मैं सूक्ष्म कण-सा
तुम्हारे रहम-ओ-करम से उत्पन्न शायद
तुम विशाल अदृश्य पूरे ब्रह्माण्ड में व्याप्त
दुनियावी आडंबरों को पीछे धकेलकर
मैं शून्य बनकर ढूँढ़ता हूँ तुम्हें
न्योछावर कर देता हूँ तुम्हारे द्वारा दिया
अपना समस्त जीवन
कोशिश करता हूँ
परत-दर-परत रहस्य उजागर करने को
समझना चाहता हूँ वह सब गूढ़ ज्ञान
जो समाहित हैं तुम्हारे भीतर
हे सृष्टि के रचनाकार!
मैं सूक्ष्म कण-सा जानना चाहता हूँ
तुम्हें और तुम्हारे सभी तौर-तरीक़े
और भी बहुत कुछ जो अविरल हो
जो जान न पाया हो कोई अभी तक
मैं अचंभित हूँ, कहाँ से लाते हो इतनी सारी ऊर्जा
कैसे कर पाते हो ये जादू सरीखी वास्तविकता
तुम अकेले हो पर्याप्त या कोई फ़ौज है तुम्हारी
कहाँ-कहाँ मौजूद हो बताओ,
मुझे यक़ीन है
वहाँ-वहाँ भी
जहाँ मेरी सोच
पहुँच भी न पाएगी
कितने वर्ष बीते
कितनी सदियाँ फिर भी
तुम रहस्य हो
तुमने ही भगवान बनाए होंगे जैसे हमें बनाया
कौन हो तुम, कहाँ से आए
या तुमको भी किसी ने बनाया?
main sookshm kan sa
tumhare rahm o karam se utpann shayad
tum vishal adrishya pure brahmanD mein vyaapt
duniyavi aDambron ko pichhe dhakelkar
main shunya bankar DhunDhata hoon tumhein
nyochhavar kar deta hoon tumhare dvara diya
apna samast jivan
koshish karta hoon
parat dar parat rahasya ujagar karne ko
samajhna chahta hoon wo sab gooDh gyaan
jo samahit hain tumhare bhitar
he srishti ke rachnakar!
main sookshm kan sa janna chahta hoon
tumhein aur tumhare sabhi taur tariqe
aur bhi bahut kuch jo aviral ho
jo jaan na paya ho koi abhi tak
main achambhit hoon, kahan se late ho itni sari uurja
kaise kar pate ho ye jadu sarikhi vastavikta
tum akele ho paryapt ya koi fauj hai tumhari
kahan kahan maujud ho batao,
mujhe yaqin hai
vahan vahan bhi
jahan meri soch
pahunch bhi na payegi
kitne varsh bite
kitni sadiyan phir bhi
tum rahasya ho
tumne hi bhagvan banaye honge jaise hamein banaya
kaun ho tum, kahan se aaye
ya tumko bhi kisi ne banaya?
main sookshm kan sa
tumhare rahm o karam se utpann shayad
tum vishal adrishya pure brahmanD mein vyaapt
duniyavi aDambron ko pichhe dhakelkar
main shunya bankar DhunDhata hoon tumhein
nyochhavar kar deta hoon tumhare dvara diya
apna samast jivan
koshish karta hoon
parat dar parat rahasya ujagar karne ko
samajhna chahta hoon wo sab gooDh gyaan
jo samahit hain tumhare bhitar
he srishti ke rachnakar!
main sookshm kan sa janna chahta hoon
tumhein aur tumhare sabhi taur tariqe
aur bhi bahut kuch jo aviral ho
jo jaan na paya ho koi abhi tak
main achambhit hoon, kahan se late ho itni sari uurja
kaise kar pate ho ye jadu sarikhi vastavikta
tum akele ho paryapt ya koi fauj hai tumhari
kahan kahan maujud ho batao,
mujhe yaqin hai
vahan vahan bhi
jahan meri soch
pahunch bhi na payegi
kitne varsh bite
kitni sadiyan phir bhi
tum rahasya ho
tumne hi bhagvan banaye honge jaise hamein banaya
kaun ho tum, kahan se aaye
ya tumko bhi kisi ne banaya?
स्रोत :
रचनाकार : संगीता मनराल विज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.