नीले थे—
पोर्टुलाका के वे फूल
जो पत्थरों के बीच,
सूखी धरा के छोर पर
एक मौन चमत्कार-से
मुस्कुराए—
पोर्टुलाका—
जिसने सूरज के साथ
लाल, पीले और गुलाबी सपने बुने,
आज अकस्मात वे नीले हो उठे—
किसी कवि की मनहर कल्पना में,
किसी रंगीन मन की नीली तरंग में
या प्रकृति ने माँगा हो—जैसे नीला रंग
कविता के अक्षरों से उधार
नीला आसमानी रंग
जो भी रंग हो पोर्टुलाका का
वह खिलता है, शाँत, निस्पृह,
अपनी पूरी सुंदरता के साथ,
जैसे कह रहा हो—
तुमने मुझे कौनसा रंग दिया
क्या फ़र्क़ पड़ता है—
अगर तुमने मुझे देखकर
क्षणभर भी रंगों से भरी साँस ली,
जो अन्य किसी फूल को देखकर नहीं ली,
तो यह सौभाग्य है मेरा!
मैं नीला नहीं था—
पर वही बन गया, सबसे सुंदर, सबसे अनोखा
पोर्टुलाका
nile the—
portulaka ke ve phool
jo patthron ke beech,
sukhi dhara ke chhor par
ek maun chamatkar se
muskuraye—
portulaka—
jisne suraj ke saath
laal, pile aur gulabi sapne bune,
aaj akasmat ve nile ho uthe—
kisi kavi ki manhar kalpana mein,
kisi rangin man ki nili tarang men
ya prkriti ne manga ho—jaise nila rang
kavita ke akshron se udhaar
nila asmani rang
jo bhi rang ho portulaka ka
wo khilta hai, shaant, nisprih,
apni puri sundarta ke saath,
jaise kah raha ho—
tumne mujhe kaunsa rang diya
kya phark paDta hai—
agar tumne mujhe dekhkar
kshanbhar bhi rangon se bhari saans li,
jo anya kisi phool ko dekhkar nahin li,
to ye saubhagya hai mera!
main nila nahin tha—
par vahi ban gaya, sabse sundar, sabse anokha
portulaka
nile the—
portulaka ke ve phool
jo patthron ke beech,
sukhi dhara ke chhor par
ek maun chamatkar se
muskuraye—
portulaka—
jisne suraj ke saath
laal, pile aur gulabi sapne bune,
aaj akasmat ve nile ho uthe—
kisi kavi ki manhar kalpana mein,
kisi rangin man ki nili tarang men
ya prkriti ne manga ho—jaise nila rang
kavita ke akshron se udhaar
nila asmani rang
jo bhi rang ho portulaka ka
wo khilta hai, shaant, nisprih,
apni puri sundarta ke saath,
jaise kah raha ho—
tumne mujhe kaunsa rang diya
kya phark paDta hai—
agar tumne mujhe dekhkar
kshanbhar bhi rangon se bhari saans li,
jo anya kisi phool ko dekhkar nahin li,
to ye saubhagya hai mera!
main nila nahin tha—
par vahi ban gaya, sabse sundar, sabse anokha
portulaka
स्रोत :
रचनाकार : प्रमिला शंकर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.