समुद्र हर कहीं था। तुम उससे घिरे हुए थे। एक दीवार जो फैलती जाती थी—तुम उसे लाँघ नहीं पाते थे।
समुद्र तुम्हें अकेले नहीं छोड़ता था। न हवा जिसे वह भेजता था। हवा तुम्हारी रूह में घुस जाती थी। तुम काँपते थे, फिर और काँपते थे।
समुद्र कहीं पास में होता था। फिर वह और पास आ जाता था। उसका डंक सदा तुम्हें बस छूने को था और नष्ट करने को। तुम नष्ट होना चाहते थे। क्या ऐसा नहीं था? इसीलिए तुम समुद्र को चाहते थे।
लेकिन समुद्र तुम्हें भरमाता था। समुद्र रूप बदलता था। वह छल से भरा हुआ था। तुम उसके जाल में फँस जाते थे। उसकी कुटिल मुस्कान तुम्हें नज़र नहीं आती थी। तुम्हें बस दिखते थे असंख्य दर्पण-दृश्य। समुद्र तुम्हें दर्पण में ले जाता था। शायद समुद्र स्वयं एक दर्पण था उस दर्पण में। या किसी अन्य दर्पण में।
फिर एक दिन समुद्र कुछ भी नहीं था। तुमने उसे छुआ और वह समुद्र में बदल गया। एक और दिन तुमने उसे फिर छुआ। वह आग की तरह भभक पड़ा। तुम्हारी उँगलियों पर उसे छूने का निशान था। फिर तुमने उस निशान को भी छुआ। और समुद्र तुम्हारी उँगलियों में चला आया।
तुम्हारी उँगलियों से नीली लौ उठती थी। पर मैं जानता था कि वह समुद्र था तुम्हारी त्वचा के स्पर्श से जलता हुआ।
और त्वचा ठंडी थी। नहीं, वह नीली नहीं थी। वह बर्फ़ की तरह श्वेत थी।
तुमने बाँध लिया था समुद्र को और वह सुलग रहा था तुम्हारी ठंडी बर्फ़ीली त्वचा के भीतर।
samudr har kahin tha tum usse ghire hue the ek diwar jo phailti jati thi—tum use langh nahin pate the
samudr tumhein akele nahin chhoDta tha na hawa jise wo bhejta tha hawa tumhari rooh mein ghus jati thi tum kanpte the, phir aur kanpte the
samudr kahin pas mein hota tha phir wo aur pas aa jata tha uska Dank sada tumhein bus chhune ko tha aur nasht karne ko tum nasht hona chahte the kya aisa nahin tha? isiliye tum samudr ko chahte the
lekin samudr tumhein bharmata tha samudr roop badalta tha wo chhal se bhara hua tha tum uske jal mein phans jate the uski kutil muskan tumhein nazar nahin aati thi tumhein bus dikhte the asankhya darpan drishya samudr tumhein darpan mein le jata tha shayad samudr swayan ek darpan tha us darpan mein ya kisi any darpan mein
phir ek din samudr kuch bhi nahin tha tumne use chhua aur wo samudr mein badal gaya ek aur din tumne use phir chhua wo aag ki tarah bhabhak paDa tumhari ungliyon par use chhune ka nishan tha phir tumne us nishan ko bhi chhua aur samudr tumhari ungliyon mein chala aaya
tumhari ungliyon se nili lau uthti thi par main janta tha ki wo samudr tha tumhari twacha ke sparsh se jalta hua
aur twacha thanDi thi nahin, wo nili nahin thi wo barf ki tarah shwet thi
tumne bandh liya tha samudr ko aur wo sulag raha tha tumhari thanDi barfili twacha ke bhitar

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
OKAY
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
Close
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
OKAY
You have remaining out of free content pages per year.Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.
join rekhta family!
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.