तब भी गाता है (पृष्ठ 162)संपादक  : चमनलाल, कात्यायनी रचनाकार  : पाश 
                             प्रकाशन  : परिकल्पना प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2004 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.