समतल
ज़्यादा दिन समतल नहीं रहता
धीरे-धीरे एक पर्वत उग आता है
मेरे पास भी एक समतल है
जिसके नीचे
कोई पर्वत मुझे छू रहा है
और मुझे अंदर से से ढकेल रहा है
मेरे ऊपर अभी एक फरीछ आसमान है
जिसे पता है कि पर्वत मेरे भीतर उगेगा
अवश्य उगेगा
उगेगा ही उगेगा
मगर मैं जानता हूँ कि पर्वत उगा
तो कोई सरिता ज़रूर फूटेगी
सरिता फूटेगी तो आकाश,
कभी लाल
कभी नीला
कभी भूरा
रंग उसमें घोलेगा
और फिर सरिता मुझे
बूँद-बूँद रंगों में बाँट कर
उपत्यकाओं में फेंक आएगी
ऐसा वह तब तक करती रहेगी
जब तक मैं
फिर से
समतल नहीं हो जाता
फरीछ आसमान : हमारी लोकभाषा (मगही) में सुबह का नवजात आसमान यानी सूरज उगने से ठीक पहले या पानी बरसने के तुरंत बाद का खुला हुआ आसमान।
samtal
zyada din samtal nahin rahta
dhire dhire ek parvat ug aata hai
mere paas bhi ek samtal hai
jiske niche
koi parvat mujhe chhu raha hai
aur mujhe andar se se Dhakel raha hai
mere uupar abhi ek pharichh asman hai
jise pata hai ki parvat mere bhitar ugega
avashya ugega
ugega hi ugega
magar main janta hoon ki parvat uga
to koi sarita zarur phutegi
sarita phutegi to akash,
kabhi laal
kabhi nila
kabhi bhura
rang usmen gholega
aur phir sarita mujhe
boond boond rangon mein baant kar
upatykaon mein phenk ayegi
aisa wo tab tak karti rahegi
jab tak main
phir se
samtal nahin ho jata
pharichh asman hamari lokabhasha (maghi) mein subah ka navjat asman yani suraj ugne se theek pahle ya pani barasne ke turant baad ka khula hua asman.
samtal
zyada din samtal nahin rahta
dhire dhire ek parvat ug aata hai
mere paas bhi ek samtal hai
jiske niche
koi parvat mujhe chhu raha hai
aur mujhe andar se se Dhakel raha hai
mere uupar abhi ek pharichh asman hai
jise pata hai ki parvat mere bhitar ugega
avashya ugega
ugega hi ugega
magar main janta hoon ki parvat uga
to koi sarita zarur phutegi
sarita phutegi to akash,
kabhi laal
kabhi nila
kabhi bhura
rang usmen gholega
aur phir sarita mujhe
boond boond rangon mein baant kar
upatykaon mein phenk ayegi
aisa wo tab tak karti rahegi
jab tak main
phir se
samtal nahin ho jata
pharichh asman hamari lokabhasha (maghi) mein subah ka navjat asman yani suraj ugne se theek pahle ya pani barasne ke turant baad ka khula hua asman.
स्रोत :
रचनाकार : आनंद बहादुर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.